Pakistan Mein Jeena Asan Tou Shayad Kabhi Nahi Tha Lekin Ab Mazeed Mushkil Hota Ja Raha Hai. Ye Hum Nahi Keh Rahay Balkay Pakistan Bureau Of Statistics Ki Nai Report Mein Kaha Gaya Hai. PBS Ne Pakistan Ki Population Aur Death Rate Ke Mutaliq 2020 Ka Pakistan Demographic Survey Jari Kardiya Hai.

Survey Ke Mutabiq Pakistan Mein 2019 Mein Majmoi Ausat Umar 65.4 Saal Thi Jo 2020 Mein 65 Saal Reh Gayi Hai. Mardon Ki Mutawaqqa Ausat Umar Mein Izafah Hua Hai Jo 64.3 Se Barh Kar 64.5 Saal Hogayi Hai. Jabkay Khawateen Ki Aust Umar Jo 2019 Mein 66.5 Saal Thi 2020 Mein Wo Kam Ho Kar 65.5 Ho Chuki Hai.

Population And Death Rate of Pakistan, Life Expectancy
Pakistan Bureau Of Statistics, Life Expectancy

Pakistan Ki Population Aur Death Rate

PBS Ke Mutabiq 2020 Mein Pakistan Ki Population 22 Crore Ho Gayi Hai. Jin Mein Mardon Ki Tadaad 11 Crore 16 Laakh Jabkay Khawateen Ki Tadaad 10 Crore 87 Lakh Hai. Pakistan Mein Birth Rate 2.7 Percent Hai. Yani 2020 Mein Taqreeban 59 Laakh Bachon Ki Pedaish Hui. Jabkay 14 Laakh 77 Hazaar Afraad Ki Amwat Hueen. Abadi Mein Khalis Izafah 44 Laakh 25 Hazaar Raha. Is Terhan Pakistan Mein Abadi Mein Izafay Ki Khalis Sharah 2 Feesad Rahi.

Population And Death Rate of Pakistan; Total Population

Namaloom Wajuhaat Se Amwaat Sab Se Ziyada?

PBS Ki Report Ke Mutabiq 2020 Main Pakistan Main Death Rate 0.67 Percent Raha. Total 14 Lakh 77 Hazar Amwat Hueen Jabkay Amwat Ki Barri Waja Namaloom Hai. Survey Mein Bataya Gaya Hai Ke 2020 Mein 21. 4 Percent Log Namaloom Wajuhaat Se Jaan Se Gaye. Yani 14 Laakh 77 Hazaar Amwaat Mein Se 3 Laakh 16 Hazaar Afraad Ki Maut Ki Wajah Hi Nahi Pata Chal Saki .

Maloom Wajuhaat Mein Sab Se Barri Wajah Dil Ki Bimarion Ko Qarar Diya Gaya Hai Jis Ki Sharah 14.74 Feesad Rahi. Jis Ka Matlab Hai Ke 2 Laakh 17 Hazaar Afraad Dil Ke Amraaz Ki Wajah Se Mout Ke Munh Mein Pohnchay. PBS Ke Mutabiq Is Ke Baad 9.28 Percent Ke Sath Bukhaar Ne Sab Se Ziyada Zindagiyon Ke Chiragh Bujhaye. Herat Angaiz Tor Par Bukhaar Ko Itni Ziyada Tadaad Mein Amwaat Ki Wajah Qarar Diya Gaya Hai. Halaankay Bukhaar Bazat-e-Khud Koi Beemari Nahi. Balkay Deegar Amraaz Ya Infection Ki Alamat Hota Hai. Is Se Bhi Ziyada Herat Angaiz Baat Yeh Hai Ke PBS Ne Malaria Aur Dengue Ke Adaad-o-Shumaar Alag Se Diye Hain. Is Ko Bukhaar Mein Shaamil Nahi Kya Gaya Hai.

Population And Death Rate of Pakistan, Cause Of Death
Pakistan Bureau Of Statistics: Cause Of Deaths


Report Mein Kaha Gaya Hai Ke 2020 Mein Stroke Se Amwaat Ki Sharah 6.45, Diabetes Se 5.63 Percent, Cancer Se 5.5 Feesad Rahi. Asthma (3.85%) Aur Saans Ki Bimarion (3.64%) Ko Bhi Alag Alag Shumaar Kya Gaya Hai.

Pakistan Demographic Survey Ke Mutabiq 2020 Mein Corona Se Halakatain Total Amwaat Ka 1.1 Percent Raheen. Jo Taqreeban 16 Hazaar Banti Hai. Isi Terhan Taqreeban 8 Hazaar Afraad Ko Qatal Karkay Mout Ki Neend Sulaya Gaya Jabkay 3700 Afraad Ne Khudkushi Ki.

شیئر

جواب لکھیں