Pakistan Is Saal 2023 Kay End Mein Australia Ka Tour Karay Ga, Wo Jaga Jo Pakistan Kay Liay Hamesha Buhat Mushkil Rahi Hay. 2016-17 Mein Jab Last Tour Kia Tha To Hum Test Series 3-0 Say Haaray Thay. Us Series Mein Aaj Ka Din Yani 5 January Bhi Aaya Tha, Jis Par Younis Khan Nay Aik Milestone Cross Kia Tha: Test Century In Every Country.

5 January 2017 Ko Younis Khan Nay Apni 34th Aur Last Test Century Score Ki Thi, Wo Bhi Sydney Kay Maidan Par. Aur Ye Thi Australia Mein Un Ki Pehli Hundred. Is Kay Sath Hi Younis Test Host Karnay Walay Sub 11 Mulkon Mein Hundred Score Karnay Walay Dunya Kay Pehlay Batsman Ban Gaey Thay. Aik Aisa Aizaz Jo Aaj Bhi Kisi Batsman Ko Hasil Nahi.

Sydney Test Mein Australia Kay 538 Runs Kay Jawab Mein Younis Tab Maidan Mein Utray Jab Sirf 6 Runs Par Pakistan Kay 2 Out Ho Chukay Thay. Younis Aaey To Aik End To Aisa Pakka Ho Gaya Ke Australia Ka Koi Bowler Unhain Out Nahi Kar Saka. Pakistan Ki Innings 315 Runs Par Complete Hui, Laikin Younis 175 Runs Par Not Out Hi Wapis Aaey. Aik Nai Tareekh Raqam Karnay Kay Baad.

Pakistani Batting Kay Great Khan Nay Apnay Career Main Total 118 Test Matches Khelay Aur 10,099 Runs Banaey, Jo Pakistan Kay Kisi Bhi Batsman Kay Sub Say Zyada Runs Hain. 52.05 Ka Zabardast Average, 34 Hundreds Aur 33 Fifties, Yani Younis Ka Conversion Rate Buhat Zyada Tha. Phir Bari Innings Bhi To Dekhain: 1 Triple Century Aur 5 Double Hundreds.

Khair, Younis Nay Sub Say Zyada 11 Centuries United Arab Emirates Mein Banai Theen, Jo Kai Saal Tak Pakistan Ka Home Ground Raha. Phir 7 Centuries Un Ki Pakistani Grounds Par Hain. 3,3 Hundreds Unhon Nay India Aur Bangladesh Mein Bhi Keen.

Younis Nay Ye Record Bananay Kay Kuch Maheenay Baad Test Cricket Say Retirement Lay Li. Pakistan Cricket History Mein Sub Say Zyada Runs Bananay Walay Batsman Kay Taur Par, Aur Ye Record Jald To Tootnay Wala Nahi.

Younis Khan Ka Test Career

InInnsRunsHSAve100s50s
Australia12557175*50.6312
Bangladesh8604200*100.6630
England1681021850.6223
India1276826776.8032
New Zealand12473149*43.0013
Pakistan33189831359.3175
South Africa1648911132.6012
Sri Lanka29117217745.0735
U.A.E51248421355.20117
West Indies1533310622.2011
Zimbabwe9511200*73.0013
Overall2131009931352.053433
شیئر

جواب لکھیں