Jansher Khan, Kabhi Ye Naam Sun Kay Lakhon Dil Dharaktay Thay.  Aik Aisa Player, Jis Nay Saalon Tak Squash Courts Mein Pakistan Ka Parcham Buland Rakha Aur Jahangir Khan Kay Baad Hamain Is Khel Mein Dominant Kiya. Jansher Khan Approx. 10 Saal Tak World No. 1 Rahay, Record 8 Martaba World Open Jeeta, 6 Baar British Open Champion Rahay Aur Squash Ka Kaun Sa Aisa Aizaz Tha Jo Unhon Nay Haasil Nahi Kia. 2001 Mein Un Ki Retirement Kay Sath Hi Pakistani Squash Ka Golden Era Khatam Ho Gaya. Ab New Generation Janti Bhi Nahi Ke Jansher Khan Kaun Hain?

Laikin Aaj Is Nai Nasal Kay Samnay Achanak Jansher Khan Ki Aik Video Aati Hay, Ke Wo Aik Masjid Mein Namaz Kay Baad Girgira Kar Allah Say Dua Mang Rahay Hain. Is Video Say Ye Ta’sur Ban Raha Hay Ke Un Ki Jismani Aur Zehni Kafiyat Theek Nahi.

Asal Mein Jansher Khan Parkinson’s Disease Mein Mubtala Hain, Wo Marz Jo Azeem Boxer Mohammad Ali Ko Bhi Tha.

Parkinson’s Disease Hay Kya?

Parkinson’s Disease Insan Kay Central Nervous System Ki Aik La-Ilaaj Beemari Hay, Jis Mein Us Ki Jismani Movement Slow Ho Jati Hay Aur Chalnay Phirnay Mein Mushkil Hoti Hay. Is Ki Waja Kya Hoti Hay? Science Aaj Bhi Nahi Janti, Aur Na Hi Is Ka Koi Ilaj Hay. 

Ye Marz Muhammad Ali Kay Ilawa Bhi Kai Mash'hoor Logon Ko Raha Hay. Famous Spanish Painter Salvador Dali, American Photographer Margaret Bourke-White, Indian Linguist Masud Husain Khan Aur Pope John Paul II Bhi Shamil Hain.

Jansher Ki Injury History

Waisay To Jansher Ko Apnay Squash Career Mein Bhi Knee Aur Back Injuries Ka Samna Raha, Laikin Retirement Kay Baad Un Ki Takleef Barhti Chali Gai. 2019 Mein Islamabad Mein Un Ki Kamar Kay 2 Operations Bhi Huay, Jis Say Kuch Behtari To Aai, Laikin Ghutnon Aur Tangon Ki Takleef Ab Bhi Jari Hay, Jo Parkinson’s Disease Ki Waja Say Hay.

Jismani Beemari, Zehni Beemari

Masla Jansher Khan Ki Jismani Beemari Ka Nahi, Hamari Zehni Beemari Ka Hay. Is Viral Video Say Aisa Laga Ke Jansher Khan Zehni Tavazun Kho Bethay Hain, Aur Un Ka Haal Hulya Dekh Kar Lag Raha Hay Ke Wo Maali Lihaz Say Pareshan Hain. Un Donon Baaton Ka Haqeeqat Say Koi Ta’luq Nahi.

Is Video Kay Viral Honay Say Jansher Kay Fans Ko, Especially Un Ki Family Ko Jo Zehni Aziyyat Aur Takleef Puhanchi Hogi, Us Ka Sirf Andaza Hi Kia Ja Sakta Hay. Jansher Ko Kaun Sa Marz Hay, Aur Is Baray Mein Wo Kis Ko Batana Chahtay Hain? Is Ka Ikhtiyar Sirf Unhain Aur Un Ki Family Ko Hasil Hay. Kisi Kay Private Moments Ko Record Karna Aur Baghair Ijazat Online Daalna Aik Sangeen Bad-Dyanti Aur Bad-Tehzeebi Hay.

Yaad Rakahin! Kisi Ki Youn Video Record Karna, Phir Baghair Ijazat Usay Social Media Par Share Karna Aik Jurm Hay. Prevention Of Electronic Crimes Act, 2016 Kay Mutabiq Consent Kay Baghair Kisi Ki Videos Aur Pictures Bananay, Aur Unhain Distribute Karnay Par 3 Saal Jail Aur 10 Lakh Rupees Jurmana Ho Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں