Artificial Intelligence Ki Dunya Mein ‘Singularity’ Ka Idea Buhat Bara Hay. Is Ka Aasan Sa Matlab Ye Hay Ke Jab Artificial Intelligence Insan Jitni Zaheen Ho Jaey, Is Stage Ko Singularity Kehtay Hain. Aisa Kab Hoga? Predict Karna Buhat Mushkil Hay Laikin Last Years Mein Is Maidan Mein Itna Kuch Hua Hay Ke Hum Keh Saktay Hain Singularity Ki Janib Qadam Barhna Shuru Ho Chukay Hain.

Kuch AI Researchers Aisay Hain Jinhon Nay Andaza Laga Lia Hay Ke Artificial Intelligence Kab Insan Ki Skills Aur Abilities Tak Puhanch Sakti Hay. Is Kay Liay Aik Metric Banaya Hay Rome Ki Translation Company Translated Nay Aur Us Nay Standard Banaya Hay Ke AI Kisi Bhi Conversation Ka Tarjuma Kitna Acha Kar Sakti Hay Aur Kya Wo Human Translation Jitna Acha Result Day Sakti Hay.

Language AI Kay Mushkil Challenges Mein Say Aik Hay, Laikin Is Gap Ko Khatam Karnay Wala Computer Artificial Intelligence Kay Signs Zahir Karay Ga.

Translated Kay CEO Marco Trombetti Kehtay Hain Ke Language Insan Ki Sab Say Natural Cheez Hay, Laikin Jo Data Hum Nay Jama Kia Hay Us Say Zahir Hota Hay Ke Machines Is Gap Ko Khatam Karnay Say Zyada Door Nahi.

Company 2014 Say ‘Time To Edit’ (TTE) Nami Is Metric Say AI Ki Performance Track Kar Rahi Hay. Ye Andaza Lagata Hay Ke Human Translation Kay Muqablay Mein Professional Editors Ko AI Ki Translation Ko Edit Karnay Mein Kitna Waqt Lagta Hay. In 8 Saalon Mein Approx. 2 Billion Post Edits Ko Analyze Karnay Kay Baad Translated Kehta Hay Ke Aik Slow But Steady Progress Hui Hay Ka AI Ki Translation Quality Human Translation Kay Level Par Puhanch Gai Hay.

Raftar Bharne Do

Translated Kay Mutabiq Agar Ye Behtari Isi Tarah Hoti Rahi To Is Decade Kay End Tak, Balke Shayad Us Say Bhi Pehlay, Artificial Ki Translation Insan Say Achi Ho Jaey. Yani Hum Keh Saktay He Ke Is Decade Mein Kam-Az-Kam Translation Kay Maidan Mein Singularity Ab Zyada Door Nahi.

شیئر

جواب لکھیں