Teenagers, Jin Say Har Koi Naraz Rehta Hay, Yahan Tak Ke Parents Bhi. Nai Nasal Ka Rona To Samjhain Ab Baron Ki Hobby Ban Chuki Hay.

Laikin Zara Sochain, Kuch Parents Bachon Ki Achi Tarbiyat Kaisay Kar Laitay Hay? Unhain Aik Kamyab Insan Kaisay Bana Laitay Hain? Teenagers Kay Sath Un Ka Relation Itna Mazboot Kaisay Hota Hay? Nahi! Un Kay Bachon Mein Kuch Khaas Nahi Hota, Balkay Ye Kamal Hota Hay Un Kay Parents Ka. Yani Tarbiyat Ki Zarurat Bachon Ko Kam Aur Baron Ko Zyada Hay. As A Parent Aap Ko Apni Soch Badalna Hogi.

Asal Mein Parents Ki Nazar Mein Aik Myth Hay Ke Teenagers Aik Sust Aur Angry Generation Hay, Jis Ka Kaam Har Waqt Idhar Udhar Paray Rehna, Kheltay Rehna, Ghussa Karna, Pair Patakhna, Darwazay Zaur Say Band Karna Aur Apnay Parents Say Naraz Rehna Hay. Kuch Teenagers Waqai Aisa Kartay Bhi Hain, Laikin Saray Bachay Aisay Nahi Hotay.

New Generation Incredible Hay, Aap Kay Andazon Say Bhi Zyada Funny, Smart, Doosron Ko Khush Karnay Aur Hansnay Hansanay Kay Liay Bay-Taab. Jab Tak Acha Food Milta Rahay, Tab Tak Sab Kuch Karnay Kay Liay Tayaar! Aap Zabardasti Inhain Jannat Mein Bhi Nahi Lay Ja Saktay, Laikin Pyar Say Ye Dozakh Janay Ko Bhi Tayar Hongay. 😀

Asal Mein Ye Nasal Pyar Ki Bhooki Hay, Isay Apni Baaton Ki Validation Darkaar Hay, Wo Chahti Hay Ke Koi Un Ki Ulti Seedhi Baaton Ko Sunay, Funny Baton Par Hansay, Khush Ho. Unhain Daantna Pasand Nahi, Aur Yahi Wo Kaam Hay Jo Aaj Kay Parents Sab Say Zyada Kartay Hain. Bacha Baat Karna Shuru Karay To Usay Khamosh Kara Dia Jata Hay, Wo Muhabbat Chahta Hay Laikin Usay Di Nahi Jati, Wo Kisi Pareshani Mein Hota Hay Laikin Poochnay Wala Koi Nahi Hota.

Is Liay Aap Ko Badalna Hoga, Apnay Liay Kuch Rules Bananay Hongay. Jaisa Ke:

Mohabbat Aur Sirf Mohabbat

Teenagers Parenting

Apnay Teenager Bachon Ki Har Ulti Seedhi Baat Ko Pasand Karain, Un Ki Harkaton Say Pyar Karain Aur Is Ka Izhar Bhi Karain Ke Aap Un Ka Kitna Chahtay Hain. Ye Kaam Daily Karain Kyunke Un Ki Imperfect Life Sirf Mohabbat Say Hi Perfect Ho Sakti Hay Aur Yahi Un Ko Aagay Aik Responsible Aur Sanjeeda Insaan Bana Sakti Hay, Aik Mohabbat Karnay Wala Insaan.

Best Listener Banain

School Say Aatay Hi Bachay Din Bhar Ki Kahanian Sunayen Gay. Aap Ghaur Say Sunain, Un Ki Hansi Kay Sath Hansain, Khushi Kay Sath Khush Hon. Is Waqt Mobile Par Kisi Say Baat, Television Par Khabrain, Ghar Kay Kaam Kaaj, Kuch Bhi Important Nahi Hay. Ye Saray Kaam Baad Mein Bhi Ho Saktay Hain. Is Waqt Na Aap Nay Koi Lecture Bhi Nahi Daina, Sirf Aur Sirf Sunain. Is Say Unhain Apni Importance Ka Andaza Hoga Aur Wo Samjhain Gay Ke Hamari Value Kya Hay. Ye Aisi Cheez Hay Jo Aagay Life Mein Un Kay Buhat Kaam Aaey Gi. 

‘Haan’ Zyada, ‘Naa’ Kam

Jab Bachay Baray Ho Jaen Gay To Unhain Zindagi Mein ‘Naa’ Kehnay Walay Bohat Milain Gay. Is Liay Un Mein Yaqeen Paida Karain Ke Wo Limitless Hain, Unstoppable Hain Aur Mehnat Karain To Sab Kuch Hasil Kar Saktay Hain. Ye Cheez Paida Hogi Jab Aap Un Kay Samnay Apni ‘Naa’ Ko Kam Karain Gay.

‘Naa’ Kenhay Ka Waqt

Teenagers Parenting

Aisa Nahi Hay Ke Unhain Har Cheez Ki Khulli Ijazat Ho. Aisi Buhat Si Situations Hongi Jin Mein Aap Ki ‘Naa’ Zaruri Hay. Especially Jab Unhian Nuqsan Puhanch Sakta Ho. Unhain Aisi Jaga Bilkul Na Janay Dain Jahan Un Ki Izzat Nahi Ki Jati, Ya Unhain Kisi Bad Experience Ka Samna Ho Sakta Ho. Opposite Sex Kay Sath Buhat Zyada Ghoomnay Phirnay Na Dain, Is Rule Ka Faida Aap Ko Later Life Mein Nazar Aaey Ga. Yaad Rakhain Aap Parent Hain, Is Liay Bachon Ki Safety Kay Liay Rules Banana Aap Ka Kaam Hay, Chahay Physical Safety Ho Ya Moral Safety.

Khilana Pilana

Bachon Ko Khoob Khilyen Pilyen, Unhain Hi Nahi, Un Kay Doston Ko Bhi. Ye Barhti Hui Umar Hay, Aur Teenagers Ko Bohat Zyada Fuel Ki Zarurat Hoti Hay, Is Liay Wo Munching Machine Banay Huay Hotay Hain. Afsos Ki Baat Ye Hay Ke Is Kami Ko Poora Karnay Kay Liay Aaj Kay Teenagers Buhat Zyada Junk Aur Processed Foods Use Kartay Hain. Is Say Roknay Ka Aasan Tareeqa Yahi Hay Ke Un Main Ghar Kay Khanay Ki Aadat Daalain. Un Kay Doston Ko Khilanay Ka Faida Ye Hoga Ke Aap Ko Pata Chalay Ga Ke Wo Kis Qisam Kay Bachon Mein Uth Beth Rahay Hain.

Chhotay Motay Kaam Khud Karain

Teenagers Aisay Hi Hotay Hain, Ghar Aanay Kay Baad Basta Udhar Phenkain Gay, Melay Kapray Idhar Udhar Paray Hongay Aur Wo Irresponsibility Ki Inteha Kardain Gay. Laikin Aap Nay Un Par Cheekhna Chillana Nahi Hay. Khud Ko Un Ki Jaga Par Rakh Kar Dekhain. Ho Sakta Hay Un Ka Aaj Ka Din Acha Na Guzra Ho Aur Wo Aap Ko Kuch Batanay Hi Walay Hon Ke Aap Nay Cheekhna Chillana Shuru Kardia. Thori Dair Kay Liay Bhool Jayen Ke Unhon Nay School Say Aanay Kay Baad Kya Harkat Ki Hay, Pyar Kay Do Bol Bolain, Din Bhar Ki Batein Sunain. Sab Kuch Sun’nay Kay Baad Kahain Ke Saman Uthao Aur Kamray Ko Saaf Rakho.

Phir Jadu Dekhain!

Teenagers Parenting

Aap Ye Steps Uthayen Aur Phir Jadu Dekhain. Bachay Apna Dil Aap Kay Samnay Khol Kar Rakh Dain Gay Aur Aap Ko Aap Ki Expectations Say Zyada Pyar Dain Gay. Aulad Aap Kay Liay Allah Ka Sab Say Bara Tohfa Hay, Aur Aap Pyar Kar Kay Dekhain, Wo Ye Baat Bachay Sabit Bhi Karain Gay.

شیئر

جواب لکھیں