Cricket Mein Koi Kitna Hi Barra ‘Tees Maar Khan’ Kyun Na Ho, T20 World Cup Ki Mezbani Raas Nahi Aati. Dekhain Na Abhi Australia Kay Saath Kya Hua. Sirf 1 Match Haara, Laikin T20 World Cup ‘Home Ground Curse’ Aisa Ke Phir Bhi Semi-Final Tak Nahi Puhanch Saka.
Aur Aisa Pehli Baar Nahi Hua. T20 World Cup Ki To Poori History Hay Ke Is Main Host Hamesha Phansta Hay. Khud Dekh Lein.
Pehla Shikar South Africa
Pehla T20 World Cup 2007 Mein South Africa Main Hua Tha. Ye Aik Revolutionary Idea Tha, Jis Nay Cricket Ko Hamesha Kay Liay Badal Kar Rakh Dia. India Aur Pakistan Kay Final Nay To T20 Cricket Ko Aasman Par Puhancha Dia. Laikin South Africa Kay Saath Kya Hua? Bechara! Super 8 Mein England Aur New Zealand Ko Haranay Kay Baad Aik Crucial Match Mein India Say Haar Gaya. Wo Bhi 37 Runs Kay Big Margin Say. Is Say Net Run Rate Kharab Ho Gaya Aur Jab Semi-Final Kay Liay Baat NRR Par Aai To Race Say Bahar Hona Parra.
England Bhi Gaya
Phir 2009 T20 World Cup Mein England Host Tha. Jo Super 8 Kay Start Mein Hi South Africa Say Buri Tarah Haar Gaya. Phir Defending Champion India Ko Haraya Laikin West Indies Kay Against Last Match Nay Usay Phansa Dia. West India Rain Affected Match Main Duckworth-Lewis Method Par Jeet Gaya. Aur England Ho Gaya Bahar!
Caribbean Main "Kabarra"
Isi West Indies Ko Khud Bhi Mezbani Hazam Nahi Hui. 2010 Ka T20 World Cup Caribbean Sarzameen Par Hua Tha. Jis Main West Indies Super 8 Mein Sirf 1 Match Jeet Saka. Sri Lanka Aur Australia Kay Khilaf Matches Mein Shikast Khai Aur Tournament Say Bahar Ho Gaya.
Yani West Indies Bhi Knockout Stage Tak Nahi Puhancha.
Lanka Dha Di
Haan! 2012 Mein Sri Lanka Ki Performance Kamal Rahi. Is Nay Super 8 Mein Apnay Teenon Matches Jeetay. New Zealand Ko Super Over Mein Haraya. Phir West Indies Ko 9 Wickets Say Aur England Ko 19 Runs Kay Margin Say Shikast Di. Yani Nahi, Semi-Final Mein Pakistan Ko Bhi Hara Dia.
Final Mein Sri Lanka Ka Muqabla Hua ‘Kaali Aandhi’ Yani West Indies Say. Jis Kay Khilaf Super 8 Mein Sri Lanka 9 Wickets Say Jeeta Tha. Laikin Kahan Wo Performance Aur Kahan Final Main Buri Tarah Shikast. Sri Lanka Home Ground Par Kheltay Huay, Final Mein, Sirf 138 Chase Kartay Huay 101 Runs Par All-Out Ho Gaya. Is Say Barra T20 World Cup ‘Home Ground Curse’ Kya Hoga?
Bangla “Kangla”
2014 Ka World Cup Bangladesh Mein Hua Tha. Jisay Title Favourite To Nahi Keh Saktay Laikin Itni Buri Performance Ka Andaza Nahi Tha. First Round Main Hong Kong Say Hara Aur Phir Super 10 Mein Apnay Sub Matches Mein Bhi Shikast Khai, Wo Bhi Buri Tarah. West Indies Kay Hathon 73 Runs Say Hara, India Say 8 Wickets Say, Pakistan Kay Khilaf 50 Runs Say Aur Australia Say 7 Wickets Say. T20 World Cup History Mein Kisi Host Ka Is Say Bura Haal Nahi Dekha Gaya.
Billions Of Hearts Toot Gaey
Laikin 2016 Mein India Home Ground Par Favourite Tha. Wo Last World Cup Ka Runner-Up Bhi Tha, Form Bhi Behtareen Thi Aur Khela Bhi Buhat Achha. Super 10 Mein 4 Mein Say 3 Matches Jeetay. Pakistani Ko Bhi 6 Wickets Say Haraya, Laikin Semi-Final Darren Sammy Kay West Indies Say Parr Gaya. Jis Kay Samnay Dunya Ki Koi Taqat Nahi Ruk Saki. Mumbai Mein 193 Runs Kay Target Bhi West Indies Ko Jeetnay Say Nahi Rok Saka. Host Ko Aik Baar Phir Kuchh Nahi Mila.
Mighty Australia Bhi
Phir 5 Saal Tak T20 World Cup Nahi Hua. 2021 Mein Mezbani Mili United Arab Emirates Ko. Jo Khud To Khela Hi Nahi Leikin 2022 Mein To Australia Say Barri Umeedain Theen. Australia Jaisi Team Ho, Defending Champion Ho, Home Ground Par Ho To Sub Ka Khayal Tha Ke Australia Semi-Final Mein To Aaey Ga Hi Aaey Ga. Laikin Aisa Hua Nahi.
Australia Ko T20 World Cup 2022 Mein Pehlay Hi Match Main Aisa Shock Laga Ke Wo Phir Tournament Mein Wapis Nahi Aa Saka. Super 8 Round Kay First Match Mein Hi New Zealand Nay Usay 89 Runs Say Hara Dia. 201 Runs Chase Kartay Huay ‘Mighty Australia’ Sirf 111 Runs Par All-Out Ho Gaya. Ye Aik Aisa Dhachka Tha, Jis Say Wo Aakhir Tak Nikal Nahi Saka. Phir England Kay Against Match Bhi Barish Kha Gai. Aakhir Mein Afghanistan Say Khelay To Wo Bhi Apni Tournament Ki Best Performance Day Gaya. Sirf 4 Runs Say Haara Aur Australia Kay Net Run Rate Ko Tabah Kar Gaya.
To Ye Jo Mezbani Hay Na? Ye Barri Mushkil Cheez Rahi Hay. Waisay Next World Cup 2024 Mein West Indies Mein Hoga. To Hum Na Hi Samjhain?