Netherlands Poora Zor Laga Kar Bhi Bangladesh Ko Hara Nahi Saka. Laikin South Africa To Aik Martaba Phir Lutt Gaya. ’92 Say Lay Kar Aaj Tak Hamesha Aisa Hota Hay Ke Barish South Africa Ka Kaam Kharab Karti Hay. 7 Overs Main 64 Runs Chase Kartay Huay Us Kay 3 Overs Main 50 Runs Ban Chukay Thay Ke Barish Aa Gai Aur Match Kha Gai.

‏Monday Ko Donon Matches Bellerive Oval, Hobart Main Khelay Gaey. Pehlay Bangladesh-Netherlands Muqabla Hua. Jis Main 5 Overs Main 43 Runs Ka Zabardast Start Lainay Kay Baad Bangladeshi Innings Derail Hogai.

5 Overs Main 43-0 Say Score 11 Overs Main 76-5 Tak Puhanch Gaya. Yahan Afif Hossain Aur Nurul Hasan Nay 44 Runs Ka Izafa Kia. Aur Akhir Main Mosaddek Hossain Kay Aik Six Aur 2 Fours Nay Bangladesh Ko 144 Runs Tak Puhancha Dia.

Ye Aik Acha Total Tha. Especially Conditions Ko Dekhtay Huay. Laikin Netherlands Ki Batting Line Dekh Kar Achievable Bhi Lagta Tha. Max O'dowd, Bas De Leede, Tom Cooper Aur Scott Edwards Ko Kaun Halka Lay Sakta Hay?

Phir Netherlands Nay Lia Worst-Possible Start. Taskin Ahmed Nay Innings Ki First 2 Balls Par Hi Netherlands Ko Hila Kar Rakh Dia. Vikramjeet Singh Aur Bas De Leede Donon Duck Par Out Huay. Jo Kami Reh Gai Thi Wo 4th Over Main Max Aur Cooper Kay Run Outs Say Poori Ho Gai.

Colin Ackermann Nay Yahan Say Match Nikalnay Ki Koshish Ki. Unhon Nay 48 Balls Par 62 Runs Baney. 17th Over Main Un Kay Out Hotay Hi Ye Umeed Khatam Ho Gai. Last Wicket Par Paul Van Meekeren Aur Fred Klaassen Nay 34 Runs Bana Kar Last Attempt Ki. Par Last 3 Overs Main 40 Runs Banana Kohli Jaisay Level Kay Batsman Ka Kaam Tha.

Aakhir Main Taskin Ahmed Ko 25 Runs Day Kar 4 Wickets Lainay Par Man Of The Match Award Mila.

ICC T20 World Cup 2022, 17th Match

Bangladesh vs Netherlands

24 October 2022

Bellerive Oval, Hobart, Australia

Result: Bangladesh 9 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do Bangladesh144-8
Afif Hossain38 (27)
Najmul Hossain25 (20)
NED BowlingOMRW
Paul van Meekeren40212
Bas de Leede30292
Raftar Bharne Do Netherlands(T: 145)135-10
Colin Ackermann62 (48)
Paul van Meekeren24 (14)
BAN BowlingOMRW
Taskin Ahmed40254
Hasan Mahmud41152

Ye Match To Barish Say Mutasir To Hua, Laikin Itna Nahi Jitna Next Match Kharab Hua. 20 Overs Kay Bajaey Sirf 9 Overs Per Innings Kay Sath Match Shuroo Hua.

Zimbabwe Pehlay Khela Aur Netherlands Jaisa Start Lia. Sirf 19 Runs Par 4 Wickets Gireen, Jin Main Sikandar Raza Ka Duck Aur Sean Williams Ka Ajeeb Runout Bhi Shamil Tha. Wo Running Kartay Huay Sathi Batsman Wessly Madhevere Say Takra Gaey Thay.

Last Two Overs Main To South Africa Nay Hadd Hi Kardi. Pehlay Kagiso Rabada Nay 1 Six Aur 2 Fours Kha Kar 17 Runs Diay. Phir Last Over Main Leg Bye Kay 4 Runs Milnay Kay Baad Penalty Kay 5 Runs Bhi Zimbabwe Ko Diay. Ye Fine Leg Say Aanay Wala Throw Tha Jis Ko Pakarnay Say Pehlay De Kock Nay Apna Aik Glove Utaar Dia Tha. Qismat Dekhain Ke Throw Seedha Usi Glove Par Gira.

Yoon Zimbabwe Kay 79 Runs Ban Gaey. Madhevere Nay 11 Runs Par Catch Bhi Drop Honay Kay Baad 18 Balls Par 35 Runs Ki Not Out Innings Kheli.

ICC T20 World Cup 2022, 18th Match

South Africa vs Zimbabwe

24 October 2022

Bellerive Oval, Hobart, Australia

No Result

Raftar Bharne Do Zimbabwe(9 Ov.)79-5
Wessly Madhevere35 (18)
Milton Shumba18 (20)
SA BowlingOMRW
Lungi Ngidi20202
Wayne Parnell2061
Raftar Bharne Do South Africa(T: 64, 7 Ov.)51-0
Quinton de Kock47 (18)
Temba Bavuma2 (2)
ZIM BowlingOMRW
Sikandar Raza10110
Richard Ngarava10170

Laikin Kia Itnay Runs Kafi Thay? Quinton De Kock Kay Liay To Bilkul Nahi. Wo To Lagta Hay Aaj Tabahi Machanay Aaey Thay. First Over Ki First 5 Balls Par Boundaries Lagaen, Including A Six.

3 Overs Main Hi Score 50 Runs Tak Puhanch Gaya. Tab De Kock Ki Innings Say Bhi Barra Aik Toofan Aa Gaya. Barish Ki Waja Say Match Bar Bar Rokna Parra. 7 Overs Main 64 Runs Ka Revised Target Dia Gaya. Match Ka Result Lanay Kay Liay South Africa Ka Minimum 5 Overs Khelna Zaruri Tha. Laikin Barish Ki Waja Say Match 3 Overs Main Hi Called-Off Ho Gaya.

Yani Barish Zimbabwe Ko Bacha Gai. Yoon Donon Teams Ko 1-1 Point Mil Gaya. Ab Super 12 Kay Group 2 Main Situation Buhat Khatarnaak Ho Chuki Hay. Khud Dekh Lain:

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Group 2

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do Bangladesh110020.450
Raftar Bharne Do India110020.050
Raftar Bharne Do South Africa10011-
Raftar Bharne Do Zimbabwe10011-
Raftar Bharne Do Pakistan10100-0.050
Raftar Bharne Do Netherlands10100-0.450
شیئر

جواب لکھیں