Cricket History Mein Kuch Aisay Unlucky Players Bhi Aaey Hain, Jo Cricket Ball Lagnay Say Apni Jaan Day Gaey. 1959 Kay Quaid-e-Azam Trophy Final Mein Wicketkeeper Abdul Aziz Say Lay Kar 2014 Mein Australia Kay Batsman Phillip Hughes Tak, Aisay Bad-Naseeb Players Ki Aik Lambi List Hay. Laikin Kya Aap Jantay Hain Ke Modern Cricket Mein Fans Ko Bhi Cricket Ball Say Utna Hi Khatra Hay?

Aaj Ki Fast Cricket Mein, Jis Mein Ball Baar Baar Spectators Mein Jati Nazar Aati Hay, Kisi Din Koi Tragedy Bhi Ho Sakti Hay. Isi Liay Aik American Khatoon Jana Goldbloom Brody Nay Cricket Authorities Say Mutalba Kia Hay Ke Wo Baseball Ki Tarah Cricket Mein Bhi Netting Ka Isteymal Karain.

Laikin Jana Ye Baat Kyun Kar Rahi Hain? Kyunke Wo Is Ka Ghum Khud Seh Chuki Hain. 2018 Mein America Ki Major League Baseball (MLB) Kay Aik Match Mein Foul Ball Lagnay Say Un Ki 79 Saal Ki Maan Linda Goldbloom Inteqal Kar Gai Theen.

Tab Un Kay Khandaan Nay Fans Safety Kay Liay Campaign Chalanay Ka Faisla Kia, Yahan Tak Ke MLB Commissioner Nay Tamam Major Aur Minor League Baseball Matches Mein Netting Ko Barhanay Ka Faisla Kia. Jana Nay Is Waqaey Kay Baray Mein Aik Kitab ‘Sit Behind The Nets’  Bhi Likh Rahi Hain Jis Mein Is Tragedy Kay Family Par Parnay Walay Asraat Aur Fans Ko Mehfooz Bananay Kay Liay Apni Struggle Par Baat Ki Hay.

Cricket Baseball Say Bhi Khatarnaak

Cricket Ka Maidan Baseball Say Zara Mukhtalif Hota Hay, Laikin Jab Jana Ko Pata Chala Ke Is Mein Fans Safety Kay Liay Koi Netting Naho Hoti To Unhain Buhat Hairat Hui. Bawujood Is Kay Ke Cricket Ball Zyada Bhaari Hoti Hay Aur Kai Sixes Spectators Mein Ja Girtay Hain Aur Aisa Bhi Hua Hay Ke Ball Nay Unhain Hit Kia Ho.

Australia Mein Jaari Big Bash League Hi Dekh Lain. Last Sunday Sydney Thunder Kay Batsman Alex Ross Ka Lagaya Gaya Six Aik Khatoon Kay Sar Par Laga. Is Say Pehlay Sydney Sixers Kay Captain Moises Henriques Nay North Sydney Oval Kay Chhotay Say Maidan Par Match Karwanay Par Fans Safety Ki Baat Ki Thi. Un Kay Teammate Sean Abbott Nay To Ye Tak Kaha Ka Fans Helmet Pehn Kar Stadium Aayen.

Jana Goldbloom Nay Apnay Recent Interview Mein Kaha Ke "Mujhe Hairat Hay Ke Cricket Mein Koi Safety Netting Nahi Hoti, Jabke Cricket Ball Baseball Say Zyada Bhaari Hoti Hay Aur Lagnay Par Zyada Nuqsan Puhancha Sakti Hay. Phir Netting Koi Itni Mehngi Cheez Bhi Nahi."

Unhon Nay Umeed Zahir Ki Ke Cricket Associations Fans Ko Mehfooz Rakhnay Kay Liay Jald Hi Koi Step Uthayen Gi.

شیئر

جواب لکھیں