Pakistani News Channels Par Shah Mahmood Qureshi Long March Say Khitab Kar Rahay Thay. Woh Naray Lagwa Rahay Thay
‘Agli Bari, Phir Hamari
Agli Bari, Phir Hamari’
Isi Dauran News Channels Ke Tickers Main Aik Breaking News Chalna Shuro Ho Gai.
Army Chief General Qamar Javed Bajwa Ka Sialkot Aur Mangla Garrison Ka Alwidai Daura.
ISPR Ke Mutabiq Mangla Main Lt. General Aimen Bilal Safdar Aur Sialkot Main Lt. General Muhammad Amir Nay Un Ka Istiqbal Kia. General Qamar Javed Bajwa Ne Mukhtalif Operations, Trainings, Qudarti Afaat Ke Dauran Behtareen Karkardagi Par Formations Ko Saraha.
Army Chief Ki Afsaron Aur Jawanon Se Mulaqat Bhi Hui, Unhon Ne Jawanon Se Khitab Bhi Kia. Army Chief Nay Apnay Khitab Main Kaha Ke Halaat Jaisay Bhi Hon Jawan Isi Jazbay Se Qaum Ki Khidmat Kartay Rahain.
ISPR Ki Taraf Say Jari Press Release Nay Islamabad Main Extension Kay Hawalay Say Kai Roz Say Jarai Afwahon Kay Garam Bazar Ku Thanda Kar Dia.
Ab Wizarat-e-Difa Naye Army Chief Kay Liye Wazir-e-Azam Ko Naam Bhejay Gi, Jin Main Se Aik Ko Pakistan Ka Naya Army Chief Banaya Jaye Ga Jabkay CJCSC Ka Elaan Bhi Sath Hi Hojaye Ga.
General Qamar Javed Bajwa Ka Daur
General Qamar Javed Bajwa Ne 29 November 2016 Ko General Raheel Sharif Ki Retirement Ke Baad Army Chief Ka Ohda Sambhala Tha.
19 August 2019 Ko Us Waqt Kay Wazir-e-Azam Imran Khan Ne Un Ko 3 Saal Ki Extension Di Thi.
26 November 2019 Ko Supreme Court Ne Un Ki Extension Ko Muattal Kar Dia Tha.
28 November 2019 Ko Supreme Court Ne 6 Mahinay Ki Extension Ka Short Order Jari Kia.
PMLN, PPPP Aur Hukumran PTI Nay Parliament Se Pakistan Army (Amendment) Bill 2020 Manzor Kia Aur General Qamar Javed Bajwa Ko 29 Novermber 2022 Tak Tosee Mil Gai Thi.
Genral Qamar Javed Bajwa Nay 4 Wuzra-e-Azam, Nawaz Sharif, Shahid Khaqan Abbasi, Imran Khan Aur Shehbaz Shairf Ke Sath Kaam Kia.