Youth Kay Inqilab Ka Safaya Karkay Lagta Hay Ab Waqai Naya Pakistan Ki Jaga Purana Pakistan Aa Chuka Hay. 69 Saal Kay Haroon Rasheed Ko Pakistan Cricket Board Mein Naya Chief Selector Laga Dia Gaya Hay.

Haroon Rasheed Nay 1977 Say 1983 Kay Beech 23 Test Aur 12 ODIs Khelay Thay, Yani Competitive Cricket Khelay Huay 40 Saal Guzar Chukay Hain. Wo Itnay Puranay Hain Ke 1995 Mein Wohi Select Kar Kay Mohammad Wasim Aur Shahid Afridi Ko Under-19 Mein Laey THay. Jee Haan! Donon Recent Chief Selectors Unhi Kay Hathon Under-19 Cricket Mein Aaey Aur Phir Peechay Murr Kar Nahi Dekha. Haan! Pakistan Cricket Board Musalsal Peechay Hi Dekh Raha Hay. Tabhi Baasi Karhi Mein Ubaal Nazar Aaya Hay.

Batein Jadeed Cricket Ki, Laikin...

Aik Aisay Waqt Mein Jab Har Taraf Jadeed Cricket Ki Baat Ki Ja Rahi Hay, Aur Ilzam Bhi Lagaya Ja Raha Hay Ke Pakistan 90s Style Ki Cricket Khel Raha Hay, Tab 90s Hi Ka Aik Chief Selector La Kar Bithana Kya Sabit Karta Hay? Is Faislay Say New System Aur New Approach Ki Bataein Hawa Ho Gai Hain.

Last Time Haroon Rasheed Ko 2016 T20 World Cup Mein Pakistan Ki Shikast Kay Baad Chief Selector Kay Uhday Say Hataya Gaya Tha. Ab 7 Saal Baad Un Mein Aisay Kaun Say Surkhab Kay Par Lag Gaey Hain Ke Un Ki Wapsi Ko Aik Inqilabi Faisla Samjha Jaey?

Challenges New, Solution Puranay

Is Saal Pakistan Nay Asia Cup Khelna Hay, ICC World Cup Mein Shirkat Karni Hay Aur Sab Say Mushkil Ye Ke Australia Ka Tour Karna Hay, Usi Saal PCB Ka Aisay Faislay Karna Samajh Say Bahar Hay. Khair, Ye Jo Naya Setup Hay, Is Say To Kuch Bhi Umeed Ki Ja Sakti Hay.

Waisay Mohammad Wasim Aur Shahid Afridi Ka Mazaq Uranay Walon Ko Haroon Rasheed Mubarak Hon! PCB Ko Old Age Home Banta Dekh Kar Unhain Zaroor Khushi Hui Hogi. 😏

شیئر

جواب لکھیں