Cricket Fans International Cricket Council Say Buhat Naraz Hain Ke Is Mausam Mein T20 World Cup Jaisa Event Australia Mein Karwaya Kyun?
Jab Tak Baat Afghanistan-Ireland Jaisay Matches Ki Thi, Tab Tak To Itna Shor Nahi Tha, Laikin Australia-England Match Barish Say Zaya Honay Say Hungama Kharra Ho Gaya Hay.
Super 12 Stage Ka Ye Buhat Important Match Tha, Jis Mein Donon Teams Kay Liay Jeetna Zaruri Tha. Laikin Donon K 1,1 Point Par Majboor Hona Parra, Yani Nuqsan Donon Ko Hua Hay Aur Group 1 Phir Open Ho Gaya.
ICC T20 World Cup 2022
Points Table
Group 1
M | W | L | N/R | PT | NRR | |
---|---|---|---|---|---|---|
NZ | 2 | 1 | 0 | 0 | 3 | 4.450 |
ENG | 3 | 1 | 1 | 1 | 3 | 0.239 |
IRE | 3 | 1 | 1 | 1 | 3 | -1.169 |
AUS | 3 | 1 | 1 | 1 | 3 | -1.555 |
SL | 2 | 1 | 1 | 0 | 2 | 0.450 |
AFG | 3 | 0 | 1 | 2 | 2 | -0.620 |
Docklands Stadium Kyun Nahi?
Ye ENG-AUS Match MCG Main Khela Jana Tha, Jahan Is Say Pehlay Afghanistan Kay Ireland Aur New Zealand Kay Khilaf Matches Bhi Barish Ki Nazar Ho Chukay Thay. Yahi Nahi, England Aur Ireland Match Bhi Melbourne Hi Main Barish Ki Zadd Main Aaya Tha. Luckily DLS Method Kay Mutabiq Us Ka Faisla Ho Gaya, Aur Ireland Jeet Gaya, Warna Barish Aik Aur Match Kha Jati.
Khair, Ashes Rivals Ka Match Zaya Honay Kay Baad Ab Sab Keh Rahay Hain Melbourne Mein Koi Match Docklands Stadium Mein Kyun Nahi Rakha Gaya? Ye Wohi Stadium Hay Jis Par Retractable Roof Hay. Yani Aisi Chhat Jo Zarurat Parrnay Par Kholi Aur Band Ki Ja Sakti Hay.
Afghanistan Tak Naraz
Afghanistan Ko Barish Ki Waja Say Muft Kay 2 Points To Milay Hain Laikin Us Kay Coach Jonathan Trott Phir Bhi Khush Nazar Nahi Aa Rahay. Kehtay Hain Saal Kay In Dinon Mein Australia Mein Barish Aam Hay, Is Liay Hairat Hui Ke Docklands Stadium Ko Host Kyun Nahi Banaya Gaya? Ye MCG Say Sirf 5 Kilometers Door Hay.
Laikin Australian Coach Andrew McDonald Aisa Nahi Samajhtay, Kehtay Hain Melbourne Host Ho To Priority Hamesha MCG Hi Ko Milti Hay.
Ab Kya Hoga?
Ab T20 World Cup Main Group 1 Wide Open Ho Chuka Hay. England Ki Ireland Kay Hathon Upset Shikast Kay Baad Australia-England Match Buhat Important Tha. Australia Waisay Hi New Zealand Say Harnay Kay Baad Buray Haal Main Tha. Ab Aur Phans Chuka Hay.
Australia Ko Afghanistan Aur Ireland Kay Khilaf Apnay Baqi Donon Matches To Jeetnay Hi Hon Gay. Sath Hi New Zealand Say Umeed Lagana Hogi Ke Wo England Ko Haraey Ga. Tabhi Australia Kay Semi Final Ka Koi Imkan Paida Hoga. Warna Defending Champion Ki Kahani Khatam Samjhain.
England Behtar Net Run Rate Ki Waja Say Ziyada Behtar Position Main Hay. Usay Apnay Donon Matches Jeet Kar Semi Final Main Jaga Mil Sakti Hay.