Supreme Court Ne Pakistan Ki Siyasi Tareekh Ka Aik Aur Ahem Faisla Suna Diya Hay. Mumlikat-e- Khudadad Mein Bohat Arsay Se Ye Riwayat Par Chuki Hay Ke Siyasi Aur Aaeni Muamlaat Ko Paicheeda Bana Diya Jata Hai. Phir Kabhi Siyasatdan Khud Adalat Ka Darwaaza Khatkhatay Hain Ya Kabhi Adalat Suo Motu Notice Leti Hay. Superme

April 2022 Mein Jab Imran Khan Ke Khilaaf Tehreek-e-Adam Aitmaad Par Voting Honi Thi To Us Waqt Sadar Arif Alvi Ne Imran Khan Ki Advise Par Assembly Tahleel Kar Di Thi. Pakistan Ke Tareekh Mein Ye Pehla Moqa Tha Jab Kisi Prime Minister Ne Apni Hukumat Tehleel Ki Ho.  Is Iqdaam Ke Khilaaf Us Waqt Ki Oppostion Jamaten Supreme Court Pohnchi Theen. Adala Ne Assembly Bahaal Kartat Huay No Confidence Par Voting Karanay Ka Hukum Diya Tha.

Imran Khan Ke Khilaaf Vote Dainay Walay PTI Arkaan Ki Na Ehli Ka Muamla Bhi Supreme Court Mein Gaya Jis Ne Qarar Diya Ke Parliamentary Party Ke Faislay Ke Khilaaf Vote Dainay Walay Arkan Na Ehal Ho Jayen Gay.

Raftar Bharne Do

Isi Tarha Lahore High Court Ne Punjab Assembly Mein Hamza Shehbaz Ka Bator Wazeer-e-Aala Intikhab Kal Adam Qarar Day Kar Dobara Ginti Karanay Ka Hukum Diya Tha Jis Mein PTI Ke Munharif Arkaan Ke Vote Na Shumaar Karne Ki Hidaayat Ki Gayi Thi. Is Ke Baad Chaudhry Parvez Elahi Bhi Adalti Faislay Ke Zariye Wazeer-e-Aala Banay. Un Ke Khilaaf Adam Aitmaad Ki Tehreek Ka Muamla Bhi Court Mein Settle Hua.

Raftar Bharne Do

Muamla Supreme Court Kesay Pohncha?

12 January 2023 Ko Punjab Ke Wazir-e-Ala Chaudhry Pervez Elahi Ne Assembly Tehleel Karnay Ki Advice Governor Punjab Ko Bheji Thi.

Governor Punjab Ne Assembly Ki Tahleel Ki Summary Par Dastakhat Nahi Kiye Jis Par Assembly Aeen Ke Mutabiq Az Khud Tahleel Ho Gayi Thi. Aeen Ki Mutabiq Assembly Ki Tahleel Ke Baad 90 Din Mein Election Karanay Laazmi Hain. Governor Punjab Ne Magar Yeh Keh Kar Election Ki Tareekh Dainay Se Inkaar Kya Ke Unhon Ne Assembly Ki Tahleel Ki Summary Par Dastakhat Nahi Kiye Thay.

Udhar Khyber Pakhtunkhwa Hukoomat Ko Tahleel Karne Ki Summary 17 January 2023 Ko Bheji Gayi Thi. Jo Governor Ne Aglay Din Manzoor Karli Thi Magar Aik Mahinay Se Ziyada Guzarnay Ke Bawajood Governor Khyber Pakhtunkhwa Ne Bhi Election Ki Tareekh Nahi Di Thi.

20 Feb Ko Sadar-e-Mumlikat Arif Alvi Ne Punjab Aur Khyber Pakhtunkhwa Mein Election Karanay Ka Elaan Kya. Sadar Ne Yeh Elaan Election Act 2017 Ke Section 57/1 Ke Tehat Kya Jo Sadar Ko Ye Ikhtiyar Deta Hai Ke Saddar Election Commission Se Kahay Ke Woh Intikhabaat Ke Ineqad Ka Intizam Keray.

Hukoomati Ittehaad Ne Sadar Ke Elaan Ko Ghair Aini Qarar Diya. Aisay Mein Supreme Court Of Pakistan Ne Muamlay Ka Az Khud Notice Liya Aur Kayi Din Ki Musalsal Samaat Ke Baad Faisla Suna Diya.

Supreme Court Ke Faislay Mein Kiya Kaha Gaya Hay?

Chief Justice Ki Sarbarahi Mein 5 Rukni Larger Bench Ne Kaha Hay Ke Punjab Aur Khyber-Pakhtunkhwa Mein 90 Roz Mein Election Karwaye Jayen.

Supreme Court Ke 5 Rukni Bench Ne 3-2 Ke Tanasub Se Faisla Diya. Cheif Justice Umar Ata Bundyal, Justice Muneeb Akhtar, Justice Mohammad Ali Mazhar Ne Aksriyati Faisla Diya Jabkay Justice Jamal Mandokhel Aur Justice Mansoor Ali Shah Ne Ikhtalafi Note Tehreer Kiye.

Mukhtasir Faislay Mein Kaha Gaya Hay Ke Khyber Pakhtunkhwa Ki Had Tak Governor Election Ki Tareekh Ka Elaan Kar Sakta Hay. Agar Governor Assembly Tahleel Na Karay Tou Sadar Tareekh Ka Elaan Kar Sakta Hay, Election Commission Fori Sadar-e-Mumlikat Se Mushawarat Kere, 9 April Ko Intikhabat Mumkin Nahi Tou Mushawarat Se Punjab Mein Tareekh Badli Ja Sakti Hay.

Supreme Court Ne Apne Faislay Mein Hukum Diya Hay Ke Election Commission Fori Tor Par Saddar Mumlikat Ko Election Ki Tareekh Tajweez Keray. Faislay Mein Kaha Gaya Hai Ke Governor Khyber Pakhtunkhwa Ne Intikhabaat Ki Tareekh Ka Elaan Na Kar Ke Aaeni Zimmedari Se Inhiraf Kya, Governor KP Soobai Intikhab Ki Tareekh Ka Elaan Karen.

PTI Ka Reaction Or PDM Ke Option

Is Faislay Ke Baad PTI Ke Rehnumaon Aur Kaarkunon Ne Khushi Ka Izhaar Kya, Mithaiyan Taqseem Ki Gayeen. Fawad Chaudhry Kehte Hain Ke Ye Aeen Aur Parliamentary Democracy Ki Fatah Hay. Media Se Guftugu Mein Un Ka Kehna Tha Ke Agar Supreme Court Ka Faisla Na Mana Gaya To Supreme Court Article 187 Ke Tehat Hukoomat Ko Ghar Bhaij Day Gi. 2 Wazeer-e-Azam Is Se Pehlay Ghar Ja Chukay Hain Tou Is Wazeer-e-Azam Ko Bhi Ghar Jana Parray Ga. Supreme Court Is Par Khud Amal Daraamad Karaye Gi. Mulk Mein Intikhabaat Har Soorat Hon Gay.


PMLN Ko Is Faislay Se Wazeh Dhachka Laga Hay Jo Soobai Assemblion Aur Qaumi Assembly Ke Intikhabaat Aik Sath Karana Chahti Hay. Balkay Maryam Nawaz Tou Yahan Tak Keh Chuki Hain Ke Jab Tak Nawaz Shareef Par Lagaye Gaye Ilzamaat Khatam Nahi Hotay Aur Un Ki Sazayen Kaladam Qarar Nahi Di Jateen Election Nahi Hon Gay. Is Bayan Par Maryam Nawaz Par Khasi Tanqeed Bhi Hui Kyun Ke Aaen Tor Par 60 Se 90 Din Mein Intikhabaat Karana Laazmi Qarar Deta Hay.

Ab Dekhna Yeh Hai Ke Supreme Court Ke Is Faislay Par Kis Terhan Amal Hota Hay. PDM Ki Hukoomat Aur Election Commission Intikhabaat 90 Din Mein Kara Den Ge Ya Apni Marzi Ke Waqt Par Karanay Ke Liye Koi Tareeqa Ikhtiyar Karen Ge Aur Us Soorat Mein PTI Aayi Kya Lahia-e-Amal Ikhtiyar Kere Gi.

شیئر

جواب لکھیں