Mausam Badal Raha Aur Beemariyan Bhi Barh Rahi Hain. In Dinon Main Aap Ka Immune System Strong Hona Chahiye, Tabhi Aap Fit Rahain Gay. Infectious Disease Expert Badaltay Mausam Ki Waja Say Buhat Muhtaat Rehnay Ki Advice Day Rahay Hain. Kia Aap Jantay Hain Kay Achi Diet Aur Kuch Careful Measures Say Khud Ko Beemar Honay Say Bacha Saktay Hain?

Immune System Ko Effectively Boost Kernay Kay Liye Munasib Aur Sehat Kay Liye Faida-Mand Khoraak (Ghiza) Ka Kirdar Buhat Eham Hay.

Importance Of Immune System

Is Baat Ka Andaza Aap Ko Hona Chahiye Kay Aisa Ho Nahi Sakta Kay Aap Aik Mausam Main Sehat Mand Rahain Aur Us Kay Badaltay Hi Beemar Par Jayen. Aap Ko Sara Saal Apni Ghiza Aur Sehat Ka Khayal Rakhna Hoga. Is Kay Liye Aap Kay Cells Ko Strong Banana Zaoori Hay. Strong Cellular System Hi Aap Kay Immune Ko Behtar Rakhta Hay Yani Aap Beemariyon Say Bachay Rehtay Hain.

Immune System Main Behtari Kay Liye Aisay Foods Per Ziada Rely Kerain Jin Main Fiber Hota Ho. Yani, Berries Aur Avocados, Ya Phir Probiotics/Prebiotics Ko Apni Ghiza Main Shamil Kerlain. Aap Ki Antain (GUT) Ager Theak Kaam Ker Rahi Hain Tou Aap Kay Immune System Per Bhi Is Ka Acha Asar Hoga.

Tips To Have Strong Immune System

Apni Daily Ghiza Main Sugar Intake Reduce Kerain. Tea Main Sugar Ka Usage Kam Kernay Kay Ilawa Bakery Products Aur Too Much Artificial Sugar Made Products Ko Istemaal Mehdood Kerain.

Exercise Ko Daily Routine Ka Hisa Bana Lain. Aisa Kernay Say Aap Khud Ko Fit Rakhain Gay Aur Dull Feeling Door Hogi. Aap Kay Jism Main Energy Aaey Gi Aur Aap Ka Alert Level Bhi High Rahay Ga.

Phir, Neend Ki Kami Bhi Aap Kay Immune System Ko Effect Kerti Hay. Bhapor Neend Lena Aur Sukun Say Neend Pori Kerna Bhi Aap Ki Sehat Per Acha Asar Dalta Hay. Apni Neend Kay Auqat (Timings) Ko Set Kerlain Aur Un Ko Her Mumkin Follow Kernay Ki Koshish Kerain.

Smoking Aur Drugs Ka Istemaal Aap Ki Sehat Per Unbearable Effect Daalta Hay. Is Say Aap Ka Immune System Directly Hit Hota Hay Aur Aap Main Beemariyan Barh Jati Hain. Sehat Mand Life Style Kay Liye Hamesha “Say No To Drugs” Kahain Aur Iss Say Aap Mentally Aur Physically Fit Rahain Gay.

Benefits of Strong Immune System

Strong Immune System Kay Aur Bhi Buhat Benefits Hotay Hain. Jaisay Aap Ki Age Barh Rahi Hoti Hai, Aap Ki Sehat Ki Immune System Per Dependency Increase Honay Lagti Hay. Weak Immune System Shorter Life Ka Reason Bhi Hota Hay.

Aap Ki Physical Health Kay Ilawa Aap Kay Mood Per Bhi Strong Immune System Ka Effect Hota Hay. Mood Disorders, Lower Depression Rates, Higher Degree Of Optimism Bhi Immune System Say Relate Kiye Jasaktay Hain.

Hamaray Cellular System Ka Structure (Microbes) Bhi Immune System Say Relate Kerta Hay. Cell Activities Bhi Hamaray Mood Per Impact Daalti Hain Aur Hamara Behavior Aur Mood Bhi Is Waja Say Oper Nechay Hota Hay.

Doctors Ka Kehna Hay Kay Immune System Ko Strong Bananay Kay Liye Waisay Tou Poora Saal Acchi Diet Lena Eham Hay Mager Specially Winters Main Khas Khayal Rakhnay Ki Zaroorat Hoti Hay.

شیئر

جواب لکھیں