Uff… Kya Match Tha Yaar! Bilkul Pak-India Match Ki Tarah Thrilling, Unpredictable Aur Harnay Walay Kay Liay Heartbreaking Bhi. Bangladesh Zimbabwe Kay Khilaf Sirf 3 Runs Say Jeet Gaya Aur Apnay Sath Pakistan Ki Tournament Main Wapsi Ka Chance Bhi Bana Dia Hay.

Zimbabwe Ko Last Over Main Qismat Nay Aik Moqa Bhi Dia, Laikin Set Batsman Ryan Burl Ko Over Ki First Ball Par Run Lainay Ki Ghalti Mehngi Parr Gai, Wo Akhri Ball Tak Strike Wapis Nahi Lay Sakay Aur Blessing Muzarabani Last Ball Par Required 4 Nahi Laga Sakay.

ICC T20 World Cup 2022, 28th Match

Bangladesh vs Zimbabwe

30 October 2022

Gabba, Brisbane, Australia

Result: Bangladesh 3 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do BAN150-7
Najmul Hossain71 (55)
Afif Hossain29 (19)
ZIM BowlingOMRW
Blessing Muzarabani20132
Richard Ngarava40242
Raftar Bharne Do(T:151)147-8
Sean Williams64 (42)
Ryan Burl27* (25)
BAN BowlingOMRW
Taskin Ahmed41193
Mustafizur Rehman40152

Ye Gabba, Brisbane Main Honay Wala Is World Cup Ka Pehla Muqabla Tha, Aur Waqai Aik Kamal Match Tha. 150 Runs Bananay Kay Baad Bangladesh Comfortable Position Par Tha. Wo 69 Runs Par Hi Zimbabwe Ki 5 Wickets Lay Chuka Tha. Sikandar Raza Tak 0 Par Out Huay.

Bangladesh Ki Pakistan Strategy

Last 5 Overs Start Huay To Zimbabwe Ko 52 Runs Required Thay. Advantage Bangladesh Kay Paas Tha Laikin Us Nay Wohi Mistakes Keen, Jo Us Din India Kay Khilaf Pakistan Nay Ki Theen. Jaldi Wicket Lainay Kay Liay Main Strike Bowlers Taskin Ahmed Aur Mustafizur Rehman Ko Last 3 Overs Say Pehlay Hi Istamal Karlia.

Williams, Zimbabwe Ka Kohli

Yahan Sean Williams Zimbabwe Kay Liay Virat Kohli Ka Kirdar Ada Kar Rahay Thay. 18th Over Ki Last 2 Balls Par Jis Tarah Unhon Nay 4s Lagae, Unhon Nay Haris Rauf Ko Lagaey Gaey Kohli Kay Sixes Ki Yaad Taza Kardi.

Yahan 19th Over Main Decisive Moment Aaya, Jab Shakib Al Hasan Nay Apni Zabardast Fielding Say Williams Ko Out Kardia. Wo 42 Balls Par 64 Runs Bananay Kay Baad Shakib Ki Direct Throw Par Run Out Huay Aur Yaheen Say Match Palat Gaya.

Mosaddek Nawaz Bantay Bantay Reh Gaey

Bangladesh Apnay Sab Bowlers Azma Chuka Tha Aur Last Over Bacha Mosaddek Hossain Kay Liay. Jo Bangladesh Kay Mohammad Nawaz Ban Saktay Thay, Agar Burl Pehli Ball Par Run Na Lay Laitay. Burl Ki Is Ghalti Nay Match Banaya Bhi Aur Bigara Bhi.

Over Ki 2nd Ball Par Brad Evans Boundary Line Par Catch Day Gaey. Ye Kisi Doosray Ground Main To Six Hota Laikin Gabba Ki Big Boundary Par Catch Ban Gaya.

Yahan Aaey Richard Ngarava, Jihain First Ball Par Milay Leg-Bye Kay 4 Runs, Next Ball Par Unhon Nay Lagaya Aik Epic Six Aur Match Ghoom Kar Reh Gaya. Ab 2 Balls Par Sirf 5 Runs Ki Zarurat Thi. Yahan Ngarava Say Ghalti Ho Gai. Wo Down The Wicket Aaey, Ke Isi Ball Par Match Finish Kardain Laikin Ball Ki Length Nahi Pakar Sakay Aur Stumped Ho Gaey.

Qismat Bhi Na Bacha Saki  

Last Ball Par Six Laganay Kay Liay Blessing Muzarabani Aaey, Wo Bhi Stumped Huay. Bangladesh Nay Jeet Ka Zabardast Jashan Manaya. Khilari Haath Mila Kar Dug-Outs Main Wapis Bhi Puhanch Gaey Laikin Umpires Ko Shak Tha Ke Stumping Kay Liay Ball Stumps Say Pehlay Pakrri Gai Hay. Replay Main Nazar Aaya Ke Wicket Keeper Nurul Hasan Kay Gloves Stumps Say Aagay Thay. To Ye Ball Hui No-Ball Aur Zimbabwe Ko Aik Nai Life Mil Gai.

Last Ball Par Ab 4 Runs Ki Zarurat Thi, Laikin Muzarabani Is Chance Ka Faida Nahi Utha Sakay.

Naya Rule Zimbabwe Ko Mehnga Parr Gaya

Yahan Cricket Ka Naya Rule Bhi Zimbabwe Ko Mehgna Parra. Jis Kay Mutabiq Out Honay Ki Soorat Main New Batsman Hi Strike Lay Ga, Chahay Batsman Cross Hi Kyun Na Kar Jaen. Yahi Waja Hay Ke Ryan Burl Non-Striking End Par Kharray Reh Gaey.

Bangladeshi Innings

Bangladesh Nay Toss Jeet Kar Pehlay Khud Khelnay Ka Faisla Kia Tha. Opener Najmul Hossain Shanto Sab Say Prominent Rahay. Unhon Nay 55 Balls Par 71 Runs Ki Innings Kheli. Afif Hossain 19 Ball 29 Kay Sath Score Ko 150 Runs Tak Laey. Ye Itna Barra Total To Nahi Tha Laikin Kisi Na Kisi Tara Bangladesh Nay Defend Kar Hi Lia.

Points Table Par Kya?

Is Jeet Kay Sath Bangladesh Group 2 Kay Points Table Par 2nd Position Par Aa Gaya Hay. Yahan Kitni Dair Rahay Ga? Is Ka Faisla Group Kay Next Matches Karain Gay Jin Main Pakistan Aur Netherlands Kay Baad India Aur South Africa Khelain Gay. Pakistan Kay Semi-Final Kay Liay In Matches Ka Result Bhi Buhat Important Hay.

شیئر

جواب لکھیں