Avatar Kay Fans Ka Intezar Khatam Honay Wala Hay, Aur 13 Saal Baad 16 December Ko Avatar 2 Yani ‘Avatar: The Way Of Water’ Release Ho Rahi Hay. Pehli Avatar Ki Zabardast Kamyabi Kay Baad Ab Fans Ko James Cameron Say Bari Umeedain Hain Mayoos Nahi Karain Gay Aur Us Say Bhi Bara Shahkaar Laen Gay.

Log Kya Kehtay Hain?

Laikin Yeh Movies Waqai Expectations Par Puri Utar Paey Gi? Ya Unhi Kay Bojh Talay Dab Jaey Gi? Is Baaray Mein Hum To Kuch Nahi Keh Saktay Laikin London Main 'Avatar: The Way Of Water' Ka Premier Dekhnay Walay To Baray Khush Nazar Aatay Hain. Aik Journalist Erik Davis Nay Bataya Kay Yeh Movie Avatar Ki Pehli Movie Say Ziada Achi Hay. Un Kay Alfaaz Mein Yeh “Visually Breathtaking” Movie Hay.

Phir Guillermo Del Toro Jaisay Baray Director Tak Keh Chukay Hain Key Avatar Ka Yeh Sequal Aik Buhat Bari Achievement Hay.

Kaha Jata Hay Kay James Cameron Nay Is Film Ko Bananay Main Is Liye Itna Waqt Laga Dia Kion Kay Woh Chahtay Thay Kay Under Water Shoots Kay Liye Behtareen Technology Aa Jaey.

Avatar 2 Ki Kahani

'Avatar: The Way Of Water' Ki Story Jake Sully (Sam Worthington) Aur Neytiri (Zoe Saldaña) Kay Gird Ghoomti Hay. Samjhain Pehli Avatar Kay In Main Characters Ki Kahani Aik Naey Morr Par Puhanchti Hay Jis Mein Wo Dono Apni Family Aur Planet Pandora Ko Aik Naey Khatray Say Bachanay Ki Koshish Kertay Hain. Waisay Is Movie Main Sigourney Weaver, Stephen Lang Aur Kate Winslet Bhi Nazar Hon Gi.

Aik Masla

Laikin Aik Masla Hay Film Ki Duration. Aik Aisay Zamanay Mein Jab 2 Ghantay Bhi Kisi Movie Kay Liay Zyada Lagtay Hain, ‘Avatar: The Way Of Water’ 3 Hours 10 Minute Ki Hay. Is Per Buhat Lay Day Ho Rahi Hay Laikin Film Director James Cameron Kehtay Hain Ke Chahay Log Film Kay Dauran Uth Ka Bathroom Chalay Jaen, Unhain Masla Nahi.

‘Avatar: The Way Of Water’ Ki Shooting August 2017 Main Shuru Hoi Thi, Jo September 2020 Tak Chalti Rahi Aur Ab Yeh Epic Movie Pakistan Samait Dunya Bhar Kay Cinemas Mein Release Honay Kay Liay Tayar Hay.

Avatar 2

Kitna Kharacha Aya?

Film Ki Tayari Par 350 Million Dollar Say 400 Million Dollar Ki Laagat Aai Hai. Yani YehFilm Industry Ki History Ki Mehngi Tareen Movie Hogi. Aur Is Kay Paas Hit Honay Kay Ilawa Doosra Koi Raasta Nahi. Commercial Success Lazmi Hay Balkay Shayad Break Even Kay Liay Bhi Isay Kai Records Tornay Parain. Cameron Avatar Series Mein 2024, 2026 Aur 2028 Main Mazeed Movies Bhi Laen Gay.

Avatar 1 Main Kya Tha?

Dilchasp Baat Yeh Kai Avatar Film 2009 Mein December Kay Maheenay Main Hi Release Ki Gai Thi. Yeh Film 237 Million Dollar Budget Say Bani Thi. Is Film Nay To Worldwide 2.9 Billion Dollars Ka Business Kia Tha. Yani History Ki Sab Say Highest Grossing Film, Aur Yeh Record Aaj Bhi Qaim Hay.

RankPeakTitleYearWorldwide Gross
11Avatar2009$2.92 Billion
21Avengers: Endgame2019$2.79 Billion
31Titanic1997$2.18 Billion
43Star Wars: The Force Awakens2015$2.06 Billion
54Avengers: Infinity War2018$2.04 Billion
66Spider-Man: No Way Home2021$1.91 Billion
73Jurassic World2015$1.67 Billion
87The Lion King2019$1.65 Billion
93The Avengers2012$1.51 Billion
104Furious 72015$1.51 Billion

Kya Avatar 2 Kamyab Hogi?

Is Waqt Avatar: The Way Of Water Ki Success Kay Baray Main Kuch Kehna Qabal-Az-Waqt Hoga. Ager Yeh Movie Hit Hogai To Film Industry Main Aik History Create Hojaey Gi, Aur Aanay Walay Years Main Aisi Mazeed Films Theater Main Daikhnay Ko Mil Sakain Gi. Laikin Aisa Na Ho Saka To Ya Tareekh Kha Sab Say Bara Box Office Bomb Hoga.

شیئر

جواب لکھیں