DG ISPR Lt. General Babar Iftikhar Nay Kaha Hay Kay Mulk Kay Idaron, Unki Leadership Aur Army Chief Per Baija Ilzaam Tarashi Ki Gai Taham Fauj Batoar Institution Apni Qoum Ko Kabhi Mayous Nahi Kerai Gi Aur Hum Ghaddar Nahi Hain. DG ISI Nay Kaha Hai Kai Ager Establishment Na Chahti Tou Kia Koi Mulk Say Bahar Jasakta Hai?. Unhonay Tardeed Kerdi Kay ISI Ki Taraf Sai Sahafiyun Ko Telephone Kerkai Daranay Dhamkanay Ki Baat Bilkul Jhout Hai,Hum Kisi Ko Telephone Nahi Kertay.

Rawalpindi Main Press Conference Kertay Hoay DG ISPR Lt. General Babar Iftikhar Nay Kaha Kay Arshad Shareef Ki Maut Say Mutaliq Mukhtalif Qayas Araiyan Ki Jarahi Hain, Woh Pakistan Ki Sahafat Kay Icon Thay, Un Kay Qatal Kay Waqiye Ki Shafaaf Aur Ghair Janibdaar Tehqeeqat Honi Chaheye. Arshad Sharif Aik Fouji Kai Baitay Aur Aik Shaheed Kay Bhai Thay, Dukh Ki Iss Ghari Main Unki Family Kay Sath Hain.

DG ISPR Nay Kaha Kay 5 August 2022 Ko KP Government Ki Janib Say Arshad Sharif Say Mutaliq Aik Threat Alert Jari Hoa Taham Iss Security Alert Say Mutaliq Security Idaron Ko Aagah Nahe Kiya Gaya.

DG ISPR Nay Kaha Kay Arshad Sharif Nay Apnay Programs Mai Fauj Aur Shaheedon Kay Hawalay Say Dard Aur Ehsaas Ujagar Kiya, Siachen Samait Northern Areas,Army Exercises, Line of Control, Un Kay Programs Journalism Main Hamesha Yaad Rakhay Jaein Gay.

Lt. General Babar Iftikhar Nay Kaha Kay Cypher Aur Arshad Sharif Ki Wafat Say Mutaliq Juray Waqeyat Kay Haqaiq Janna Zaroori Hai. Jaab Cypher Ka Mamla Samnay Aya Tou Arshad Sharif Nay Iss Per Kai Programs Bhi Kiye,Unhonay Iss Hawalay Say Former Prime Minister Imran Khan Say Bhi Kai Meetings Kein,Jis Kay Nateejay Main Yeh Baat Bhi Ki Gaei Kay Unko Meetings Kay Minutes Aur Cypher Bhi Dekhaya Gaya Tha.

Cypher Per Unhonay Kaha Kay COAS Nay 11 March Ko Former Prime Minister Imran Khan Say Kamra Main Mulaqat Ki Aur Iss a Tazkara Kiya. Iss Per Army Chief Ko Imran Khan Nay Kaha Tha Kay Ye Koi Baari Baat Nahe Hay. Army Kay Liye Imran Khan Ka Cypher Per Bayana Hairankun Tha.

DGISPR Nay Kaha Kay 27 March Ko PTI Kay Jalsay Main Khaghaz Ka Aik Tukra Lehraya Gaya Aur Dramai Andaz Main Aik Aisa Bayaniya Dainay Ki Koshish Ki Gaei Jis Ka Haqeqat Sai Koi Wasta Nahe Tha.

Unhonay Mazeed Kaha Kay Cypher Kay Hawalay Say Kai Haqaieq Samnay Achukay Hain, Iss Khokhli Aur Mangharat Kahani Ko Bai-Naqab Kerdiya Gaya Hai. Aik Pakistani Safeer Kai Rai Ko Apnay Siyasi Maqasid Kay Liye Istemaal Kiya Gaya.

Lt. General Babar Iftikhar Nay Kaha Kay 31 March Ki National Security Meeting Main Bhi Iss Per Baat Ki Gaei, ISI Nay Baray Professional Andaz Main Uss Waqt Ki Government Ko Bata Diya Tha Kai Kisi Bhi Qism Ki Koi Sazish Kai Koi Shawahid Nahe Milay. NSC Ko Brief Kiya Gaya Kay Ye Pakistani Safeer Ki Zati Rai Hay Aur Pakistani Safeer Nay Jo Laie Amaal Recommend Kiya Tha, Wohi Laie Amaal NSC Nay Foreign Office Ko Recommend Kiya,Taham Uss Waqt Ki Hukumaat Nay Heer Cheaz Ko Qadari Aur Regime Change Say Link Kerdia.

Aik Sawal Kay Jawab Main DGISI Lt. General Nadeem Ahmed Anjum Nay Kaha Kay Mujhae Press Conference Main Daikh Ker Hairani Zaroor Hoi Hogi Leken Main Apni Zaat Kai Liye Nahe Balkay Pak Fauj Kay Liye Yahan Aya Hoon Jis Kai Jawan Aur Officers Subhah Shaam Watan Kay Liye Apni Jaan Kay Nazranay Paish Ker Rahay Hain.

شیئر

جواب لکھیں