Pakistan Tehreek-e-Insaaf Ne Aik Aur Mahaaz Fatah Karliya. Qaumi Assembly Ke Halqa NA-193 Rajanpur Ke By-Election Mein PTI Ke Umeedwar Mohammad Mohsin Laghari Ne Bhari Margin Se Jeet Hasil Ki Hay.

NA-193 Rajanpur Mein Registered Votoron Ki Tadaad 379,204 Thi Jabkay 178,782 Vote Daalay Gaye, Yani Turnout 47.15% Raha. Zimni Election Mein Itni Ziyada Tadaad Mein Logon Ka Vote Dena Bhi Yeh Zahir Kar Raha Hay Ke Log Hakoomati Ittehaad Mein Shaamil Umeedwaron Ke Khilaaf Vote Day Kar Apni Narazi Ka Izhaar Kar Rahay Hain. Form 47 Ke Mutabiq 4,816 Vote Mustard Huay Aur 173,966 Vote Durust Qarar Paye.

Ghair Hatmi Ghair Sarkari Result Ke Mutabiq PTI Ke Mohsin Laghari Ne 90,392 Vote Liye. Jo Daalay Gaye Voton Ka 52 % Banta Hay. Pakistan Muslim League N ke Ammar Laghari 55,218 Vote Le Kar Dusray Number Per Rahay. Pakistan Peoples Party Ke Akhtar Hussain Gorchani Ne 20,074 Vote Hasil Kiye. Tehreek-e-Labaik Pakistan Ke Mehmood Ahmed Ko 3,961 Vote Milay. Yani PMLN, PPP, TLP Aur Deegar Tamam Azad Umeedwaron Ke Vote Mila Bhi Liye Jayen To Bhi Mohisn Laghari Ke Voton Se Kam Bantay Hain.

NA-193 Mein Jeet Per Imran Khan Ki Mubarakbad

NA-193 Ke By-Election Mein PTI Umeedwar Ki Jeet Par Imran Khan Ne Khushi Ka Izhaar Kya. Twitter Pegham Mein Unhon Ne Likha Ke Tehreek-e-Insaaf Kay Khilaaf Sarkari Machinery, Neutrals Aur Election Commission Ke Darmiyan Gath Jor Ke Bawajood Shandaar Kamyabi Par Mohsin Laghari, Meena Laghari, PTI Ke Kaarkunon Aur Votoron Ko Mubarkbad Paish Karta Hun. Mujhay Khadsha Hai Ke Is Se PDM Aur Is Ke Sarparston Par Mazeed Khauf Taari Ho Ga. Chunanchay Supreme Ke Judges Par Ghair Mamooli Dabao Ki Tawaqqo Rakhiye!

Raftar Bharne Do
Imran Khan Aur Mohsin Laghari (File Photo)

Is Se Pehlay Aik Tweet Mein Imran Khan Ne NA-193 Ke Votoron Ki Tasweerain Share Kee Aur Likha Ke Mein Awam Ka Shukar Guzar Hon Jo Tehreek-e-Insaaf Ka Sath Dainay Aur NA193 Mein Mafias Ko Shikastِ-e-Faash Se Dochar Karnay Ke Liye Is Jazbay Aur Junoon Se Tehreek-e-Insaaf Ko Muntakhib Karnay Niklay.

By Election Mein Shikast Per PMLN Ka Reaction

Udhar PMLN Ke Rehnuma Haar Ke Baad Bhi Apni Khudi Buland Rakhnay Ki Koshish Kar Rahay Hain. Wifaqi Wazeer Maryam Aurang Zaib Ne Bayan Diya Ke 2018 Mein Tou NA-193 Mein Noon League Ko Koi Umeedwar Hi Nahi Tha. Pehli Baar Yahan Se Umeedwar Khara Kiya Jis Ne 53 Hazaar Vote Liye. Votoron Ne Muslim League (N) Par Bharpoor Aetmaad Ka Izhaar Kya Jis Par Un Ka Shukriya Ada Kartay Hain.

Maryam Aurang Zaib Ne Mazeed Kaha Ke Imran Khan Ka Nigran Hukoomat Par Shafaaf Aur Ghair Janbdaran Intikhabat Nah Karwanay Ka Ilzaam Dafan Ho Gaya Hay, Yeh Barri Kamyabi Hai Jis Ka Imran Khan Ne Aitraaf Kar Liya Hay.

PDM Election Se Bhaag Rahi Hay, PTI Leaders

PTI Ke Rehnuma Kehte Hain Ke Zimni Intikhabaat Mein Musalsal Nakamiyon Se Sabit Hota Hay Ke Awam Ne Regime Change Ko Mustarad Kar Diya Hay. PDM Mein Shaamil Jamaaton Ko Pata Hai Ke Jab Bhi Intikhabaat Huay Awam Un Ke Khilaaf Vote Den Ge. Yahi Waja Hay Ke PDM Hukoomat General Election sSe Bhaag Rahi Hay.

NA-193 Main Zabardast Kamyabi Se Pehlay October Mein Imran Khan Ne Qaumi Assembly Ke 7 Halqon Se Khud Election Lara Tha Aur 6 Par Kamyabi Haasil Karkay Aik Record Qaim Kya Tha. Vote Dainay Walon Ko Pata Tha Ke Imran Khan Election Jeet Kar Bhi Assembly Mein Nahi Jayen Ge Is Ke Bawajood Awam Ne Un Par Aetmaad Ka Izhaar Kya.

PMLN Ke Rehnuma Zimni Election Mein Musalsal Nakamiyoo Ki Waja Mehengai Aur IMF Ke Dabao Par Kiye Janay Walay Sakht Faislon Ko Qarar Detay Hain. IMF Ki Sharait Qabool Karnay Ki Waja Se Petrol, Diesel Aur Bijli Ki Qeematon Mein Hosh Rubaa Izafa Ho Chuka Hay. 170 Arab Rupay Ke Money Budget Mein General Sales Tax Ki Sharah Barha Kar 18% Kar Di Gayi Hai. Jis Ki Waja Se Mukhtalif Ashya Ki Qeematein Mazeed Barhi Hain.

شیئر

جواب لکھیں