Is Waqt Dunya Mein Mega Companies Say Lay Kar Seth Ki Dukan Tak, Har Jaga Aik Hi Kaam Ho Raha Hay: Layoffs, Yani Logon Ko Nikaalna. Ab Bay-Rozgaar Logon Ki Aik Fauj Hay Jo Apnay “Updated” CV Lay Kar Har Jaga Apply Kar Rahi Hay. Agar Aap Bhi Aisay Hi Logon Mein Say Aik Hain To Zara Rukain: Hum Aap Ko Aik Important Baat Batanay Walay Hain.

Kuch To Aisi Batein Hain Jin Ka Aap Ko CV Banatay Huay Waisay Hi Khayal Rakhna Hay. Phir Best CV Ki Tips To Aap Ko Pehlay Hi Day Chukay Hain, Aaj Aap Ko Batayen Gay Un “Skills” Kay Baray Mein Jin Ka Zikar Aap Nay Apnay CV Mein Bilkul Nahi Karna. Agar Aap Kisi Achi Position Par, Achi Salary Par Jana Chahtay Hain To In “Skills” Ko Apnay CV Say Nikaal Dain.

Data Entry

Aaj Kay Zamanay Mein Kaun Si Job Hay Jis Mein Data Enter Karnay Ki Zarurat Nahi Hoti? Technology Nay To Offices Ki Shakal Hi Badal Di Hay, Is Liay CV Mein Ye Kehna Kay Mein Buhat Acha “Data Entry Operator” Hoon, Aaj Kay Zamanay Mein Koi Kamaal Ki Baat Nahi.

Haan! Agar Job “Asli Tay Waddi” Data Entry Ki Ho Aur Koi Buhat Barri Database Banani Ho To Alag Baat Hay. Is Soorat Mein Aap Apnay Specific Data Entry Program Aur Skill Ka Zikar Karain, Bus!


Typing

CV

Kya Zamna Tha Ke Sirf Typing Karnay Par Bhi Naukri Mil Jati Thi. Ab Kaun Aisa Hay Jo Typing Nahi Karta? Computers Say Lay Kar Mobile Screens Tak, Typing To Ab Har Jaga Hay. Ye Aisa Kaam Ban Chuka Hay Jo Ab Bachay Bachay Ko Aata Hay, Aur Aik Universal Skill Hay. Is Liay Apni CV Mein Isay Mention Na Karain.


Emailing

Kuch Yahi Ma’mla Emails Ka Bhi Hay. Aik Zamany Mein Mails Aur Emails Bhejnay, Receive Karnay Aur Sanbhalnay Kay Liay Alag Banda Hota Tha. Ab To Ye Bhi Aik Universal Skill Hay. Hamara To Adha Din Ab Texting Mein Guzarta Hay, To Emailing Is Ki Zara Behtar Aur Professional Shakal Hi To Hay. To Microsoft Outlook Aur Gmail Par “Mahaarat” Jaisi Baatein Apnay CV Say Nikaal Dain.


Microsoft Word

CV

Microsoft Word Aik Aisa Program Hay Jo Shayad Aap Kay Paida Honay Say Bhi Pehlay Say Logon Ki CVs Ka Hissa Hay. Ab Ye Itna Aam Ho Chuka Hay Ke By-Default Samjha Jata Hay Ke Ye Sab Ko Aata Hay. Is Liay MS World Ka Apnay CV Mein Zikar Karnay Ka Koi Faida Nahi. Yahi Nahi, Koshish Karain Ke Microsoft Excel Aur Aur Powerpoint Ka Zikar Bhi Na Karain.


College Degree

Shayad Ye Parh Kar Aap Hairaan Ho Rahay Hon Ke Aik Degree Hi To Li Hay Hum Nay Zindagi Mein, Is Ka Zikar Bhi Na Karain? Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke “Degree Degree Hoti Hay, Asli Ho Ya ….” Kay Ma’mlay Kay Baad Employer Ko Aap Ki College Degree Mein Koi Dilchaspi Nahi. Haan! Agar Aap Nay Koi Major Kia Hay Ya Jis Position Kay Liay Apply Kar Rahay Hain, Degree Us Say Related Hay To Alag Baat Hay.

Aur Haan! Agar Aap Ki Degree Purani Hay To Wo Waisay Hi Outdated Ho Chuki Hay. Us Ko Liknay Ka To Waisi Bhi Koi Faida Nahi Hona. To Apni Degree Ki Baat Par Zyada Zaur Na Dain. Aur Us Ki Jaga Certification Programs Aur Jo Education Aap Is Waqt Haasil Kar Rahay Hain, Un Ka Zikar Karain.


Internet Browsing

CV

Shart Laga Lain, Pakistan Mein Ban’nay Wali 50% Say Zyada CVs Mein Internet Browsing As A “Skill” Likhi Jati Hay. Zara Aik Minute Kay Liay Sochain Ke Aisa Kaun Hoga Hay Jo Aajkal Internet Browsing Nahi Karta.

Haqeeqat Ye Hay Ke Is Waqt Market Buhat Competitive Hay. In Muskhil Economic Conditions Mein To Haal Aur Kharab Ho Chuka Hay. Is Liay Aap Nay Naukri Kay Liay Pehla Step Buhat Sanbhal Kar Uthana Hay, Yani CV Bananay Ka. Aap Ka CV Bilkul Modern Look Aur Feel Rakhta Ho, Aap Ki Current Job Skills Ko Zahir Karta Ho, Wo Nahi Jin Ka Ab Zamana Khatam Ho Chuka Hay.

شیئر

جواب لکھیں