Aaj Us Shakhs Ki Barsi Hai Jo Kehta Tha

Ab Koi Mujh Ko Tokta Bhi Nahi

Yahi Hota Hai Khandan Mein Kya

Khandano Mein Waqai Aisa Nahi Hona Chahiye. Lekin Jaun Ke Sath Yahi Hua, Bhaiyon Ko Allah Nay Bula Lia, Biwi Chorr Kar Chali Gayi. Bachay Bhi Khafa. Jaun Ki Aakhri Umr Doston Aur Shagirdon Ke Saharay Guzri, Aakhri Ayyaam Musavvir Shahid Rassam Kay Ghar Katay.

Pakistani Poet Jaun Elia

Dunya Nay, Maddahon Nay, Shagirdon Nay Jaun Ko Buhat Mohabbat Di, Phir Bhi Woh Mohabbat Ko Tarastay Rahay, Taraptay Rahay. Inhen To Wisal Mein Bhi Judai Ki Soojhti. Farmatay Hain

Bohat Nazdeek Aati Jarahi Ho

Bicharnay Ka Irada Karliya Kya

Jaun Sahib Sirf La-Ubali, Hawaas Bakhta Aur Aashiq Pesha Sha’ir Hi Nahi Thay, Mosoof Barray Parhay Likhay Aadmi Bhi Thay. Farsi, Urdu To Khair Ghutti Mein Pari Hui Thi, Lekin Qibla Ko Arbi Aur Hairat Angez Taur Par Ibrani (Hebrew) Par Bhi Khasa Uboor Tha. Pedaishi Taur Par to Amroha Ke Shia Thay Lekin Poora Khandan Hi Bara Wasee-ul-Mashrab Aur Maranjan-Maranj. Jaun Ne Arbi Kahin Aur Say Nahi Balkay Deoband Kay Aik Molvi Sahib Se Parhi Thi. Apne Majmoay ‘Shayad’ Ke Debachay Mein Dharallay Se Is Ka Izhar Bhi Kia.

Jaun Elia Ki Pehli Kitab Shayad Ka Title

Jaun Ne Aga Khan Foundation Ke Liye Arabi Aur Ibrani Ke Makhtootat Par Bhi Kaam Kya. Aik Risalay Mein Siyasi Aur Samaji Mazmoon Bhi Likhte Rahay. Lekin Awwal-o-Akhir Thay Sha’ir Hi.

Lambi Bhikri Zulfein, Munhani Tan-o-Taush Lekin Tawana Aur Buland Aawaz. Parhte To Musha’ira Loot Letay. Shair Mein Mohabbat Ki Kasak Bhi Hoti, Falsafay Ki Chamak Bhi. Nafsiat Ki Ghirhein Bhi Jinsiyat Ki Uljhanein Bhi. Aisay Aisay Shair Bhi Kahe Jo Sehl-e-Mumtana Ki Misaal Hain, Sehl-e-Mumtana Aisay Shair Ko Kehtay Hain Jis Ko Nasar Mein Likha Jaye Tou Bhi Lafzon Ki Tarteeb Wohi Rahay Gi.

Baatein Bohat Huien, Ab Jaun Ke Kuch Shair Sun Len:

Yeh Jo Takta Hai Aasman Ko Too

Koi Rehta Hai Aasman Mein Kya

Yeh Mujhe Chain Kyun Nahi Parta

Aik Hi Shakhs Tha Jahan Mein Kya

Kitni Dilkash Hai Too Kitna Diljoo Hoon Mein

Kya Sitam Hai Ke Hum Log Mar Jaen Ge

Suna Hay Jaun Ne Marnay Se Aik Raat Pehlay Yeh Shair Kaha Tha:

Jaun Kya Waqia Hay Honay Ko

Jee Bohat Chahta Hai Ronay Ko

Jaun Elia

شیئر

جواب لکھیں