Digital Revolution Kay Baad Technology Hamari Daily Life Main Aik Inqilab La Chuki Hay. Is Revolution Ko Jari Rakhnay Kay Liay Technology Experts Ki Demand Hamesha Say Rahi Hay Aur Aagay Bhi Is Main Izafa Hota Rahay Ga.

Forbes Ki Report Main Bataya Gaya Hay Ab Tech Job Market Main Tabdeeli Arahi Hay. College Graduates Jo 2030 Main Pass Out Hongay, Un May Say 85% Kay Liye Jobs Abhi Tak Invent Hi Nahi Hui Hain.

Is Ka Matlab Yeh Hay Kay Skills Bhi Tabdeel Hongi. Artificial Intelligence Aur Automation Ka Kirdar Barh Jaey Ga. Dunya Bhar Main Established Organizations New Technology Samajhnay Walay Logon Ko Hire Ker Rahay Hain Takay Woh Apni Expertise Say Zyada Value Add Ker Sakain.

Is Modern Era Main Digital Revolution Ki Waja Say In-Demand Tech Skills Per Aik Nazar Daltay Hain Jo Jobs Kay Liye Ehaam Samjhi Jarahi Hain.

Data Storytelling

High Demand Jobs Aur Digital Revolution Main Data Communication Aur Data Storytelling Sab Say Ooper Hain. Aik Report Main Bataya Gaya Hay Kay 2025 Ki Job Market Main 70% Jobs Direct Data Sciences Say Related Hongi. Data Ko Iss Era Main Sab Say Powerful Tool Kaha Ja Raha Hay. Data Storytelling Kay Through Aap Complexed Topics Ko Aisay Paish Ker Saktay Hain Jis Kay Zariye Technical Knowledge Easy Hojati Hay. Modern Tools Aur Techniques Say Aap Information Gather Ker Saktay Hain. Data Gathering Aur Us Kay Usage Say Business Decision Main Kafi Help Milti Hay.

Cyber Security

Dunya Bhar Main Hacking, Cyber Attack Aur Data Breach Increase Horahi Hay. Businesses Per Bhi Iss Kay Financial Loss Ka Impact Araha Hay. Hackers Ko Corporate World Aur Un Kay Data Ki Safety Kay Liye As A Direct Threat Pinpoint Kiya Gaya Hay.

Is Kay Solution Kay Liye Different Companies Highly Skilled Cyber Security Experts Hire Ker Rahi Hain Aur In Ki Jobs Barh Rahi Hain. Sensitive Data Protection Aur IT Sector Kay Infrastructure Main Cyber Security Experts Ki Buhat Ziada Maang Hay.

Kaha Jaraha Hay Hay Iss Saal Iss Field Main 10 Million Jobs Create Horahi Hain Jis Ki Waja Say Is Skill Ko Seekhnay Walon Ki Demand High Rahay Gi.

Machine Learning Aur Artificial Intelligence

Hamaray Daily Routine Main Artificial Intelligence (AI) Aur Machine Learning (ML) Ki Importance Barh Rahi Hay. Online Singing Module Say Laiker Alexa Bot Say Baat Kernay Taak, Hamaray Buhat Say Kaamon Main Machines Ka Influence Barh Raha Hay.

Report Main Bataya Gaya Hay Kay Specifically Is Technology Per 2023 Main World Wide 500 Billion Dollar Say Ziada Expenditure Aaey Ga. Jo Log Machine Learning Aur Artificial Intelligence Main Expert Hona Chahtay Hain Un Kay Liye Field Open Hai. Domain Learning Say Programing Aur Data Analysis Jaisi Fields Main Anay Walay Waqt Main Itni Jobs Aayen Gi Kay Aap Ki Soch Hay!

UX Design

Is Expertise Kay Zariye Yeh Yaqeeni Banaya Jata Hay Kay Technology Customer Friendly Ho. Iss Main Mobile Banking App Per Kaam Kernay Kay Ilawa Article Themes Ki Categorization Hoti Hay.

E-Commerce Main UX Designers Ki Zaida Zaroorat Hoti Hay. UX Designers Kay Skills Main Market Aur Customers Per Research, Wireframe Design Aur Service Quality Tools Per Kaam Ana Eham Hota Hay. Programming Language Per Command Hona Bhi Job Market Main Aap Ko Numayan Ker Daiti Hay.

Yeh Skills Aur Jobs Kernay Walay Kisi Organization Kay Customers Ya Workforce Kay Liye Software Ya Applications Bana Saktay Hain Aur Is Kay Liye Costly Software Developments Projects Ki Zaroorat Nahi Rehti.

Digital Marketing

Hum Aisi Economy Ka Hissa Hain Jahan Hamari Attention Buhat Hi Valuable Commodity Hay. Digital Marketing Say Customers Ki Tawajuh Hasil Karna Ab Buhat Ehm Hay. Paid Social Media Advertising Say Lai Ker Influencer-Led Campaigns, Search Engine Optimization (SEO), Email Marketing Funnels Aur Metaverse Jaisay Platforms Aur Technically Creative Hain Jobs Ki Demands Bhi Barh Rahi Hay.

Cloud Computing

Cloud Technology Nay Data Science Main Halchal Macha Di Hay. Report Kay Mutabiq Worldwide Cloud Data Saving Per 591.8 Billion Dollar Ka Expense Aye Ga. Modern Day Business Main Cloud Migration Ki Importance Barh Rahi Hay Aur Digital Revolution Main Iss Ko Vital Step Samjha Jaraha Hay.

Cloud Computing Worldwide Organizations Main Revolution Lanay Aur Un Ki Taraqqi Kay Liye Critical Role Play Keray Gi. Iss Main Expansion Kay Liye Business Ventures Ko Highly Training Aur Talented Professionals Ki Zaroorat Hogi. Yeh Experts Database, Linux Aur SQL Jantay Hon, Aur Oracle, Google, AWS Aur Cloud Technologies Say Waqif Honay Chahiyen.

Is Say Koi Farq Nahi Parta Kay Hum Kaun Hain Aur Kia Kertay Hain? Technology Kay Experts Apnay Aap Ko Behtar Andaz Main Job Market Main Portray Ker Kay Millions Earn Ker Saktay Hain. Ager Aap Thori Si Mehnaat Kernay Yeh Skills Seekh Lain Tou Aap Bhi Job Competition Ki Race Main Tez Bhag Sakain Gay.

شیئر

جواب لکھیں