Ye Lahorion Kay Liay Thi Aik Yaadgar Shaam Thi. LQ v PZ Gaddafi Stadium Mein Season Ka Pehla Match Aur Tha, Usi Mein Kheli Fakhar Zaman Nay Aik Monumental Innings, Lahore Nay Banaya 241 Runs Ka Gigantic Total Aur Phir Aaya Shaheen Afridi Ka Fifer. Aur Kya Chahiye Tha Lahorio!

Gaddafi Mein Toss Jeeta Lahore Qalandars Nay Aur First 5 Overs Mein Sirf 27 Runs Bana Saka. Kisi Ke Wehm-o-Gumaan Mein Bhi Nahi Tha Ke Aagay Kya Honay Walay Hay. Phir Jo Hua Wo Dekhnay Laiq Tha. Fakhar Zaman, Abdullah Shafiq Aur Sam Billings Nay Innings Ko Aisa Accelerate Kia Ke Al-Amaan Al-Hafeez! Peshawar Ki Bowling Line To Aik Baar Phir Buri Tarah Expose Hogai.

Pakistan Super League 2023

Lahore Qalandars vs Peshawar Zalmi

26 February 2023

Gaddafi Stadium, Lahore, Pakistan

Result: Lahore 40 Runs Say Jeet Gaya

🟩 LQ241-3
Fakhar Zaman96 (45)
Abdullah Shafiq75 (41)
PZ BowlingOMRW
Wahab Riaz40452
Rovman Powell20371
🟨 PZ(T:242)201
Tom Kohler-Cadmore55 (23)
Saim Ayub51 (34)
LQ BowlingOMRW
Shaheen Afridi40403
Zaman Khan30282

Abdullah Shafiq, Pehla Qadam

Lahore Ki Innings Mein Pehla Qadam Uthaya Abdullah Shafiq Nay. Unhi Ki Waja Say Score 13 Overs Mein 127 Runs Tak Puhancha. Unhon Nay Fakhar Zaman Kay Sath Sirf 69 Balls Par 120 Runs Ki Partnership Ki. Abdullah 41 Balls Par 75 Runs Bananay Kay Baad Out Huay. Un Ki Innings Mein 5 Sixes Aur Itnay Hi Fours Shamil Thay.

Fakhar Ka Zamana

Phir Aaya Fakhar Zaman Ka Zamana, Unhon Nay Sam Billings Kay Sath Mil Kar Peshawari Bowlers Ko Chhati Ka Doodh Yaad Dila Dia. Sirf 30 Balls Par 88 Runs Banaey Jin Mein Fakhar Ka Hissa Only 15 Balls Par 51 Runs Ka Tha. Unhon Nay 10 Sixes Aur 3 Fours Say 96 Runs Banaey Aur Out Ho Gaey. Ye Innings Waqai Century Ki Haqdaar Thi.

Absolute Carnage

Last Five Overs Mein Lahore Nay 82 Runs Ka Izafa Kia, Aur Score Ko Puhancha Dia 241 Runs Tak. Itnay Runs Qalandars Nay Kabhi History Mein Nahi Banaey. Sam Billings 23 Balls Par 47 Runs Kay Sath Not Out Rahay.

Khair, 241 Runs PSL History Ka Sab Say Bara Total Nahi Hay, Haan! Lahore Qalandars Ka Aaj Tak Ka Biggest Total Zaroor Hay.

Shaheen Ki Parwaz

242 Runs Chase Kartay Huay Peshawar Zalmi Kay Jazbaat Tabhi Thanday Parr Gaey Jab 2nd Ball Par Hi Shaheen Afridi Nay Mohammad Haris Ko Clean Bowled Kardia. First Ball Kheltay Huay Haris Ka Bat 2 Tukray Ho Gaya Tha, Naya Bat Mangwaya To Perfect Yorker Parr Gai Aur 0 Kay Sath Wapis Aaey.

Yahi Nahi, Next Over Mein Shaheen Nay Babar Azam Ko Bhi Bowled Kardia. Sirf 28 Runs Par Hi Zalmi Donon Openers Say Mehroom Hogaya.

Saim Aur Tom Ki Koshish

Us Kay Baad Saim Ayub Aur Aur Tom Kohler-Cadmore Nay Koshish To Bari Ki. Un Ki 44 Balls Par 91 Runs Ki Partnership Fakhar Aur Abdullah Ki Partnership Ban Sakti Thi, Agar Aagay Walay Kuch Kar Dikhatay. Saim Aur Kohler-Cadmore Score Ko 10th Over Mein Hi 119 Tak Puhancha Gaey, Yani Usi Pace Kay Sath Jo Target Kay Liay Zaruri Tha.

Laikin Yahan Haris Rauf Kay Hathon Kohler-Cadmore Ki Wicket. Unhon Nay 23 Balls Par 5 Sixes Kay Sath 55 Runs Banaey. Next Over Mein Rashid Khan Nay 34 Balls Par 51 Runs Bananay Walay Saim Ko Out Kar Dia. Zalmi Ki Innings Derail Ho Gai.

Aik Aur 200

Next Batsmen Nay Kuch Kia Ho Ya Na Kia Ho, Laikin Score Ko 200 Ka Milestone Zaroor Paar Karaya. Yani Is Match Mein 442 Runs Banay Aur Sirf 12 Wickets Gireen. Ye PSL History Mein Kisi Bhi Match Ka 2nd Highest Aggregate Hay.

Is Kamyabi Mein Jahan Fakhar Ka Bara Kirdar Hay, Waheen Shaheen Bhi Buhat Numayan Rahay. Unhon Nay Is Season Mein Apna Pehla Fifer Complete Kia. Shaheen Nay 40 Runs Day Kar 5 Wickets Haasil Keen, Jin Mein Say 3 Clean Bowled Thay, Aur Aik Par Fakhar Zaman Nay Aik Kamal Catch Lia.

Highest Match Aggregates in PSL History

WinnervsRunsWktsOversVenueDate
🟥 IslamabadPeshawar479840.0Abu Dhabi17 Jun '21
🟩 LahorePeshawar4421240.0Lahore26 Feb '23
🟥 IslamabadLahore4271240.0Karachi9 Mar '19
🟥 IslamabadQuetta4151439.3Karachi3 Feb '22
🟦 MultanLahore4151039.4Karachi29 Jan '22

Points Table Kya Kehta Hay?

Ab Lahore Qalandars 4 Matches Mein 2 Wins Kay Sath 3rd Position Par Aa Chukay Hain. Us Kay Points To Islamabad United Kay Barabar Hain Laikin Net Run Rate Zara Kam Hay. Next Match Bhi Inhi Donon Ka Hay. Aur Jis Tarah Donon Teams Khel Rahi Hain Lag Raha Hay Title Kay Liay Strong Contenders Hain.

Pakistan Super League Points Table

26 February 2023

MWLPTNRR
🟦 MS64280.844
🟥 IU43161.049
🟩 LQ43160.463
🟦 KK62440.862
🟨 PZ5234-1.332
🟪 QG5142-1.977
شیئر

جواب لکھیں