Winter Vacations Start Ho Chuki Hain. Bachay Ghar Par Hain Aur Khoob Mazay Kar Rahay Hain. Ho Sakta Hay Vacations Kay Liay Aik Movies List Bhi Bani Ho. Raaton Mein Kambal Main Ghuss Kar Coffee, Chai Aur Dry Fruits Kay Sath Movies Dekhnay Ka Jo Maza Hay, Wo Shayad Vacations Mein Bhi Nahi. Laikin Bachay Dekh Kya Rahay Hain? Ye Aap Ko Pata Zaroor Hona Chahiye.

Aajkal Ki Busy Life Mein Maan Baap Say Aik Ghalti Buhat Zyada Ho Rahi Hay, Wo Ye Ke Wo Bachay Ko Movie Laga Kar Khud Apnay Kaam Mein Lag Jatay Hain Aur Jaantay Tak Nahi Ke Aakhir Us Movie Mein Kya Dikhaya Ja Raha Hay. Aisa Bilkul Na Karain!

Ab Wo Zamana Nahi Raha Ke Bachon Ki Movies Mein Sirf Subliminal Messages Hon. Ab Sab Kuch Khullay Aam Dikhaya Ja Raha Hay, Especially LGBTQ Propaganda To Apnay Urooj Par Hay. Jee Haan! Bachon Ki Movies Mein Bhi.

To Aayen Hum Aap Ko Batatay Hain Kuch Aisi New Movies Kay Baray Mein, Jinhain Bachon Ki Puhanch Say Door Rakha Zaruri Hay.

Lightyear

Movies

Toy Story Yaad Hay Na? Kya Movie Thi, Aisi Ke Jis Nay Animated Movies Ko Mainstream Bana Dia. Yahi Nahi Balkay Is Silsilay Ki Next Movies Bhi Kamal Theen. Toy Story Silsilay Ki 4 Movies Mein Hamain Woody Aur Buzz Lightyear Ki Harkatain Dekhnay Ko Mileen, Yahan Tak Ke 2022 Mein Is Series Ki Aik New Movie Dekhnay Ko Mili: Lightyear.

Walt Disney Aur Pixar Animation Ki Ye Animated Movie Asal Mein Buzz Lightyear Ki Kahani Hay. Jisay Movie Kai Muslim Countries Mein Ban Kia Gaya? Egypt Say Lay Kar Malaysia Aur Qatar Say Saudi Arabia Aur United Arab Emirates Tak. Kyun? Kyunke Is Movie Ki Aik Important Character Alisha Hawthorne Ko Khullay Aam Gay Dikhaya Gaya Hay. Balkay Aik Scene Mein To Wo Apni Partner Kiko Ko Kiss Bhi Karti Hay.

Ab Bachon Ki Movies Mein Is Tarah Khulla LGBTQ Propaganda Hoga? Is Ghalazat Ko Youn Normalize Karna Samajh Nahi Aa Raha. Behtar Yahi Hay Ke aap bachon ko koi movie dikhanay say pehlay khud dekhain, aur faisla karain ke ye unhain dikhanay kay qabil hay ya nahi.


The Mitchells vs. The Machines

Movies

2021 Ki Ye Movie Aik Ajeeb Family Ki Kahani Hay. Maan Baap Aur Bachon Ki Aapas Mein Nahi Banti. Baap Rick Mitchell Zara Sakht Qisam Ka Hay, Samjhain Aik Mashriqi Baap Bana Hua Hay. Un Kay Tense Relations Ki Kahani Chal Hi Rahi Hoti Hay Ke Zameen Par Robots Qabza Ho Jata Hay. Phir Puri Film Is Family Ki Dunya Ko Bachanay Ki Koshish Par Mabni Hay.

To Is Mein Masla Kya Hay? Masla Main Character Katie Mitchell Ka Hay. Puri Movie Mein Is Kay Kapron Par Rainbow Badge Laga Hua Dikhaya Gaya Hay. Yani Heroine Hi Homosexual Hay. Is Cheez Ko Story Ka Hissa To Nahi Banaya Gaya Aur Na Hi Baap Beti Kay Ta’luqat Kharab Honay Ki Bunyadi Waja Kay Taur Par Dikhaya Gaya Hay, Laikin Message To Chhor Dia Gaya Na? Bachon Kay Liay Homosexuality Ko Normalize Karnay Ki Koshish To Ho Gai Na? Jab Baray Hon Gay To Wo bhi isay normal cheez samjhain gay.


Turning Red

Movies

Aajkal Hollywood Mein Aik Naya Fashion Aaya Hua Hay, Aisi Movies Bananay Ka Jin Mein Parents Ghalat Hotay Hain Aur Kahani Hoti Hay Un Ki Apni Ghalti Tasleem Karnay Aur Bachon Ko Sorry Kehnay Ki. Saal Ki Best Movies Mein Say Aik Everything Everywhere All At Once Bhi Isi Mozoo Par Thi Aur The Mitchells Vs. The Machines Bhi. Laikin Bachon Ki Jis Movie Nay Is Saal Is Subject Ko Aik Naey Level Par Puhanchaya Hay, Wo Turning Red Thi.

Ye Movie 13 Saal Ki Bachi Mei Ki Kahani Hay, Jisay Adult Yani Baligh Hotay Hi Pata Chalta Hay Ke Us Ki Family Ko Aik Magical Power Hasil Hay Ke Yahan Larki Jaisay Hi Barri Hoti Hay, Wo Red Panda Ban’nay Ki Salahiyat Haasil Kar Leti Hay. Phir Kahani Hay Aik Pareshan Maan Aur Us Ki Ziddi Beti Kay Beech Tense Relations Ki.

Is Nazuk Subject Ko Movie Nay Jis Bhonday Andaz Mein Aagay Barhaya Hay, Ke 13 Saal Ki Bachi Heroine Par Maan Villain Kay Roop Mein Hay, Sakht Mayoosi Hui.

Movies

Yahi Waja Hay Ke Is Movie Par Parents Nay Buhat Aiteraz Kia. Aik To Bachon Ki Movie Periods Kay Mozoo Par, Phir Us Mein Maan Ko Villain Dikhana, Aur Ye Sabaq Dena Ka Aap Ko Apni Marzi Chalani Chahiay, Phir Chahay Is Ki Raah Mein Maan Baap Hi Kyun Na Aayen, Unhain Reject Kardain.

Parents Aur Society Ki Expectations Kay Khilaf Jana Aur Man Marzi Karna Hollywood Ka Koi Naya Mozoo Nahi. Aladdin Aur Mulan Say Luca Tak Aisa Bachon Ki Kai Movies Mein Dikhaya Gaya Hay, Laikin Jis Tarah Ab LGBTQ Propaganda Kay Liay Bachon Ki Movies Isteymal Ki Ja Rahi Hain, Lagta Hay Khuch Asay Mein Ye Movies Bhi Dekhnay Kay Qabil Nahi Rahain Gi.

شیئر

جواب لکھیں