32 Teams, 64 Matches, 29 Days Aur Middle East Mein Pehla World Cup. Dunya Ki Nazrein Ab Qatar Par Hain, Jahan Sunday Say Shuru Ho Raha Hay FIFA World Cup 2022. Jis Mein Lionel Messi Aur Cristiano Ronaldo Ko World Champion Ban’nay Ka Last Chance Milay Ga. Aur Brazil Record 6th Title Hasil Karnay Ki Koshish Karay Ga.

Favourites kaun?

Brazil Is Waqt FIFA Ki World Rankings Mein No. 1 Hay. Us Kay World Famous Players Neymar Aur Vinícius Júnior Zabardast Form Mein Hain. Yani Brazil 20 Saal Baad Apna Pehla World Cup Jeet Sakta Hay.

Phir Brazil Ka Rival Argentina Hay, Messi Ka Argentina, Jo 35 Matches Say Unbeaten Hay. Laikin Great Diego Maradona Kay Baad Say Aaj Tak Argentina World Cup Nahi Jeet Saka. 2014 Mein Final Tak To Puhancha Laikin Germany Ko Hara Nahi Saska. Ab Lionel Messi Ko One Last Chance Mila Hay Ke Wo FIFA World Cup Trophy Lay Kar International Football Say Rukhsat Hon.

Waisay World No. 3 To Belgium Hay Laikin Is Say Zyada Chances Defending Champion France Kay Hain. Paul Pogba Aur N’golo Kante Kay Injured Honay Kay Baad Bhi Team Main Buhat Jaan Hay. Kyunke Attack Mein Hain Kylian Mbappé Aur Karim Benzema. Masla Sirf Ye Hay Ke 1962 Kay Baad Say Aaj Tak Koi Team Apna Title Defend Nahi Kar Saki. Kya France New History Banaey Ga?

England Rankings Mein Hay World No. 5 Laikin Us Ka Haal Itna Achha Hay Nahi. Last 6 Matches Mein Koi Nahi Jeet Saka. Laikin Baray Tournaments Mein Mazboot Record Rakhta Hay. 2018 Mein Honay Walay Last World Cup Mein Bhi Semifinalist Raha Tha. Phir 2021 Ki European Championship Mein Runner-Up Bhi Tha. Chalain Dekhtay Hain Ke England 1966 Kay Baad Pehla World Cup Jeet Pata Hay Ya Nahi.

FIFA World Cup Kay Baray Naam

Lionel Messi, Aik Buhat Bara Naam. Aisa Player Jis Nay 7 Martaba ‘World Player Of The Year’ Ka Title Jeeta Hay. Ab 35 Saal Ki Umar Mein Messi Koshish Karain Gay Apna Pehla World Cup Jeetnay Ki. Agar Aisa Hua To Wo Waqai Football Kay Legendary Players Mein Say Aik Ban Jaen Gay. Aur Dil Say Poochain To Messi Aik FIFA World Cup To Deserve Kartay Hain.

Phir Messi Ka Rival Cristiano Ronaldo Hay. Wo European Champion To Ban Chukay Hain Laikin Kabhi FIFA World Cup Nahi Jeeta, Balkay Kabhi Final Bhi Nahi Khela. Ab 37 Saal Ki Umar Mein Last Try Marain Gay. Dekhtay Hain Kya Gul Khilatay Hain?

France Kay Kylian Mbappé Bhi Hain. Jinhon Nay 2018 Mein Sirf 19 Saal Ki Umar Mein France Ko World Cup Jitwaya Tha. Agar Aik Baar Phir Champion Ban Gaey To Brazil Kay Great Player Pelé Ki Tarah Itni Kam Umar Mein Title Defend Karain Gay.

Dunya Ka Best Midfielder Kaha Jata Hay Belgium Kay Kevin De Bruyne Ko. Laikin Belgium To Kabhi World Cup Nahi Jeeta. Last World Cup Mein Wo 3rd Number Par Zarur Aaya Tha. Kya Is Martaba Mazeed Aagay Barh Sakay Ga? Agar Aisa Hua To De Bruyne Ka Role Important Hoga.

Aakhir Mein Naam Aata Hay Brazil Kay Neymar Jr. Ka, Jo Aaj Bhi Brazil Kay Most Famous Player Hain. Kuch Karain Gay Bhi Ya Sirf Zakhmi Honay Kay Dramay Kartay Rahain Gay? Ye Waqt Bataey Ga.

Groups Main Kaun Kaun?

4,4 Teams Kay 8 Group Banaey Gaey Hain. Har Group Say Top 2 Teams 16-Teams Knockout Stage Mein Jaen Gi.

In Mein Say Group B Ko 'Group of Death' Kaha Ja Raha Hay, Jis Mein England Kay Ilawa Iran, United States Aur Wales Shamil Hain. Jee Haan! 1998 Kay Baad Is Martaba Bhi USA Aur Iran Aik Hi Group Mein Hain.

FIFA World Cup 2022 Mein Har Din 4 Matches Khelay Jaen Gay. Aur Group Stage Mein Bhi Koi Break Nahi Hoga.

Matches Kab Aur Kahan?

FIFA World Cup 2022 Kay Matches Sunday 20th November Say Shuroo Hon Gay. Final 18 December Ko Lusail Iconic Stadium Main Hoga.

Must Watch Games

FIFA World Cup Ka Pehla Match Sunday 20 November Ko Host Qatar vs. Ecuador Mein Khela Jaey Ga. Lazmi Si Baat Hay Ye Match To Dunya Dekhay Gi. Laikin Pehla Bara Muqbla Hay 26th November Ko, Jab Argentina vs. Mexico Aamnay Samnay Hon Gay. Ye Match Faisla Karay Ga Ke Group C Mein Kaun Top Karay Ga.

FIFA World Cup

Next Day Yani 27th November Ko Spain vs. Germany Takraen Gay. Aagay Khud Samjh Jaen Ke Is Match Mein Hoga Kya. 

Aik Zabardast Taakra 29 November Ko Hoga Jab Iran vs. United States Hoga. Yani 1998 Kay 'Mother Of All Games' Ka Part II.

2 December Ko Ghana vs. Uruguay Muqabil Hoga. Aik Aisa Match Jo Kai Purani Yadein Aur Dushmani Taza Kar Day Ga. 2010 FIFA World Cup Kay Quarter-Final Mein Last Minute Par Uruguay Kay Luis Suarez Nay Hathon Say Goal Rok Dia Tha. Penalty Par Ghana Score Nahi Kar Saka Aur Baad Mein Penalty Shootout Par Haar Bhi Gaya. Uruguay Semi Final Mein Puhancha Aur Ghana Final-4 Mein Jaga Bananay Wala Pehla African Mulk Na Ban Aska. Yani Ye To ‘Badla Series’ Hogi.

Match Dekhain Kahan?

Pakistan Mein A Sports Par FIFA World Cup Kay Matches Live Aaen Gay. Ye Muqablay Ary Zap App Par Bhi Dekhay Ja Sakain Gay.

شیئر

جواب لکھیں