Twitter Par Verification Process Shuru Se Hi Bohat Controversial Raha Hai. Verified Users Kay Selection Process Par Par Hamesha Bohat Criticism Hota Raha Hai. Yeh Waqai Itna Acha System Nahi Tha Lekin Ab Naey Maalik Elon Musk Ka Plan To Lagta Hai Verification Process Ko Tabah Kar Day Ga, Aur Sath Hi Twitter Ko Bhi.

Is Main Koi Shak Nahi Ke Elon Musk Ko Twitter Bohat Pasand Hai, Itna Ke Woh 44 Billion Dollars Kharch Karnay Par Bhi Tayyar Ho Gaey, Lekin Woh Samajte Nahi Ke Aakhir Twitter Ko Chalati Kya Cheez Hai? Aap Ko Acha Lagey Ya Bura, Lekin Asal Main Twitter Running Engine Hai Is Ke Blue Ticks. Yahi Twitter Ke Woh Users Hain Jo Behtareen Content Banatay Hain, Zabardast Guftagu Kartay Hain, Mazedar Posts Aur Detailed Threads Bhi Ziyada Tar Inhi Kay Accounts Say Aata Hai.

Lekin Elon Musk Kuchh Aur Samajhtay Hain. Twitter Verification Par Wo Kuchh Ye Keh Chukay Hain:

“Twitter Par Yeh Jo Badshah Aur Awam Ka Nizaam Hai Ke Kisi Ke Paas Blue Tick Hai Aur Kisi Ke Paas Nahi, Yeh Bakwaas Hai. Power Awam Ke Liye! Twitter Blue 8 Dollars Monthly Mein.

Blue Tick Hay Kis Kay Liay?

Techradar Kay Editor in Chief Lance Ulanoff Likhtay Hain Ke Chalein, Maan Lia. Kisi Hadd Tak Ye Baat Samajh Bhi Aati Hai. Jin Ke Paas Twitter Ka Yeh Famous Verification Mark Nahi, Woh Bohat Time Se Pooch Rahay Thay Ke Aakhir Yeh Milta Kaisay Hai? Aur Twitter Ka Selection System Aisa Tha Ke Is Ka Koi Clear-Cut Jawab Nahi Tha. Lagta Tha Blue Tick Awam Ke Liye Hai Hi Nahi. Ye Sirf Un Mashoor Logon Ke Liye Hai Jo Itnay Famous Hain Ke Koi Un Ka Fake Account Bana Sakta Hai. Is Liye Un Ke Real Account Ke Liye Yeh Blue Tick Diya Gaya.

Baad Mein Twitter Ne Mana Bhi Ke Yeh System Theek Nahi, Aur Kai Saalon Tak Verification Ban Rahi. Phir Doobara Shuro Kia, Bohat Logon Ko Verified Accounts Milay Lekin Awam Phir Bhi Khush Nahi Hue.

Elon Musk Ka Plan Kya?

Ab Elon Musk Aaye Hain Aur Un Ka Plan Bilkul Clear Hai: Twitter Blue Ab 8 Dollars Mahana Mein Hoga. Aur Haan! Agar Aap Kay Pass Verified Account Hay, To Monthly Fees Na Dainay Par Aap Ka Check Mark Wapis Le Liya Jaye Ga.

Aur Kuchh Nahi Bataya Gaya Ke Aisa Kab Se Hoga? Kal Se, Aglay Haftay Se Ya Next Year Say. Lance Ulanoff Kehtay Hain Jab Bhi Ho, Hamein To Yeh ‘Bhatta’ Lagta Hai. Woh Cheez Jo Twitter Ne Hi Hamein Di, Woh Wapas Li Ja Rahi Hai, Haan! Har Mahinay Paisay Den To Aisa Nahi Hoga. Aur Paisay Kis Baat Ke? Elon Musk Ke Platform Ko Content Dainay Ke Liye? Woh Kaam Jo Log Waisay Hi 16 Saal Se Kar Rahay Thay, Woh Ab Paisay Day Kar Karen Gay?

Yani Log Bhi Payment Karen, Ads Dainay Walay Bhi Paisay Dain, Aur Twitter Kuch Nah Karay? Kyunkay Woh To Koi Content Nahi Banata. Haan! Agar Elon Musk Billions Of Dollars Kharch Karne Ke Baad Kuch Recovery Chahtay Hain To Barray Multi National Brands Se Paisay Lay Len, Woh Khushi Khushi Den Ge, Balkay 8 Dollars Say Buhat Zyada Day Saktay Hain.

8 Dollars, Laikin Kis Baat Ka?

Lance Ulanoff Kay Mutabiq Musk Ka Plan Sab Ke Samnay Hai, Agar Usay Bilkul Waisay Hi Apply Kia Gaya To Twitter Barbaad Ho Jaye Ga. Ziyada Tar Verified Accounts Monthly 8 Dollars Nahi Den Ge. Woh Bhi Aisay Platform Kay Liay Jo Apna Original Content Banata Bhi Nahi.

Aik Misaal Se Samjhain: Netflix Aur HBO Max Ki Subscription 20 Dollars Se Kam Ki Hai, Lekin Woh Is Ke Badlay Kya Dete Hain? Behtareen, Original Aur Exclusive Content, Woh Bhi Bohat Buhat Ziyada Quantity Main. Aur Aap Se Badlay Mein Kuchh Nahi Mangtay. Twitter To Paisay Bhi Le Ga Aur Content Bhi Mangay Ga.

Agar Musk Ke Is Plan Par Waqai Amal Ho Gaya To Twitter Ki Credibility Khatam Ho Jaye Gi, Is Par Fake Accounts Ki Bharmaar Hogi, Jo 8 Dollars Day Kar Verified Ban Jaen Ge Aur Yoon Twitter Khatam Ho Jaye Ga.

شیئر

جواب لکھیں