To Green Shirts Aur Black Caps Aamnay Samnay Aa Hi Gaye. Is Pakistan vs New Zealand Kay Muqablay Ka Buhat Shiddat Say Intizar Ho Raha Hay. Ye Musalsal Doosra Mauqa Hay Ke Pakistan Kisi T20 World Cup Ke Semi-Final Tak Pohncha Hay Balkay Record 6th Martaba Semi-Final Mein Aaya Hay. Pehlay Dono World Cups Mein To Final Tak Bhi Pouncha, Aik Baar Champion Bhi Bana Lekin Phir Kabhi Trophy Nahi Utha Saka.
Ab Ho Sakta Hai 2022 Woh Saal Ho Ke Jis Mein Pakistan Apna Khoya Hua Aizaz Dobarah Haasil Karay. Lekin Is Ke Liye Usay 2 Qadam Aur Agay Barhana Hoga. Pehlay Qadam Par Semi-Final Mein New Zealand Ko Haraana Hoga. Phir Last Stage Par Muqaabla Karna Hoga India Aur England Ka Semi-Final Jeetnay Walay Se. Yani Pak-India Final Ho Sakta Hai, Bilkul Ho Sakta Hai. Bas Ik Zara Sabr!
Kher, Ziyada Door Ki Sochnay Se Pehlay Zara Pakistan Aur New Zealand Ki T20 History Par Aik Nazar Daal Laitay Hain.
T20 Internationals Mein
Dono Teams Pehli Baar T20 World Cup 2007 Ke Semi-Final Mein Hi Maqabil Aayi Theen. Yeh Cape Town Ka Khobsorat Maidan Tha Jahan Pakistan Ne Umar Gul Ki Shandaar Bowling Aur Imran Nazeer Ki Zabardast Batting Ki Madad Se Kamyabi Haasil Ki Thi Aur Final Mein Pohanch Gaya Tha.
Is Ke Baad Se Aaj Tak Pakistan Aur New Zealand T20 International Matches Mein 28 Martaba Aamnay Samnay Aa Chuke Hain. Pakistan Ne 17 Mein Kamyabi Haasil Ki Hai Yani New Zealand Se Bohat Bohat Agay Hai.
Pakistan New Zealand T20i Mein
vs | Mat. | Won | Lost | NR | |
---|---|---|---|---|---|
![]() | ![]() | 28 | 17 | 11 | 0 |
Recent Form
Mazay Ki Baat Yeh Hai Ke Recent Form Bhi Pakistan Ke Hathon Mein Hi Hai. Last 1 Year Mein Dono Teams Ke Darmiyan 4 T20 Matches Hue Hain, Jin Mein Se Pakistan Ne 3 Jeetay Hain.
T20 World Cup 2021 Mein Aur Phir Is World Cup Se Pehlay Tri-Series Ka Final Bhi Is Mein Shamil Hain. Yani Hum Keh Saktay Hain Pakistan Ko Bartari Haasil Hai.
Pakistan vs New Zealand Recent Matches
vs. | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
![]() | ![]() | Won | 5 Wkts. | Sharjah | 26 Oct 2021 |
![]() | ![]() | Won | 6 Wkts. | Christchurch | 8 Oct 2022 |
![]() | ![]() | Lost | 9 Wkts. | Christchurch | 11 Oct 2022 |
![]() | ![]() | Won | 5 Wkts. | Christchurch | 14 Oct 2022 |
T20 World Cup History
T20 World Cup Ki History Dekhen To Pakistan Aur New Zealand Ka Muqaabla 6 Martaba Hua Hai Aur 4 Baar Pakistan Jeeta Hai. Pakistan Ko 2010 Aur 2016 Ke T20 World Cup Mein New Zealand Ke Hathon Shikast Hui. Is Ke Ilawa Jab Bhi Dono Teams Aaps Mein Kheli Hain, Kamyabi Green Shirts Ko Hi Mili Hai.
Pakistan vs New Zealand in T20 World Cup
vs. | Result | Margin | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
![]() | ![]() | Won | 6 Wkts. | Cape Town | 22 Sep 2007 |
![]() | ![]() | Won | 6 Wkts. | The Oval | 13 Jun 2009 |
![]() | ![]() | Lost | 1 Run | Bridgetown | 8 May 2010 |
![]() | ![]() | Won | 13 Runs | Pallekele | 23 Sep 2012 |
![]() | ![]() | Lost | 22 Runs | Mohali | 22 Mar 2016 |
![]() | ![]() | Won | 5 Wkts. | Sharjah | 26 Oct 2021 |
Is World Cup Mein
Agar Hum Is World Cup Ki Baat Karain To Pakistan Girtay Partay Aur Duaon Kay Sahary Semi-Final Tak Pohancha Hai. India Aur Zimbabwe Se Last-Ball Thrillers Harnay Ke Baad Woh Netherlands, South Africa Aur Phir Bangladesh Ke Khilaaf Matches Jeeta. Lekin Yeh Netherlands Ki South Africa Par Up Set Kamyabi Thi, Jis Ne Pakistan Ka Rasta Hamwaar Kia.
Doosri Taraf New Zealand Ne Is World Cup Mein Zabardast Performance Dikhai Hai. Pehlay Hi Match Mein Defending Champion Australia Ko Buri Tarah Shikast Di. Balkay Aisa Haraya Ke Woh Aakhir Tak Sambhal Nahi Paaya Aur Bil-Akhir ‘Home Ground Curse’ Ka Shikaar Ho Kar Tournament Se Hi Bahar Ho Gaya.
Is Ke Baad New Zealand Ko Sirf 1 Shikast England Se Hui, Aur Us Nay Group 1 Mein Top Position Haasil Ki. Is Liye Hum Keh Satke Hain Ke New Zealand Is Match Mein Favourite Hoga. Pakistan Ke Baray Mein To Waisay Bhi Predict Karna Aasaan Kaam Nahi. Yeh Unpredictable Thay, Unpredictable Hain Aur Unpredictable Hi Rahen Ge.