Nobel Laureate Malala Yousufzai Ne Sindh Ke District Dadu Main Sailab Zada Elaqon Ka Daura Kiya.

Sindh Ke Wazir-e-Taleem Sardar Shah, Wazir-e-Sehat Azra Pechuho Aur Famous Singer Shehzad Roy Bhi Un Ke Saath Thay.

Malala Yousufzai Ne Tent City Main Rehne Wali Khawateen Aur Bachion Ke Masail Sunay Aur Unki Himmat Barhai. Un Ka Kehna Tha Ke Aap Is Muskhil Waqt Ka Bahaduri Se Muqabla Kar Rahi Hain, Aap Ba Himmat Khawateen Hain.

Shehzad Roy Ne Camp Main Rehnay Wali Bachion Ko Gana Bhi Sunaya. Unhon Ne Kaha Ke Ye Gana Sindh Ke Liye Hay. Sardar Shah Is Ka Sindhi Main Tarjuma Karen Ge.

Wazir-e-Taleem Sindh Sardar Shah Ne Malala Yousufzai Ko Briefing Detay Huye Bataya Ke 12,000 School Sailab Se Mutasir Huye Jis Ki Wajah Se 20 Lakh Bachon Ki Taleem Ko Nuqsan Pohncha Hay Jis Per Malala Ne Tashweesh Ka Izhar kiya.

شیئر

جواب لکھیں