Jandaar Batting, Shandaar Bowling, South Africa Nay Zimbabwe Ka Ghussa Bangladesh Par Utaar Dia Hay. Sydney Main Honay Walay Group 2 Kay Aik Important Match Main Bangladesh Ko 104 Runs Ki Bhari Bharkam Shikast Day Di Hay Aur World Cup Main Wapis Aa Gaya Hay, With A Bang!
ICC T20 World Cup 2022, 22nd Match
South Africa vs Banglandesh
27 October 2022
Sydney Cricket Ground, Sydney, Australia
Result: South Africa 104 Runs Say Jeet Gaya
South Africa | 205-5 | |
---|---|---|
Rilee Rossouw | 109 (56) | |
Quinton de Kock | 63 (38) |
BAN Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Shakib al Hasan | 3 | 0 | 33 | 2 |
Hasan Mahmud | 4 | 0 | 36 | 1 |
Bangladesh | (T: 206) | 101-10 |
---|---|---|
Litton Das | 34 (31) | |
Soumya Sarkar | 15 (6) |
SA Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Anrich Nortje | 3.3 | 0 | 10 | 4 |
Tabraiz Shamsi | 4 | 0 | 20 | 3 |
Is Zabardast Jeet Kay Architect Thay Rilee Rossouw. Wohi Rilee Jo Taqreeban 6 Saal Team Say Bahar Rahay. Laikin Is Saal Wapis Aaey Aur Aatay Hi Chha Gaey Hain.
Aaj Unhon Nay Sirf 56 Balls Par 109 Runs Ki Innings Kheli. Pakistan Super League Ki Performance Say South African Team Main Wapis Aanay Walay Rilee Nay Is World Cup Ki Pehli Century Bana Kar Sabit Kia, Aik Martaba Phir, Ke Wo Dubara Selection Kay Haqdaar Thay.
Aik Naya Rossouw
Rossouw Ki Wapsi Tarzan Ki Wapsi Say Kam Nahi. Unhon Nay Apnay Pehlay Stint Main 14 Innings Main Sirf 2 Fifties Banai Thee, 138 Say Bhi Kam Kay Strike Rate Aur 30 Say Bhi Kam Kay Average Say. Laik Wapsi Kay Baad Dekhain: 9 Innings, Approx. 57 Ka Batting Average, 183 Ka Strike Rate, 1 Fifty Aur 2 Centuries.
Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Unhon Ye Centuries Consecutive T20i Innings Main Banai Hain. World Cup Kay Liay Australia Aanay Say Pehlay Unhon Nay India Kay Against Indore Mein 100* Ki Innings Kheli Thi Aur Ab Apni Next Innings Main Hi 109 Runs Bana Dalay Hain. Ye Kisi Bhi Barri Team Kay Pehlay Khilari Hain Jinhon Nay Consecutive 2 T20i Centuries Banai Hain.
Decisive Partnership
Bangladesh Kay Khilaf South Africa Ki Kamyabi Main Barra Kirdar Rossouw Ki Quinton De Kock Kay Saath 85 Balls 163 Runs Ki Partnership Ka Tha. Is Main De Kock Nay 38 Balls Par 63 Runs Banaey Jabke Rossouw Ka Hissa 47 Balls Par 96 Runs Ka Tha. 15th Over Main Hi Donon Score Ko 170 Runs Tak Lay Aaey Thay.
200 Plus, Aik Baar Phir!
Is Partnership Ki Waja Say South Africa Nay T20 World Cup Main Aik Baar Phir 200 Ka Total Bana Dala. Wo T20 World Cup History Main Sab Say Ziada 5 Baar 200+ Bananay Wali Team Hay.
T20 World Cup Main South Africa Kay Big Totals
Runs | Result | vs | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|
South Africa | 229-4 | Lost | England | Mumbai | 18 Mar 2016 |
South Africa | 211-5 | Won | Scotland | The Oval | 7 Jun 2009 |
South Africa | 209-5 | Won | Afghanistan | Mumbai | 20 Mar 2016 |
South Africa | 208-2 | Won | West Indies | Johannesburg | 11 Sep 2007 |
South Africa | 205-5 | Won | Bangladesh | Sydney | 27 Oct 2022 |
Hairat Ki Baat Ye Hay Ke Is Match Main South Africa Nay Last 5 Overs Main Sirf 29 Runs Ka Izafa Kia. Phir Bhi Rossouw-De Kock Partnership Itni Jandar Thi Ke 200 Runs Cross Kar Gaya.
Nortje On Fire
Pace Is Pace Yaar! Anrich Nortje Nay Aik Baar Phir Sabit Kia. Bangladesh Waisy Hi 206 Runs Kay Barray Target Kay Bojh Talay Daba Hua Tha, Phir Jab Nortje Ka Samna Hua To Surrender Hi Kardia.
Nortje Nay Pehlay Spell Main 2 Overs Main Sirf 4 Runs Day Kar 3 Wickets Leen. Is Main Captain Shakib Al Hasan Ki Qeemti Wicket Bhi Shamil Thi. Phir Bangladesh Sar Nahi Utha Saka. Nortje Nay Baad Main Aik Aur Shikar Kia Aur Sirf 10 Runs Day 4 Wickets Leen.
Pakistan Kay Lia Kia?
Pakistan Ko Ye Jeet Mehngi Parr Sakti Hay Kyunke South Africa Kay Net Run Rate Ko Buhat Boost Mila Hay. Ye Kamyabi South Africa Ko Group 2 Main Top Par Lay Aai Hay. Us Kay Points Sub Say Ziyada 3 Hain Aur Net Run Rate Bhi 5.20 Hay. Agar 1-2 Aur Matches Barish Say Zaya Huay To South Africa Is NRR Ki Madad Say Bach Sakta Hay.
ICC T20 World Cup 2022
Points Table
Group 2
M | W | L | N/R | PT | NRR | |
---|---|---|---|---|---|---|
South Africa | 2 | 1 | 0 | 1 | 3 | 5.200 |
India | 1 | 1 | 0 | 0 | 2 | 0.050 |
Bangladesh | 2 | 1 | 1 | 0 | 2 | -2,375 |
Zimbabwe | 1 | 0 | 0 | 1 | 1 | - |
Pakistan | 1 | 0 | 1 | 0 | 0 | -0.050 |
Netherlands | 1 | 0 | 1 | 0 | 0 | -0.450 |
Ye Bangladesh Ko Kia Ho Gaya Hay?
Bangladesh Is Waqt Totally Out-Of-Form Hay. Pehlay New Zealand Tri-Series Main Saray Matches Hara. Phir T20 World Cup Kay Warmup Match Main Afghanistan Say Shikast Khai. Netherlands Kay Against Bhi Barri Mushkil Say, Sirf 9 Runs Say, Jeeta Aur Ab South Africa Kay Samnay To Dhair Hi Ho Gaya. Ye Shikast Bangladesh Kay Liay Aik Barra Shock Hogi. Especially NRR Ko Puhanchnay Walay Nuqsan Ki Waja Say.