Kya Aap Nay Kabhi Koi Aisa Bowler Dekha Hay Jo Donon Hathon Say Bowling Karta Ho? Yani Right Arm Say Aur Left Say Bhi? Shayad Kabhi Nahi Dekha Hoga! Kyunke Ye Aik Rare Breed Hay. Aisi Ability Lakhon Mein Shayad Kisi Aik Mein Hoti Hogi. Laikin Pakistan Mein Aik Aisa Bowler Zarur Aaya Hay Jo Sab Say Mukhtalif Aur Munfarid Hay. Naujwan Yasir Jan Ambidextrous Bowlers Mein Shayad Wahid Ho Gay Jo Fast Bowling Kartay Hain.

Shayad Aap Ko Yaad Bhi Ho, Yasir Pehli Baar 2016 Mein Lahore Qalandars Kay ‘Al-Mash’hoor’ Talent Hunt Mein Samnay Aaey Thay. Laikin Un Ki Qismat Dekhain 2018 Mein Injured Huay Aur 2020 Mein Stress Fracture Nay Un Ka Career Hi Taqreeban Khatam Kardia.

Wo Yasir Jan Jo Kabhi Left Arm Bowling Kartay Huay 135 Kmph Aur Right Arm Say 145 Kmph Ki Balls Phenktay Thay, Ab Un Mein Wo Jadu Nazar Nahi Aata. Wo Aur Haris Rauf Aik Saath Dunya Kay Samnay Aaeya Thay, Aaj Haris Rauf Kahan Aur Yasir Kahan?

Ambidextrous Bowlers
Haris Rauf Ko To Aaj Dunya Janti Hay, Laikin Yasir Jan Ko Koi Nahi Pehchanta (Photo: AFP)

Yasir Kabhi International Level Par Puhanch Bhi Payen Gay Ya Nahi, Ye To Hum Nahi Jantay Laikin Dunya Nay Kuch Aisay Bowler Zarur Aisa Dekhay Hain Jo Ye Kaarnama Kisi Na Kisi Level Par Anjaam Day Chukay Hain.

Ambidextrous Bowlers
Kamindu Mendis, Only Present International Player Jo Ambidextrous Bowlers Mein Say Aik Hain (Photo: Getty Images)

Hum Nay 2016 U-19 World Cup Mein Hi Aik Aisa Bowler Dekha Tha, Naam Tha Kamindu Mendis. Unhon Nay Kai Matches Mein Donon Hathon Say Apni Spin Bowling Dikhai. Waisay Wo Ab Tak Sri Lanka Kay Liay 1 Test, 7 ODI Aur 5 T20i Bhi Khel Chukay Hain.

Mendis Kay Ilawa Bhi Cricket History Mein 4 Aisay Bowlers Guzar Chukay Hain Jinhon Nay Kisi Na Kisi Level Par Ye Kaam Kar Dikhaya Ho, Yani Donon Hathon Say Bowling Karnay Ka. Aur Is Mein Pehla Naam Hay Pakistan Kay Little Master Hanif Mohammad Ka.

Ambidextrous Bowlers
Ye Baat Kam Log Jantay Hain Ke Hanif Mohammad Buhat Achay Bowler Bhi Thay Balkay Donon Hathon Say Bowling Kar Saktay Thay Yani Ambidextrous Thay (Photo: Getty Images)

Pakistan Kay Pehlay Batting Superstar Aik Zabardast All Rounder Thay. Batting Mein To Wo Thay Hi Kamaal Kay, Laikin Wicketkeeping Bhi Achi Kartay Thay Aur Waqt Parnay Par Off-Spin Bowling Bhi Karatay Thay. Laikin Un Ki Aik Salahiyat Thi Ambidextrous Hona. Aur Ye Salahiyat Unhon Nay International Cricket Mein Bhi Dikhai. 1958 Mein Pakistan Kay Famous Tour Of West Indies Mein Hanif Mohammad Nay Third Test Mein Donon Haathon Say Bowling Karwa Kar Sub Ko Hairan Kardia Tha.

Ambidextrous Bowlers
Graham Gooch Nay Apni Ye Ability Zahir To Nahi Ki, Laikin Thay Wo Bhi Ambidextrous Bowlers Mein Say Aik (Photo: PA Photos)

Phir Cricket History Ka Aik Aur Bara Naam Hay, Jo Ambidextrous Tha: England Kay Graham Gooch. Apnay Zamanay Mein Sub Say Zyada Runs Bananay Walay English Batsman Kabhi Kabhi Bowling Bhi Karwatay Thay. Career Mein 23 Test Wickets Lainay Walay Gooch Bhi Donon Hathon Say Bowling Kar Saktay Thay. Bus Unhon Nay International Level Par Kabhi Aisa Kar Kay Dikhaya Nahi.

Ambidextrous Bowlers
Sri Lanka Kay Hashan Tillakaratne Nay To World Cup 1996 Mein Ye Kaarnama Dikhaya (Photo: Getty Images)

Phir Sri Lanka Kay Aik Batsman Thay Hashan Tillakaratne. Apnay 88 Test Aur 220 ODIs Kay Career Mein Unhain As A Bowler Bhi Use Kia Jata Tha. Wo 1996 Mein World Champion Ban’nay Wali Lankan Team Ka Hissa Thay Aur Isi Tournament Mein Kenya Kay Against Match Mein Unhon Nay Ye Ajeeb Karnama Kia. Match Kay Last Over Mein Unhon Nay Aik Baal Seedhay Aur Doosri Ultay Haath Say Phenki Thi.

Ambidextrous Bowlers
India Aur RCB Kay Akshay Karnewar Bhi Ambidextrous Bowlers Mein Shumar Hotay Hain (Photo: Twitter)

India Kay Bhi Aik Bowler Hain Akshay Karnewar. Vidarbha Say Belong Karnay Walay Akshay Nay Vijay Hazare Trophy Mein Left Handed Bowling Say Buhat Wickets Leen, Laikin Famous Huay Apni Right Arm Bowling Say.

Kya Aap Kay Zehn Mein Koi Aur Naam Hay?

شیئر

جواب لکھیں