Duniya Ke Taaqatwar Passports Ki List different Institutions Jari Kartay Hain. In Main Passport Index Aur Henley & Partners Numayan Hain. Passport Index Ne Kuch Arsay Pehlay Duniya Ke Powerful Passports Ki List Jari Ki Thi Jabke Henley and Partners Ne Bhi New Index Jari Ki Hay. Bad Qismati Se Donon Lists Main Pakistan Ka Naam Aakhir Ke 4, 5 Mulkon Main Aata Hay.

Pakistani Passport Ki Naqadri Main Kuch Hamaray Hukmraanon Ka Kirdaar Hai Aur Kuch Hamaray Awam Ka Qasoor Hay. Rulers Ne 75 Saal Main Pakistan Ko Aik Tabah Haal, Maqrooz, Ghareeb Mulk Bana Diya Jabkay Pakistani Awam Jis Mulk Jatay Hain Wahan Aisi Harkatein Kartay Hain Ke Baqi Pakistanion Ke Liye Bhi Darwazay Band Ho Jatay Hain.

Aaj Kal Jab Duniya Bhar Ke Mulk Apnay Borders Khol Rahay Hain. Azadana Naqal-o-Harkat Ko Encourage Kia Ja Raha Hay. Magar Pakistanion Ke Liye Options Kam Se Kam Hotay Ja Rahay Hain. Pakistani Passport Walay Sirf 5,6 Mulk Main Baghair Visa Ke Ja Saktay Hain Aur 32 Malik Aisay Hain Jo Pakistanion Ko On-Arrival Visa Detay Hain. Lekin Un Main Se Ziyada Tar Carribean Aur Oceania Ke Mulk Hain. Lekin Aisa Hamesha Se Nahi Tha. Aik Zamana Tha Jab Pakistan Ka Passport Bhi Duniya Ke Taaqatwar Tareen Passports Main Shaamil Tha Aur Duniya Pakistanion Ko Apnay Mulk Main Khush Aamdeed Kehti Thi. Waqt Ke Sath Sath Pakistan Ke Passport Ki Value Girti Gayi.

Pakistani Passport Ke Zawaal Ki Kahani

Pakistan Ne 1947 Ke Aakhir Main Apne Passport Issue Karnay Shuru Kiye. Jo Beige Colour Ka Tha Aur Is Par Green Colour Ki Strip Thi. Is Par English, Urdu Aur Bengali Main Pakistan Passport Likha Hua Tha. Is Ke Title Par 2 Jhanday Banay Huay Thay Jo West Aur East Pakistan Ki Alamat Thay. Andar Passport Holder Ka Naam, Address, Profession Aur Marital Status Likha Hota Tha Aur Tasweer Lagi Hoti Thi. Is Passport Ke Sath Pakistani Shehri Duniya Ke Har Mulkk Main Baghair Visa Ke Ja Saktay Thay. Yehan Tak Ke India Ke Liye Bhi Visa Ki Zaroorat Nahi Hoti Thi.

Raftar Bharne Do
Pakistan's Initial Passport

1954 Tak Pakistan Ke Passport Ka Color Light Green Ho Gaya Tha. Green Color Islam Ka Symbol Samjha Jata Hay. Is Daur Main America Aur Soviet Union Ke Darmiyan Cold War Bhi Chal Rahi Thi Aur Pakistan American Block Main Ja Chuka Tha. Us Waqt Tak Soviet Union, Israel Aur Afghanistan Ne Pakistanion Par Visa Ki Pabandi Lagadi Thi.

Raftar Bharne Do
Pakistan Passport After 1954

1956 Main Pakistan Ka Pehla Constitution Manzoor Hua Jis Ke Tehat Pakistan Ko Islamic Republic Qarar Diya Gaya. Is Dauran Passport Ka Color Dark Green Ho Chuka Tha Jo 1960 Tak Jari Raha. 1960 Main Ayub Khan Ki Government Ne Naye Passport Jari Kiye Jo Light Green Color Ke Thay.

Raftar Bharne Do
Pakistan Passport In 1960

Is Passport Par Bhi Pakistani Shehri Soviet Union, Israel Aur Eastern Europe Ke Communist Mulkon Ke Siwa Kahin Bhi Jasaktay Thay. Chain Aisa Wahid Communist Mulk Tha Jo Pakistanio Ko On-Arrival Visa Deta Tha. Afghanistan Ne Bhi Visa On-Arrival Ki Sahoolat Dobarah Shuru Kar Di Thi.

1965 Main Pakistan Aur India Ki War Hui Lekin Free Travel Ka Silisila Chalta Raha. India Ke Liye Visa Ki Condition 1967 Main Lagi. 1967 Main Pakistani Passport Dobarah Dark Green Ho Chuka Tha. 1971 Main East Pakistan Alag Ho Kar Bangladesh Ban Gaya.

Raftar Bharne Do
Pakistan Passport In 1967

1973 Main Zulfiqar Ali Bhutto Ke Daur Main Pakistan Ka Naya Constitution Manzoor Ho Chuka Tha Aur Mulk Ka Naam Dobarah Islamic Republic Of Pakistan Kar Diya Gaya Tha. 1974 Main Jab Pakistan Ne Bangladesh Ko Tasleem Kya To Naye Passport Jari Kiye. Lekin Passport Par Islamic Republic Nahi Likha Jata Tha.

Us Waqt Tak America Pakistani Passport Par Visa Ki Pabandi Laga Chuka Tha. 1974 Main Hi Pakistan Ne Pehli Baar Apnay Shehrion Ko Israel Aur South Africa Ke Safar Se Rok Diya. Is Silsilay Main Passport Par Urdu Aur English Main Aik Note Likha Hota Tha. (South Africa Ke Safar Se Pabandi Utha Li Gayi Thi Lekin Israel Par Aaj Tak Hay)

Raftar Bharne Do
Pakistan Passport After 1974

1979 Main Afghanistan Par Soviet Union Ke Hamlay Ke Baad Afghanistan Main On-Arrival Visa Dobarah Khatam Kar Diya Gaya. 1980s Main Hi Saudi Arab, UAE, Kuwait Qatar Samait Ziyada Tar Gulf Countries Ne Bhi Pakistan Par Visa Ki Pabandiyan Laga deen.

1983 Main UK Aur Europe Ke Dosray Mulkon Ne Bhi Pakistanion Ke Liye On-Arrival Visa Ki Sahoolat Khatam Kar Di. Taaqat War Mulkon Main China Hi Aisa Bacha Tha Jahan Pakistanion Ko Airport Par Visa Mil Jata Tha.1984 Main Zia-ul-Haq Ke Daur Main Passport Main Dobarah Tabdeeli Ki Gayi. Passport Par Islamic Republic Pakistan Tehreer Honay Laga. Urdu Aur English Ke Ilawa Arabic Aur Mazhab Ke Khanay Ka Bhi Izafah Hua.

Raftar Bharne Do
Pakistan Passport In 1984
Raftar Bharne Do

1990 Ke Dahai Ke Shuru Main Passport Main Dobarah Tabdeelian Ki Gayeen. Passport Ka Color Dark Green Se Light Green Ho Gaya Magar Is Ki Value Phir Bhi Nahi Barh Saki. Isi Decade Main China, Australia, African Aur Latin American Mulk Bhi Pakistan Par Visa Ki Pabandi Lagatay Gaye. Rahi Sahi Kasar 9/11 Ke Baad Pakistan Main Militancy Barhnay Se Nikal Gayi. Jo Thoray Bohat Mulk Pakistanion Ko Visa On-Arrival Detay Thay Unhon Ne Bhi Yeh Fecility Khatam Kar Di.

Raftar Bharne Do
Pakistan's Latest Passport

Henley and Partners Ki Passport Ranking Ke Mutabiq Aaj Kal Sirf Afghanistan, Iraq Aur Syria Hi Aisay Mulk Hain Jin Ke Passport Pakistan Se Bhi Kamzor Hain. Yemen, Somalia Aur Nepal Jaisay Mulk Ke Passport Bhi Pakistani Passport Se Ziyada Value Rakhtay Hain.

شیئر

جواب لکھیں