Pakistan New Zealand Cricket Teams Aik Historic Test Series Kay Baad Ab One Day Internationals Mein Aamnay Samnay Hain, Aur Is Series Mein Pakistan Kay Paas Hay Aik Golden Chance, ODI Rankings Mein World No. 1 Ban’nay Ka.

Jee Haan! Agar Pakistan New Zealand Ko Is Series Kay Teenon Matches Hara Day To Wo 20 Saal Baad Pehli Baar ODI Rankings Mein No. 1 Ban Sakta Hay.

Pakistan Is Waqt One Day International Rankings Mein 107 Rating Kay Saath 5th Number Par Hay, Jabke New Zealand No. 1 Hay, Jis Kay 116 Rating Points Hain.

ICC ODI Rankings

Updated: 8 Jan 2023

Pos.TeamMat.PointsRating
1Raftar Bharne Do New Zealand232670116
2Raftar Bharne Do England303400113
3Raftar Bharne Do Australia323572112
4Raftar Bharne Do India384098108
5Raftar Bharne Do Pakistan222354107
6Raftar Bharne Do South Africa242392100
7Raftar Bharne Do Bangladesh33312995
8Raftar Bharne Do Sri Lanka31280090
9Raftar Bharne Do Afghanistan20141971
10Raftar Bharne Do West Indies41290271

Agar Pakistan New Zealand Kay Against Ye Series 3-0 Say Jeet’ta Hay To Wo 114 Points Tak Puhanch Jaey Ga, Yani 113 Rating Rakhnay Walay England Say Bhi Aagay. Jabke Ye Haar New Zealand Ko Buhat Mehngi Paray Gi, Jis Kay Points Kam Ho Kar 110 Ho Jayen Gay.

Aik Aisay Saal Mein Jis Mein ODI World Cup Khela Jana Hay, Pakistan Ka No. 1 Ban Jana Buhat Moral Boosting Hoga. Laikin Is Kay Liay Green Shirts Ko Buhat Mehnat Karna Paray Gi Aur Inspiration Laini Hogi 20 Saal Pehlay Ki Us Series Say, Jis Nay Pakistan Ko Last Time ODIs Mein No. 1 Banaya Tha.

Tab Pakistan Kay Captain Thay Waqar Younis, Aur Pakistan World No. 2 Ki Haisiyat Say June 2002 Mein Australia Kay Tour Par Gaya Tha. Super Challenge II Naami Is Series Mein 3 ODIs Khelay Gaey.

Team Pakistan Us Waqt Apnay Urooj Par Thi, Waqar Younis Kay Ilawa Team Mein Wasim Akram, Shoaib Akhtar, Saeed Anwar, Inzamam-ul-Haq Aur Shahid Afridi Jaisay Player Bhi Thay. Laikin Pakistan Abdul Razzaq Aur Saqlain Mushtaq Kay Baghair Australia Gaya Tha, Yani Ye Full Strength Pakistani Squad Nahi Tha.

First Blood Australia

Pakistan Series Kay Pehlay ODI Mein Australia Ka Hara Nahi Paya. Melbourne Key Docklands Stadium Mein Pakistan Sirf 176 Runs Par All Out Hua. Jawab Mein Australia Sirf 3 Wickets Par Hi Target Tak Puhanch Gaya. Australia Ko Lead Mil Gai Aur Ab Usay 2 Mein Say Sirf 1 Match Jeetnay Ki Zarurat Thi.

Pakistan Retaliates

2 Din Baad Pak-Australia Taakra Isi Retractable Roof Rakhnay Walay Stadium Mein Hua. Yahan Pakistan Nay Apni Bowling Ka Jadu Dikha Dia. Wasim Akram Nay Match Ki First Ball Par Adam Gilchrist Ko Aur Usi Over Mein Ricky Ponting Ko Out Kar Kay Tehlka Macha Dia. Australia Aisa Backfoot Par Gaya Ke Phir Damien Martyn Ki Fifty Bhi Usay Aik Big Total Tak Nahi Puhancha Saki. Pakistan Ko Mila 168 Runs Ka Target, Wo Alag Baat Ke Isay Bhi Bhi Allah Allah Kar Kay Haasil Kar Paya. Younis Khan Ki Not Out Fifty Nay 49th Over Mein Target Tak Puhanchaya, Aur Pakistan Jeeta Sirf 2 Wickets Say.

Shoaib Ka Din

Raftar Bharne Do

Phir Aaya 19 Jun 2002 Ka Din, Jab Super Challenge II Series Ka Third Aur Decisive Match Brisbane Mein Hua. Pakistan Nay Yahan Top Performance Di. Imran Nazir Aur Saeed Anwar Ki 94 Runs Ki Opening Partnership Rahi. Phir Mohammad Yousuf Kay 61 Aur Wasim Akram Kay Fast & Furious 49 Runs Nay Pakistan Ko 256 Runs Tak Puhancha Dia.

Wasim Akram Ki Ye Innings Is Liay Important Thi Kyunke 108 Tak Pakistan Ka Sirf 1 Out Tha, Laikin Phir Sirf 60 Runs Kay Izafay Say 7 Wicket Gir Gaeen. Is Collapse Ko Wasim Akram Ki Innings Nay Hi Sanbhala. Unhon Nay Yousuf Kay Saath Mil Kar Last 10 Overs Mein 88 Runs Ka Izafa Kia.

Match Ki Highlight Thi Wasim Kay Glenn McGrath Ko Lagaey Gaey 2 Consecutive Sixes.

Khair, Ab Australia Ko Dunya Kay Sub Say Khatarnaak Pace Attack Ka Saamna Tha: Wasim Akram, Waqar Younis Aur Shoaib Akhtar. Is Liay Ye Target Hasil Karna Mushkil Hi Nahi, Na-Mumkin Tha.

Shoaib To Us Din Balls Nahi Aag Kay Golay Phenk Rahay Thay. Unhon Nay Ponting, Darren Lehmann, Damien Martyn Aur ‘Man Of Crisis’ Michael Bevan Ko Out Kar Kay Australia Kay Thoray Buhat Chances Bhi Khatam Kardiau. Un Kay 5-25 Ki Waja Say Australia 40  Overs Mein Sirf 165 Runs Par All Out Hua Aur Pakistan Series Jeet Gaya.

Pakistan Bana No. 1

Is Kamyabi Kay Sath Pakistan Ko Aik Bara Tohfa Mila World No. 1 Ban’nay Ka. Laikin Ye Jandaar Performance, Aisay Shandaar Players Aur Phir Top Of The World Hona Bhi Pakistan Kay Kisi Kaam Na Aaya. Next Year World Cup Mein Humain First Round Exit Ka Saamna Karna Para. Is World Cup Nay Wasim Akram, Waqar Younis Aur Saeed Anwar Jaisay Players Ka Career Khatam Kar Dia.

Australia Ka Raj

Raftar Bharne Do

Aur Australia Ka Kya Hua? Is Shikast Kay Sirf 4 Maheenay Baad Wo Dubara World No. 1 Bana Aur Is Martaba To Is Position Say Chipak Hi Gaya. Record 52 Weeks Tak, October 2002 Say January 2007 Tak Wo Sub Say Aagay, Sub Say Ooper Raha Aur Consecutive 2 World Cup Is Tarah Jeeta Kay Un Mein Koi Team Usay Aik Match Tak Nahi Hara Saki. Aisi Dominance Cricket History Mein Buhat Kam Dekhi Gai Hay.

Pakistan Us Kay Baad 20 Saal Tak Kisi Bhi Series Mein Australia Ko Nahi Hara Saka. Away Ho Ya Home, Har ODI Series Australia Kay Naam Rahi, Yahan Tak Ke Babar Azam Ki Kaptani Mein Pakistan Nay Last Year, Yani 2022 Mein, Australia Ko Home Series Mein 2-1 Say Shikast Di.

Australia Kay Baad Pakistan West Indies Ko Bhi Home Ground Par Hara Chuka Hay, Kya Ab Agli Baari World No. 1 New Zealand Ki Hay? Agar Clean Sweep Ho Jaey To Maza Hi Aa Jaey.

شیئر

جواب لکھیں