November Ka Thanda Mahina Qareeb Aatay Hi Siyasi Mahol Garm Honay Laga Hai. Imran Khan Ne Kuch Din Pehle Naya Pandora Box Khola Ke Pehlay Election Karao, Phir Nai Hukoomat Naya Army Cheif Lagaye Tab Tak Ke Liye General Bajwa Hi Sipah Salaar Ki Zimmedariyan Nibhaayen. Udhar Wazir-E-Azam Shahbaz Shareef London Parwaz Kar Chukay Hain Ke Barray Bhai Ke Aashirwad Se Naye Army Cheif Ka Naam Tay Karen. Oont Kis Karvat Baithy Ga Is Ka Faisla To Jald Hojaye Ga Lekin Agar Qamar Javed Bajoh Ko Doosri Extension Mili To Woh Pehlay Army Cheif Nahi Hon Ge Jo 6 Saal Se Ziyada Arsay Tak Is Ohday Par Rahen Ge. Pakistan Mein Army Cheif Ki Extension Ki Kahani Bohat Purani Hai.

Sab Se Pehli Extension General Ayub Khan Ko Mili Thi Jo Mulk Ke Sab Se Pehle Muqami Sipah Salar Bhi Thay. Un Dinon Army Chief Ko Commander In Chief Kaha Jata Tha Aur Un Ke Ohday Ki Muddat 4 Saal Hoti Thi. Ayub Khan 1951 Main Commander In Chief Banay. 1955 Main Un Ki Muddat Puri Hui Tou Sadar Iskandar Mirza Ne Unhen 4 Saal Ki Extension De Di, Dilachasp Baat Ye Hai Ke 1959 Main Unake Ohday Ki Dusri Muddat Puri Honay Se Aik Sal Pehlay June 1958 Main Unhen Iskandar Mirza Ke Dabao Per Wazir-E-Azam Feroz Khan Noon Ne 2 Saal Ki Paishgi Tosee De Di Thi Lekin Us Tosee Ki Naubat Hi Nahi Aai. 7 October 1958 Ko Commander In Chief Ayub Khan Ne Sadar Iskandar Mirza Ke Kehnay Per Martial Law Lagaya Aur Sirf 20 Din Baad Yani 27 October 1958 Ko Iskandar Mirza Ko Chalta Kar Ke Khud Sadar-E-Mumlikat Ban Gaye Aur General Musa Khan Ko Commander In Chief Muqarrar Kar Diya. 1962 Main General Musa Khan Ki Retirement Ka Wat Aaya To Ayub Khan Ne Unhen Extension De Di. 1966 Main Musa Khan Retire Huye To Ayub Khan Ne General Yahya Khan Ko Commander In Chief Banaya Aur General Musa Ko Maghribi Pakistan Ka Governor Laga Diya.

March 1969 Main Jab Siyasi Halat Ayub Khan Ke Control Se Bahar Huye To Unhon Ne Iqtidar Genral Yahya Khan Ko Saunp Diya. General Yahya Khan Ne Martial Law Lagaya Aur Khud Sadar Aur Chief Martial Law Administrator Ban Gaye. September 1970 Main Yahya Khan Ke Ohday Ki Muddat Bhi Puri Honi Thi Lekin Siyasi Halat Tab Bhi Kharab Is Liye Sadar Yahaya Khan Ne Commande In Chief Yahya Khan Ko Extension De Di.

1971 Ki Jang Main Pakistan Ko Shikast Hui. Mashriqi Pakistan Bangladesh Ban Gaya To General Yahya Khan Ko December 1971 Main Sadarat Zulfiqar Ali Bhutto Ko De Kar Ghar Rawana Hona Para. Zulfiqar Bhutto Ne General Gul Hasan Ko Army Chief Banaya Magar Sirf 74 Din Baad Un Ko Hata Dia. Us Ke Baad Se Ye Ohda Chief Of Army Staff (COAS) Kehlane Laga. Bhutto Ne 3 March 1972 Ko General Tika Khan Ko Army Chief Lagaya. General Tika Khan Ki Wafadari Ke Bawajood Bhutto Ne Unhen Extension Nahi Di Aur 1 March 1976 Ko General Zia Ul Haq Ko Army Chief Bana Diya. General Zia Ul Haq Ne Taqreeban Sawa Saal Bad 5 July 1977 Ko Bhutto Ka Takhta Ulat Diya Aur Khud Chief Martial Law Administrator Aur Sadar Ban Gaye. Zia Ul Haq Us Ke Baad Khud Ko Khud Hi Extension Detay Rahe Aur 17 August 1988 Ko Fazai Hadsay Main Halakat Tak Pakistan Ke Army Chief Rahe. Taqreeban Sarhay 12 Saal Muddat Ke Saath Wo Pakistan Ki Tareekh Main Sab Se Ziyada Arsay Tak Army Chief Honay Ka Aizaz Rakhtay Hain. Is Dauran Army Chief Ke Ohday Ki Muddat 3 Saal Kar Di Gayi Thi.

Zia Ul Haq Ke Baad Genera Mirza Aslam Baig Army Chief Banay. Un Ki 3 Saal Ki Muddat August 1991 Main Khatm Hui. US WAT NAWAZ SHARIF WAZIR-E-AZAM THAY. Kuch Log Kehte Hain Ke General Mirza Aslam Baig Extension Chahtay Thay Lekin Nawaz Sharif Ne Unhen Tausee Nahi Di Aur General Asif Nawaz Janjua Ko Sipah Salar Muqarrar Kar Diya.

16 August 1991 Ko Army Chief Bannay Walay General Asif Nawaz January 1993 Main Dil Ka Daura Parnay Se Intiqal Kar Gaye. Wo Sirf 1 Saal 3 Mahinay Is Ohday Per Reh Sakay. Un Ke Baad General Abdul Waheed Kakar Ne Siyasi Halchal Ke Bawajood January 1993 Se January 1996 Tak Apni Muddat Puri Ki. Us Waq Benazir Bhutto Ki Hukumat Thi Jinhon Ne General Jehangir Karamat Ko Is Mansab Per Faaiz Kia.

6 October 1998 Ko Jab Jehangir Ki Muddat E Mulazmat Puri Honay Main Taqreeban 100 Din Baqi Thay Ke Aik Mutnaza Taqreer Ki Bina Per Wazir-E-Azam Nawaz Shairf Ne Un Ko Hata Kar General Pervez Musharraf Ko Army Chief Laga Diya. Sirf Aik Saal Bad Yani 12 October 1999 Ko Pervez Musharraf Ne Nawaz Shairf Ka Takhta Ulat Ker Ayub Khan Aur Zia Ul Haq Ki Riwayat Taza Ki.

Us Ke Baad General Pervez Musharraf Army Chief Rehtay Huye Pehele Mulk Ke Chief Executive Aur Phir Sadar Banay Aur Khud Ko 2 Baar Extension Di. 29 November 2007 Ko Taqreeban 9 Saal Army Chief Rehnay Ke Baad Unhin Ne Kaman General Ashfaq Pervez Kayani Ko Saunp Di.

General Ashfaq Pervez Kayani Ki Muddat E Mulazmat 2010 Main Puri Hui To Wazir-E-Azam Yousuf Raza Gilani Ne Un Ko Extension De Di. 29 November 2013 Ko Kayani Rukhsat Huye Tou Sipah Salar Ka Mansab General Raheel Sharif Ko Mila. 29 November 2016 Ko Un Ki Muddat Puri Hui, Unhon Ne Extension Nahi Li Ya Nawaz Sharif Ne Nahi Di Is Per Mutazad Baaten Ki Jati Hain. Beharhal Un Ke Baad Kaman General Qamar Javed Bajwah Ko Mili. Un Ki Muddat November 2019 Main Puri Ho Gayi Magar Imran Khan Sarbrahi Main Pti Sarkar Aur Opposition Ne Mil Kar Qanoon Sazi Ki Aur Unhen Tausee Mil Gayi. Qanooni Taur Per General Qamar Bajwah Aik Aur Extension Ke Ehal Hain Magr Kia Unhen Extension Mile Gi? Kia Wo Extension Lain Ge? In Sawalon Ki Goonj Hatmi Elan Tak Sunai Deti Rahe Gi.

شیئر

جواب لکھیں