Little Master, Ye Naam Suntay Hi Ho Sakta Hay Aap Kay Zehn Mein Sachin Tendulkar Ka Naam Aata Ho. Laikin Asal Mein Ye Kaha Jata Tha Pakistan Kay Hanif Mohammad Ko, Wohi Hanif Jo 1934 Mein Aaj Hi Kay Din Yani 21st December Ko Paida Huay Thay.

5’3” Kay Hanif Pakistan Kay Pehlay Batting Super Star Thay. Un Ka Ta’luq Aik Sporting Family Say Tha. ‘Mohammad Brothers’ To Dunya Bhar Mein Pakistan Cricket Ki Pehchan Thay: Hanif Kay Sath Wazir Mohammad, Mushtaq Mohammad Aur Sadiq Mohammad. Yahi Nahi Baad Mein Hanif Kay Betay Shoaib Mohammad Nay Bhi Pakistan Kay Liay Test Cricket Kheli. Yani Is Puri Family Kay Khoon Mein Cricket Thi.

In Mein Hanif Mohammad Top Order Batsman Thay, Aur Waqai Top Kay Thay. Wo 1952 Mein Pakistan Kay First International Tour Mein Shamil Thay, Jab Qaumi Team India Gai Thi. Apnay Aur Pakistan Kay Pehlay Test Mein 17 Saal Kay Hanif Nay 50 Say Start Lia Tha, Aur Phir Kabhi Peechay Murr Kar Nahi Dekha.

Hanif Mohammad Ka International Career

MatRunsHSAve100s50s
55391533743.98152

One Of The Greatest Innings

1958 Mein Pakistan West Indies Kay Tour Par Aaya. Bridgetown, Barbados Mein West Indies Kay 579 Runs Kay Jawab Mein Hamari Batting Line First Innings Mein Sirf 106 Runs Par All Out Ho Gai. Follow-On Ho Gaya, Samnay 473 Runs Ka Deficit Tha Aur 3 Din Say Zyada Ka Khel Baqi Tha. Shikast Moun Kholay Khari Thi Jab Hanif Nay Wo Kia Jo Na-Mumkin Tha, Balkay Mojza Tha.

Hanif 970 Minutes Tak Crease Say Chipkay Rahay Aur 337 Runs Ki Wo Innings Kheli Jo Aaj Bhi Yaad Ki Jati Hay. Pakistan Miraculously Ye Match Bachanay Mein Kamyab Ho Gaya. Isay Cricket History Kay Greatest Escapes Mein Say Aik Kaha Jata Hay. 16 Hours Say Zyada Tak Crease Par Rehna Aaj Bhi Aik World Record Hay.

Yahi Nahi Ye Kisi Bhi Pakistani Batsmen Ki Sab Say Barri Test Innings Bhi Hay. Hanif Kay Baad Inzamam-ul-Haq, Younis Khan Aur Azhar Ali Nay Triple Centuries To Score Keen Laikin Kabhi 337 Ko Cross Nahi Kar Sakay.

Pakistan Kay Liay Sab Say Barri Test Innings

RunsMinsBallsvsVenueDate
Hanif Mohammad337970-West IndiesBridgetownJan 1958
Inzamam-ul-Haq329579436New ZealandLahoreMay 2002
Younis Khan313760568Sri LankaKarachiFeb 2009
Azhar Ali302*658469West IndiesDubaiOct 2016
Javed Miandad280*696460IndiaHyderabadJan 1983

499 Par Run Out

Phir Hanif Mohammad Nay January 1959 Mein Quaid-e-Azam Trophy Kay Semi Final Mein Aik Epic Innings Kheli. 640 Minutes Tak Crease Par Rehtay Huay 499 Runs Banaey. Jee Haan! Sirf Aik Runs Say History Ki Pehli 500 Runs Ki Innings Nahi Khel Sakay. Wo 500th Run Laitay Huay Run Out Ho Gaey Thay.

Hanif Nay Apni Autobiography ‘Playing For Pakistan' Mein Is Innings Ka Zikar In Alfaz Mein Kia:

“Din Kay Khel Ki Aakhri 2 Balls Baqi Theen, Score Board Par Mere Naam Ke Samnay 496 Runs Likha Nazar Aa Raha Tha, Aur Mujhe Shuba Tha Ke Mere Bhai Aur Us Waqt Ke Karachi Ke Captain Wazir Mohammad Stumps Ke Sath Hi Innings Declare Kar Dein Gay. Is Liye Mein Ne Point Ki Janib Aik Run Liya Aur Fielder Kay Fumble Ka Faida Uthatay Hue 2nd Run Lainay Bhi Nikal Gaya. Laikin Ball Mujh Se Pehlay Hi Wicket Keeper Ke Gloves Mein Puhanch Gai. Mein Run Out Ho Gaya.

Pavilion Wapis Aatay Huay Mein Ne Score Board Ko Change Hotay Dekha, Jahan Ab Meray Naam Kay Samnay 499 Runs Likha Tha. Buhat Ghussa Aaya, Agar Pata Hota Ke Mein 498 Par Khail Raha Hoon, To Din Ki Aakhri Ball Ka Bhi Intizar Karta.”

Mohammad, Hanif. Playing For Pakistan: An Autobiography. Karachi, Hamdard Press, 1999.

Hanif Mohammad 11 August 2016 Ko 81 Saal Ki Umar Mein Karachi Mein Intiqaal Kar Gaey. Pakistan Cricket Ka Aik Roshan Sitara Hamesha Kay Liay Ghuroob Ho Gaya. Laikin Un Ki Cricket Unhain Hamesha Zinda Rakhay Gi, Jab Tak Pakistan Cricket Hay, ‘Little Master’ Hanif Mohammad Ka Naam Zinda Rahay Ga.

شیئر

جواب لکھیں