PTI Ke Senator Azam Swati Ki Giraftari Par Senate Main PTI Arkan Ne Shadeed Ehtijaj Kiya Aur Azam Swati Ke Production Order Jari Karnay Ka Mutaliba Kiya.
PTI Arkan Ijlas Main Baazu Per Kaali Patiyaan Bandh Kar Shareek Huye Aur Ijlas Ka Aghaz Hotay Hi Shadeed Ehtijaj Shuru Kar Diya Aur Agenday Ki Copian Phaar Deen.
PTI Arkan Ke Shor Sharabay Aur Ehtijaj Ke Dauran PML N Ke Senator Afnan Ullah Ne Quorum Ki Nishandahi Ki Jis Per Ijlas Baghair Kisi Karrwai Ke 17 October Tak Multawi Kar Diya Gaya.
17 October Ko Honay Walay Ijlas Ke Liye Senator Azam Swati Ke Production Order Ki Darkhwast Bhi Senate Secretariat Main Jama Karwa Di Gayi.
PTI Ke Arkan Ne Deputy Chairman Senate Se Mulaqat Ki. Is Mauqay Per Senator Ijaz Chaudhry Ka Kehna Tha Ke Jo Kuch Azam Swati Ke Saath Hua Wo Kisi Ke Saath Bhi Ho Sakta Hay.
Unhon Ne Bataya Ke Azam Swati Ka Paigham Aaya Hay Ke “Jo Kuch Meray Saath Hua Us Se Tou Behtar Tha Ke Goli Maar Detay.”
Senator Azam Swati Ko Mutnaza Tweet Karne Per FIA Cyber Crime Cell Ne 13 October Ko Giraftar Kiya Tha. Islamabad Ki Adalat Ne Un Ka 2 Roza Jismani Remand Manzoor Kiya Tha. Azam Swati Ko Kal Dobara Adalat Main Paish Kiya Jaye Ga.