Kya Aap Apnay Office Mein Boos, Manager, Coworker, Balkay Khud Ko Bhi, Impress Karnay Ki Koshish Kar Rahay Hain? To Attention Hasil Karnay Aur Impact Daalnay Kay Buhat Say Tareeqay Hain. Jin Say Aap Ko Promotion Bhi Mil Sakti Hay, Bonus Bhi Aur Aap Office Ki Team Ka Aik Important Hissa Ban Sakty Hain. Workplace Par Boss Ko Impress Karnay Aur Un Par Impact Dalnay Kay Kaun Say Tareeqay Hain? Sab Say Aagay Aur Sab Say Ooper Kaisay Jaya Ja Sakta Hay? Aaen Batatay Hain:

Ideas Say Barh Kar Implementation

Impress Boss

New Ideas Sub Ko Pasand Hotay Hain, Aur Unhain Lanay Walay Laug Bhi. Laikin Apnay Ideas Ko Practically Implement Karna Sab Kay Bus Ki Baat Nahi Hoti. Ya Phir Apnay Idea Ko Practical Soorat Dainay Kay Liay Koi Real Plan Paish Nahi Kar Patay.

Is Liay Sirf ‘Idea’ Paish Karna Kafi Nahi. Zaruri Hay Kea Ap Ka Idea Aisa Ho Jo Company Kay Goals Kay Mutabiq Ho Aur Wo Is Ko Practical Soorat Dainay Ki Capability Bhi Rakhti Ho. Phir Aap Ka Idea To Buhat Acha Ho Laikin Usay Aagay Lay Janay Ka Plan Na Ho To Ye Bhi Ideas Kay ‘Trash Bin’ Main Izafa Hoga.

To Idea Aisa Ho Jis Par Aasani Say Amal Ho Sakay. Action Plan Bhi Idea Jitna Hi Important Hay. Wo Bhi Aisa Jo Easily Communicate Bhi Ho Aur Us Par Implementation Bhi Ho.

Ye Strategy Aur Performance Aap Ko Office Mein Prominent Banati Hay. Aap Ko Notice Kia Jata Hay. Boss Impress Hota Hay Aur Company Ka Kaam Improve Honay Kay Sath Sath Aap Bhi Team Ka Important Part Bantay Hain.

Deadline Na Chhorain

Impress Boss

Kaam Ki Kisi Bhi Jaga Par Stress Ki Sab Say Barri Waja Hoti Hain Deadlines. Yani Ab Aap Ka Kaam Koi Team Member, Management Ya Client Check Karay Ga. Wo Kaam Kitna Hi Chhota Ya Barra Kyun Na Ho, Deadline Par Dimagh ‘Shaat’ Ho Jata Hay.

Deadline Di Jati Hay Kaam Ki Importance Aur Priorities Par. Aur Kaam Bhi Un Ko Dia Jata Hay Jinhain Reliable Aur Time Ka Paband Samjha Jata Hay. To Agar Aap Deadline Ko Beat Kartay Hain, Aur Aisa Baar Baar Kartay Hain To Ye Impress Karnay Kay Liay Kafi Hoga.

Note Taking

Impress Boss

Hum Apni Zindagi Ka 55% Hissa Listening Yani Sun’nay Mein Guzaartay Hain. Laikin 25% Information Hi Zehn Mein Rehti Hay. Yani Hum Zyada Tar Batein Aik Kaan Say Suntay Hain Aur Doosray Say Nikaal Detay Hain. Kaam Par To Aisa Buhat Zyada Hota Hay. Hum Yahan Apna Buhat Zyada Waqt Communication Mein Lagatay Hain, Yani Aisay Waqt Mein Jo Asal Mein Kaam Hota Hi Nahi.

Chahay Ye Jitna Bhi Muskil Lagay Laikin Active Listening Buhat Important Cheez Hay. Apnay Coworkers Ki Personal Aur Professional Baatein, Un Kay Mashwaray Aur Khayal Sun’na Aur Un Kay Ideas Mein Involve Hona Aap Kay Workflow Mein Zabardast Changes La Sakta Hay.

Agar Aap Pen Aur Paper Rakhnay Wali Personality Nahi To Aap Buhat Si Information Zaya Kar Rahay Hain. Notes Lainay Ko Aadat Banaen, Phir Unhain Review Bhi Karain Aur Workflow Ka Hissa Banaen.

Kuchh Naya Seekhna

Impress Boss

Chahay Aap Kisi Bhi Jaga Par Hon Aur Kisi Bhi Designation Par, Phir Kitnay Hi Barray 'Tees Maar Khan' Kyun Na Hon, Seekhnay Ki Gunjaish Hamesha Mojood Rehti Hay. Ab To Seekhna Buhat Aasan Bhi Ho Gaya Hay. Nai Cheezon Ki Basic Knowledge Kay Liay Youtube Hay To Phir Special Courses Kay Liay Skillshare Aur Linkedin Learning (Formerly: Lynda.Com) Hain.

Is Daur Mein To Ye Buhat Zaruri Hay Kyunkay Ab Technology Buhat Tezi Say Jobs Ko Kha Rahi Hay. Ho Sakta Hay Aap Ka Kaam Bhi Automate Ho Chuka Ho Aur Jald Hi Office Ko Aap Ki Zarurat Hi Nay Rahay. Is Liay Seekhain, Seekhtay Rahain Aur Apna Edge Barqaar Rakhain.

شیئر

جواب لکھیں