Barkhan Tragedy Main Aik Naya Mor Aaya Hay. Murda Samjhi Janay Wali Khatoon Gran Naz Apni Beti Aur 4 Beton Samait Bazyab Kara Li Gayi Hay.

Levies Hukkam Kehtay Hain Ke Khatoon Aur Bachon Ko Kohlo, Dukki, Barkhan Aur Dera Bughti Mein Chaapay Maar Kay Bazyab Karaya Gaya.

Raftar Bharne Do

Levies Hukkam Ne In Tamam Afrad Ki Tasveeren Bhi Jari Ki Hain. Aik Tasveer Granaz, Un Ki Beti Aur Betay Ki Bazyabi Ke Waqt Ki Hay. Dusri Tasveer Main Levies Hukkam Ko Granaz Ke Sar Per Chadar Rakhtay Huay Dekha Ja Sakta Hay.

Raftar Bharne Do

Aik Aur Tasveer Main Granaz Us Ki Beti Aur 4 Bachay Security Ahelkaron Ke Saath Kharay Hain.

Raftar Bharne Do

Ab Sawal Ye Hay Ke Granaz Aur Us Ki Beti Zinda Hain Tou Kunvay Se Milnay Wali Lash Kis Ki Thi? Lash Ke Post Mortem Se Pata Chala Tha Ke Usay Zyadti Aur Tashadud Ke Baad Golyan Mar Kar Qatal Kiya Gaya Tha. Us Ke Chehray Per Tezab Dala Gaya Tha Ta Kay Shanakht Na Ho Sakay. Police Surgeon Ke Mutabiq Laash 17, 18 Saal Ki Larki Ki Thi.

Barkhan Tragedy Ka Muqadma Darj

Barkhan Main 3 Afrad Ke Qatal Ka Muqadma Na Maloom Afrad Ke Khilaf Darj Kiya Gaya Hay. Khaton Ke Shauhar Ne Sardar Abdul Rehman Khetran Per Apne Ahle Khana Ko Niji Jail Main Rakhnay Aur 2 Bachon Ko Qatal Karnay Ka Ilzam Lagaya Hay. Abdul Rehman Khetran Police Ki Hirast Main Hain.

Kuch Din Pehlay Khatoon Ki Video Samnay Aayi Thi Jis Main Wo Quran Sharif Haath Main Le Kar Ye Keh Rahi Theen Ke Wo Aur Un Ke Bachay Sardar Abdul Rehman Khetran Ki Qaid Main Hain. Us Ke Baad Barkhan Se 3 Lashen Mili Theen Jin Main Se Aik Laash Larki Ki, Aik 15 Saal Ke Larkay Aur Aik Lash 22 Saal Ke Naujawan Ki Thi.

Kohlu Se Taluq Rakhnay Waly Khan Muhammad Mari Ka Kehna Tha Ke Laashen Us Ke Beton Ki Hain. Larki Ki Laash Ke Mutaliq Pehlay Kaha Gaya Tha Ke Wo Granaz Ki Hay Lekin Post Mortem Main Kaha Gaya Tha Ke Wo Kisi 17-18 Saal Ki Larki Ki Laash Hay.

Barkhan Incident Per Qaum Ka Reaction

Barkhan Se 3 Laashen Milnay Ke Baad Mulk Bhar Main Gham o Ghussay Ki Lehar Dor Gayi Thi. Social Media Per Log Mutasira Khandan Ke Haq Main Trend Chala Rahay Hain Aur Sardar Abdul Rehman Khetran Ke Khilaf Karrwai Ka Mutalba Kar Rahay Hain.

Dusri Janib BAP Ke Leader Aur Subai Wazir Abdul Rehman Khetran Khud Per Lagaye Gaye Ilzamat Ko Jhoota Qarar Detay Hain. Un Ke Mutabiq Ilzamat Ka Maqsad Un Ki Saakh Kharab Karna Aur Siyasi Tor Per Nuqsan Pohnchana Hay.

شیئر

جواب لکھیں