Iqra Jeewani Aur Mulayam Singh Yadav, Pichlle Aik Mahinay Se Bharat Aur Pakistan Ke Media Par Aik Pream Kahani Ka Charcha Hay.

Kisi Bollywood Film Ki Tarha Is Mein Dilchaspi Ka Tamam Masala Hay. 19 Saal Ki Pakistani Musalman Larki 21 Saal Ke Bharti Hindu Naujawan Ki Mohabbat Mein Girftar Hoti Hay. Us Ke Liye Apnay Maa Baap, Ghar Baar Ko Chhor Kar Ghairqanooni Tor Par Sarhad Paar Karkay Bharat Pohnch Jati Hay. Phir Qanoon Un Dono Pyar Karnay Walon Ko Alag Alag Kar Deta Hay.

Media Par Report Ki Jane Wali Mohabbat Ki Is Kahani Mein Kayi Jhol Hain. Un Par Baat Karne Se Pehlay Hum Is Pooray Qissay Ka Jaiza Letay Hain Jo Media Mein Bataya Ja Raha Hay.

Report Ke Mutabiq Is Love Story Ka Aaghaz 2020 Mein Corona Lockdown Ke Dauran Hua. Un Dinon Bohat Se Log Online Gaming Ke Zariye Waqt Guzara Karte Thay Aur Online Ludo Apps Nai Nai Anay Ki Wajah Se Bohat Maqbool Theen.

Raftar Bharne Do


Pakistan Ke Shehar Hyderabad Se Talluq Rakhnay Wali Iqra Jeewani Bhi Aisi Hi App Par Ludo Khelti Thi Jahan Us Ka Taaruf Bharat Se Talluq Rakhnay Walay Sameer Ansari Nami Naujawan Se Hua. Sameer Ansari Asal Mein UP Ke Shehar Allahabad (Prayagraj) Se Talluq Rakhnay Wala Mulayam Singh Yadav Tha Jis Ne Apni Shanakht Badal Rakhi Thi.

Ludo Khailtay Khailtay Iqra Aur Mulayam Ko Aik Dosray Se Mohabbat Ho Gayi. 2 Saal Tak Ye Mohabbat Online Parwan Charhti Rahi. Phir Jab Iqra Ke Ghar Walon Ne Us Ke Liye Rishtay Talaash Karnay Shuru Kiye Tou Dono Ne Intehai Qadam Uthany Ka Faisla Kya. Mulayam Singh Ne Iqra Ko Bharat Aanay Ka Kaha. Iqra Mulayam Ki Muhabbat Mein Apnay Walidain Aur Apna Mulk Chhornay Ko Tayyar Ho Gayi.

19 September 2022 Ko Iqra Ghar Se College Gayi Magar Wapas Nahi Aayi. Wo Hyderabad Se Karachi Gayi. Wahan Se Dubai Ke Rastay Nepal Pahonch Gayi .

Raftar Bharne Do



Bharti Police Ke Mutabiq Iqra Aur Mulayam Ne Nepal Ke Mandir Mein Hindu Rasoom o Rivaaj Ke Mutabiq Shadi Ki. Us Ke Baad Mulayam Singh Yadav Iqra Ka Fake Aadhar Card (Bharat Ka Shanakhti Card) Bana Kar Usay Patna Ke Rastay Bangalore Le Aaya Jahan Wo Aik IT Company Mein Security Guard Ke Tor Par Kaam Karta Tha.

Iqra Jeewani Ne 10-12 Din Baad WhatsApp Par Pakistan Phone Kiya Tou Unhen Pata Chala Ke Un Ki Beti Bharat Ke Shehar Bagalore Pohanch Chuki Hay. Is Dauran Is Ke Walid Sohail Jeewani Hyderabad Ke City Thaanay Mein Us Ke Ighwa Ki FIR Darj Kara Chukay Thay.

Iqra Jeewani Aur Mulayam WhatsApp Calls Se Pakray Gaye?

Bharti Police Ka Daawa Hay Ke Iqra Jeewani Ne Bangalore Se Kayi Baar Pakistan Mein Apni Walida Se WhatsApp Par Baat Ki. Bangalore Mein February Mein Honay Walay Airshow Aur G20 Conference Ki Wajah Se Security High Alert Thi. Pakistan Ki Janay Wali Calls Intelligence Ke Radar Par Aayeen Tou Call Karnay Walay Ko Talaash Kya Gaya.

Police Ne 19 January Ko Iqra Aur Mulayam Ko Girftar Kar Liya. Tafteesh Mein Iqra Ke Pakistani Honay Ka Pata Chala Tou 20 January Ko Usay Foreigners Regional Registration Office (FRRO) Ke Hawalay Kar Diya Gaya.

Iqra Jeewani And Mulayam Sing Yadav

Mulayam Singh Yadav Par Jaalsazi, Foreigners Act Aur IPC Ki Deegar Dafaat Ke Tehat Muqadmaat Darj Karkay Usay Jail Bhaij Diya Gaya Hay.

Mulayam Singh Ke Ahal-e-Khana Ke Mutabiq Unhein Bhi Apnay Betay Ki Shadi Ka Pata Nahi Tha. Giraftari Ke Baad Media Par Khabrain Anay Se Unhein Muamlay Ka Pata Chala. Wo Pakistani Aur Musalman Honay Ke Bawajood Iqra Ko Apni Baho Mantay Hain Aur Usay Bharat Lana Chahtay Hain.

Iqra Jeewani Ki Giraftari Ki Khabar Samnay Aanay Ke Baad Us Ke Waalid Ne FIA Aur Pakistani Daftar e Kharja Ko Beti Ki Wapsi Ke Liye Darkhwast Di. Hukoomati Satah Par Koshishon Se 19 Feb Ko Iqra Ko Wagah Border Par Pakistan Ke Hawalay Kya Gaya.

Iqra Jeewani Was Handed Over To Pakistan
Ludo Love Story 1

Iqra Jeewani Ke Waalid Sohail Jeewani Ne Ilzaam Lagaya Hay Ke Mulayam Singh Yadav Ne Musalman Sameer Ansari Ban Kar Dhokay Se Un Ki Beti Ko Phansaya Aur Varghala Kar Bharat Bulaya. Un Ki Beti Ko Aik Kamray Mein Qaid Rakha Gaya Tha. Sirf 2-4 Minute Phone Par Is Se Baat Karai Jati Thi. FIA Ki Tehqiqaat Se Pata Chala Tha Ke Un Ki Beti Ka Karachi Se Dubai Aur Dubai Se Kathmandu Ka Ticket Bangalore Ki Raja Travel Nami Company Ne Book Kya Tha. Sohail Jeewani Kehtay Hain Ke Wo Apni Ikloti Beti Ke Kho Janay Se Bohat Pareshan Thay. Iqra Ko Ghar Mein Kisi Qisam Ke Dabao Aur Pareshani Ka Saamna Nahi Tha.

Iqra Jeewani Aur Mulayam Singh Ki Story Per Sawalat

Mohabbat Ki Is Kahani Par Kuch Sawal Peda Hotay Hain. Kya Iqra Ko Nepal Pohnchnay Se Pehlay Ye Pata Chal Gaya Tha Ke Larka Sameer Ansari Nahi Balkay Mulayam Singh Yadav Hay Yani Muslaman Nahi Bulkay Hindu Hay?

Aam Tor Par Musalman Larkiyan Apna Mazhab Aasani Se Nahi Chhorteen. Bharat Mein Tou Kuch Musalman Larkiyan Hindu Larkon Se Shadi Ke Liye Apna Mazhab Badal Layte Hain Lekin Pakistan Mein Aisa Nahi Hay. To Kya Bharti Police Ki Yeh Baat Sach Hay Ke Iqra Jeewani Aur Mulayam Singh Ki Shadi Kathmandu Ke Mandir Mein Hindu Rasam o Rivaaj Ke Mutabiq Hui? Ya Maamla Is Ke Bar Aks Hay?

IT Company Mein Security Guard Ke Tor Per Kaam Karnay Walay Mulayam Singh Ke Paas Itna Paisa Kahan Se Aaya Ke Us Ne Iqra Ke Karachi Se Dubai Aur Wahan Se Nepal Janay Ka Intezam Kiya. Kia Mulayam Dusray Logon Ya Kisi Tanzeem Ki Madad Hasil Thi?

In Salawon Ke Jawab Iqra Jeewani Se Hi Mil Satke Hain Lekin Pakistan Wapas Anay Ke Baad Us Ka Koi Bayan Samnay Nahi Aaya. Raftar Ne Sohail Jeewani Ki Family Se Rabta Karne Ki Koshish Ki Lekin Kamyabi Nahi Ho Saki.

Aik Aur Sawal Bharti Police Ke Is Bayan Par Bhi Uthaya Ja Raha Hay Ke Police Ko Iqra Jeewani Ka Suraagh WhatsApp Call Se Mila. Yani Modi Sarkar Apne Shehrion Ki Jasoosi Kar Rahi Hay Aur WhatsApp Calls Bhi Hukoomati Nigrani Se Mehfooz Nahi Hain. Security Mahireen Kehte Hain Ke Hukoomati Idaray Nigrani Ke Alaat Ke Zariye WhatsApp Par Ki Jane Wali Cal Sun To Nahi Satke Lekin Unhein Is Ka Ilm Zaroor Hojata Hay Ke Call Kahan Ki Jarahi Hay Aur Kahan Se Ki Jarahi Hay.

شیئر

جواب لکھیں