T20 Ka World Champion Banay Hafta Bhi Nahi Hua, Aur England Aik Martaba Phir Maidan Mein Hay. Aur Aatay Hi Haar Bhi Gaya. England-Australia ODI Series Kay Pehlay Muqablay Mein England Ko 6 Wickets Ki Shikast Hui Hay. Yaar Ye Aap 4 Din Pehlay Nahi Haar Saktay Thay? 😥

England Tour of Australia

Australia vs England

17 November 2022

Adelaide Oval, Adelaide , Australia

Result: Australia 6 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do ENG287-9
Dawid Malan134 (128)
David Willey34* (40)
AUS BowlingOMRW
Adam Zampa100553
Pat Cummins100623
Raftar Bharne Do(T:288)291-4
David Warner86 (84)
Steven Smith80* (78)
ENG BowlingOMRW
David Willey80512
Chris Jordan70491

England-Australia ODI Series Ka Pehla Muqabla Adelaide Mein Hua, Jis Mein Toss Jeeta Australia Nay Aur Pehlay England Ko Batting Di. Phir 15th Over Say Bhi Pehlay England Kay 4 Players Bhi Out Kardia.

Ye As Captain Pehla ODI Khelnay Walay Pat Cummings Thay, Jinhon Nay Shuroo Mein Hi Australia Ko Aisi Lead Dila Di Ke Akhir Tak Match Us Ki Grip Say Nahi Nikla. Phir 23 Overs Mein 118 Runs Par Hi England Ki Aadhi Team Out Ho Chuki Thi.

Waisay Dawid Malan 46th Over Tak Aik End Say Crease Par Rahay. Unhon Nay 128 Balls Par 134 Runs Score Kiay. Aakhir Mein David Willey Kay 34 Runs Nay England Ko 287 Runs Tak Puhnchaya. Yani Aisay Score Par Jo Innings Kay Mid Mein Banta Nazar Nahi Aa Raha Tha, Jab Score 118/5 Tha.

Australia Ki Taraf Say Pat Cummins Kay Ilawa Adam Zampa Nay Bhi 3 Wicket Leen.

Chase Kartay Huay Australia Ka Start Hi Zabardast Tha. Pehli Wicket Par Hi David Warner Aur Travis Head Nay 20 Over Mein Hi 147 Runs Bana Diay. Is Kay Baad Australia Ko Kaun Rok Sakta Tha?

Warner To Apni 19th ODI Century Bhi Bana Daltay, Bus Qismat Nay Sath Nahi Dia. Wo 86 Runs Bana Kar Out Huay. Laikin Doosray End Say Steven Smith Aakhir Tak Jamay Rahay. Unhon Nay 78 Balls Par 80 Runs Banaey. Australia 47th Over Mein Target Tak Puhanch Gaya.

England-Australia ODI Series Ka 2nd One Day Saturday Ko Sydney Mein Khela Jaey Ga. Australia Jeet Kar T20 World Cup Ka Ghussa Kam Karnay Ki Koshish Karay Ga.

شیئر

جواب لکھیں