Nobel Inam Yafta Malala Yousaf Zai,4 Saal baad Pakistan Pauhanch Gaein.

11 October ko Karachi Kai Jinnah International Airport Per Malala Ka Sakht Security Mai Istaqbal Kiya Gaya. England Say Malala Kai Walidain Bhi Paksitan Aeye Hain. Malala Kai Doray Ka Maqsad Sailaab Sai Mutasaira Muqamat ka Dora Kerna Hay.

Malala Yousaf Zai, 11 October ka Din Karachi Mai Guzaar Ker 12 October ko Dadu Ka Dora Kerain Gi. Un Kai Hamra Sindh Government Kai Aala Uhday Daraan Bhi Hongae.

Malala,Nay 2018 Mai Bhi Pakistan Ka Doara Kiya Tha. Us Mouqay Per Woh Swat Bhi Gaei Thein.

Malala Yousaf Ko October 2012 Mai Swat Mai Dehshat Dardoun Nay Firing Kerkai Shadeed Zakhmi Kerdia Tha.

15 October Ko Malala Yousaf Zai Ko Special Plane Kai Zarye England Bheja Gaya Tha Jahan Kaie Months Taak Un Ka Ilaj Jari Raha.

12 July 2013 Say Heer Saal, Iss Dinn Ko Malala Day Kai Toar Per Manaya Jata Hay.

10 October 2014 Ko Malala Ko Peace Nobel Award Diya Gaya Tha.

شیئر

جواب لکھیں