Army Chief General Qamar Javed Bajwa Ke Assets Se Mutaliq Report Misleading Aur Assumptions Par Mabni Hay. ISPR

ISPR Ne Rukhsat Honay Walay Army Chief General Qamar Javed Bajwa Ke Assets Se Mutaliq Report Ki Muzammat Karte Huye Kaha Hai Ke General Qamar Javed Bajwa Aur Un Ki Family Ke Asason Se Mutaliq Social Media Par Gumraah Kin Adaad Vshmar Share Kiye Gaye Hain .

ISPR Ki Janib Se Yeh Bayan Tehqiqati News Website ‘Fact Focus' Ki Report Ke Baad Diya Gaya Hay. Chand Roz Pehlay Publish Honay Wali Report Mein Tax Returns Aur Wealth Statement Ka Hawala Detay Huye Daawa Kya Gaya Tha Ke Army Chief Ke Khandan Ne Allegedly Guzashta 6 Barson Mein Arbon Rupay Kamaye.

'General Bajwa Ke Khilf Campaign Chalai Ja Rahi Hay.'

ISPR Ne Aaj Apne Bayan Mein Kaha Ke Army Chief Ke Khilaaf Campaign Mein Aik Khaas Group Mulawis Hai. Is Group Ne Nihayat Chalaki Aur Baddayanati Se General Qamar Javed Bajwa Ki Bahu Ke Waalid Aur Family Ke Assets Ko Army Chief Aur Khandan Se Mansoob Kya Hai.

Tarjuman Pak Fauj Ne Kaha Ke Yeh Sarasar Ghalat Impression Diya Ja Raha Hai Ke Yeh Assets Army Chief General Qamar Javed Bajwa Ke 6 Saala Daur Mein Un Ke Samdhi Ki Family Ne Banaye. Yeh Haqayiq Ke Bilkul Khilaf Aur Khula Jhoot Aur Badniyati Par Mabni Hai.

Bajwa Family Ke Sab Assets Declared Hain, ISPR

ISPR Ka Kehna Hai Ke General Qamar Javed Bajwa, Un Ki  Biwi Aur Khandan Ka Har Asasa FBR Mein Baqaida Declared Hai. Army Chief Aur Un Ka Khandan Baqaidagi Se Tax Return File Karte Hain. Har Shehri Ki Terhan Army Chief Aur Un Ki Family Tax Hukkaam Ke Samnay Apne Asasa Jaat Se Mutaliq Jawab Deh Hain.

Bayan Mein Kaha Gaya Hai Ke Army Chief General Qamar Javed Bajwa Aur Un Ki Family Ke Assets Se Mutaliq Social Media Par Gumraah Kun Adad-o-Shumaar Share Kiye Gaye Hain. Ye Misleading Numbers Assumptions Ki Bunyaad Par Barha Charha Kar Paish Kiye Gaye Hain.

Fact Focus Ki Report Samnay Aanay Ke Baad Wifaqi Wazeer-e-Khazana Ishaq Dar Ne Notice Liya Tha. Unhon Ne Muamlay Ki Tehqiqat Ka Hukm Diya Tha. Un Ka Kehna Tha Ke Qanoon Is Baat Ki Ijazat Nahi Deta Ke Kisi Ke Adalati Hukm Ke Baghair Kisi Ka Tax Record Nikalwaya Jaye Ya Usay Public Kiya Jaye. Ishaq Dar Ne Aik TV Program Mein Bataya Ke Leaks Mein Mulawis 2 Afrad Ka Pata Chal Gaya Hay. Aik Ka Taaluq Lahore Aur Dusray Ka Rawalpindi Se Hay. Case Ko Mantaqi Anjam Tak Pohnchayen Ge.

شیئر

جواب لکھیں