Har Taraf Maria Khan Ki Dhoom Hay, Koi Un Ki Freekick Ko Ronaldinho Say Mila Raha Hay To Koi Roberto Carlos Say. Aur Aakhir Kyun Na Milaey? Saudi Arabia Kay Against Is Historic Match Mein Aisa Equalizer Dekhnay Ko Milay To Hype To Banti Hay.

Waisay Ye Koi Fluke Nahi Tha, Maria Jamila Khan Kay Jisam Mein Khel Khoon Ban Kar Dorta Hay, Abhi Say Nahi, Kai Generations Say. Maria Squash Kay Legendary Player Hashim Khan Ki Nawasi Aur One Of The Greatest Athletes Ever Jahangir Khan Ki Bhanji Hain.

31 Saal Ki Maria Khan America Mein Paida Hueen. Shuru Mein Apnay Nana Kay Sath Squash Bhi Kheli Laikin 2009 Mein University Soccer Team Mein Puhanch Gaeen. 2013 Mein Study Kay Liay United Arab Emirates Aaeen, Jahan Unhon Nay Aik Local Club Mein As A Midfielder Khelna Shuru Kia. Yaheen Say Un Ka Pakistan Say Direct Connection Ban Gaya.

2018 Mein Unhain WAPDA Nay Apni Team Mein Shamil Kia, Jahan Say Ye 2020 Mein Pakistan Women’s Football Team Mein Aaeen, Aur 2022 Ki SAFF Women’s Championship Kay Liay Unhain Pakistan Ka Captain Banaya Gaya. And The Rest Is History!

Hashim Khan Kaun Thay?

Maria Ki Story Say Kaheen Zyada Inspirational Story Hay Un Kay Nana Hashim Khan Ki. British Raj Mein Un Kay Walid Peshawar Kay Aik Army Club Mein Kaam Kartay Thay. Sirf 11 Saal Ki Umar Mein Walid Ka Intiqal Hua To Hashim Ko Un Ki Jaga Kaam Sanbhalna Para. Aur Phir Club Kay Squash Court Ki Safai Ka Kaam Bhi Un Ki Zimmedari Bana, Wo Kaam Jo Unhon Nay Dil Laga Kar Kia Aur Sath Sath Is Khel Par Bhi Khoob Hath Saaf Kia.

Hashim Khan Club Band Honay Kay Baad Kisi Tootay Racket Aur Phati Hui Ball Say Practice Kartay Rehtay, Aur Phir Is Khel Mein Itnay Mahir Ho Gay Ke Koi Unhain Hara Nahi Pata Tha. 1944 Mein Aik Professional Squash Player Ko Haranay Kay Baad Un Ki Shohrat Peshawar Say Bahar Pouhanch Gaei Aur Usi Saal Wo All India Squash Championship Tak Puhanch Gaey. Aur Mazay Ki Baat Ye Ke Jeet Bhi Gaey. Next 3 Saal Tak Koi Un Say Ye Aizaz Chheen Nahi Saka, Aur… Phir Pakistan Ban Gaya.

1951 Mein Mulk Kay Halaat Behtar Huay To Hashim Khan British Open Khelnay Gaey, Laikin Un Ki Umar Us Waqt 37 Saal Thi. Is Umar Mein Bhi Wo Itna Zabardast Khelay Key Final Mein 4 Time Champion, Balke Defending Champion, Egypt Kay Mahmoud Karim Ko Shikast Day Di. Wo Next 5 Years Tak British Open Jeet’tay Rahay Aur Career Mein Total 7 British Open Titles Hasil Kiay. Jab 1958 Mein Last Title Jeeta To Hashim Khan Ki Umar 44 Saal Thi.

Hashim Khan
(Photo: Getty Images)

Hashim Khan 1946 Mein America Shift Huay Aur Yaheen Say Un Ki Zindagi Ka Wo Chapter Shuru Hota Hay Jo Ab Maria Khan Tak Puhancha Hay.

Waisay Hashim Khan Kay Baad Squash Mein Pakistan Ka Parcham Kai Saal Tak Buland Raha. Azam Khan, Roshan Khan, Jahangir Khan Aur Jansher Khan Nay Aisay Aisay Records Banaey Ke Aaj Bhi Koi Unhain Torta Hua Nazar Nahi Aata.

شیئر

جواب لکھیں