Hum To Khush Thay, Hawaon Mein Urr Rahay Thay Ke Artificial Intelligence Hamari Daily Life Mein Aik Inqilab La Rahi Hay. ChatGPT Jaisa Powerful Chatbot, Wo  Bhi Muft Chal Raha Tha Laikin Ab Khabar Aa Rahi Hay Ke Is Ka Aik Professional Version Aanay Wala Hay, Jo Paid Hoga.

Ab Tak OpenAI Nay Officially To Koi Announcement Nahi Ki Laikin Social Media Par ChatGPT Kay Professional Plan Kay Baaray Mein Kafi Khabrain Aa Chuki Hain Aur Buri Khabar Ye Hay Ke Ye $42 Per Month Ka Hoga. Jee Haan! Yani Taqreeban 10,000 Rupees Mahana.

To Itna Mehnga Professional Version Khareednay Walon Ko Milay Ga Kya? Sab Say Pehlay To High Demand Mein Bhi Unhain Service Haasil Rahay Gi, Faster Response Milay Ga Aur New Features Tak Priority Access Bhi.

Ye To Chalain Achi Baat Hay, Laikin Khatra Ye Hay Ke Free Users Ko ChatGPT Tak Tabhi Access Milay Ga Jab Demand Low Hogi. Yani Hosakta Hay Ke Hum Jaisay Muft-Khoron Ka Access Restrict Ho Jaey. 😥

Ye “Low Demand” Kab Hogi? Is Ka Andaza To Aap Ko Bhi Hoga. Haal Ye Hay Ke Abhi Hum 10 Martaba ChatGPT Par Jatay Hain To 5 Baar Aisa Hota Hay Ke Ye Message Aa Jata Hay: ChatGPT Is At Capacity Right Now.

To Agar Ye Khabar Waqai Sach Hui To Free Users To Rush Kay Waqt Mein Bahar Hi Hongay.

Waisay Is Khabar Say Lagta Hay Ke ChatGPT Ki Skills Hi Nahi, Us Ka Business Model Bhi Improve Ho Raha Hay. Microsoft Kay Sath Deal Ki Batein Bhi Chal Rahi Hay, Jo Yaqeenan Multi Billion Dollars Ki Hogi. Microsoft OpenAI Mein Invest Karna Chahta Hay Takay ChatGPT Ko Microsoft Word Aur Outlook Samait Apni Cloud-Based Services Mein Use Kar Sakay.

In Circumstances Mein Pareshan Hay Google, Kyunke ChatGPT Ka Pehla Nishana Banay Gi Google Ki Search Service. Is Liay Google Bhi Tezi Say Apnay ‘Dialogue Agent’ Par Kaam Kar Raha Hay Jis Ka Naam ‘Sparrow’ Hoga. Umeed Hay Ke Is Saal Sparrow Ka Private Beta Release Ho Jaey Ga, Ho Sakta Hay Ke May Mein Google I/O Mein Hi Aa Jaey.

شیئر

جواب لکھیں