Marnus Labuschagne Bhi Kya Player Hain! Apnay Khel Say To Sub Ko Hairan Kartay Hi Rehtay Hain, Ab Harkaton Say Pareshan Bhi Kar Dia Hay. Yaani Naam Ajeeb Aur Kaam Ghareeb. Kya Aap Ko Pata Hay Marnus Batting Kartay Huay Apnay Aap Say Baatein Kartay Hain? Laikin South Africa Kay Against Third Test Mein To Unhon Nay Jo Kia Hay, Us Ka Level Hi Aur Hay.

Sydney Test Kay Pehlay Din Labuschagne Nay Dressing Room Ki Taraf Aisa Ishara Kia Jo Hum Nay To Kabhi Cricket Maidan Mein Nahi Dekha. Unhon Nay Wo Signal Dia Jo Cigarette Mangtay Huay Dia Jata Hay. Yani Do Unglian Mila Kar Apnay Mounh Ki Taraf Barhaeen. Goya Keh Rahay Hon “Yaar! Aik Gold Leaf Parkrana!

Marnus Ki Ye Harkat Dekh Kar To Sabhi Pareshan Ho Gaey, Especially Commentators Ke Ye Aakhir Ho Kya Raha Hay?

Aur Phir Kuch Hi Dair Mein 12th Man Aik Lighter Liay Maidan Mein Dakhil Hua. Labuschagne Nay Apnay Helmet Visor Kay Aik Hissay Ko Jalaya Aur Youn Clear Ho Gaya Ke Wo Cigarette Nahi, Balke Lighter Maang Rahay Thay.

Us Waqt Kerry O’Keeffe Commentary Kar Rahay Thay, Jinhon Nay Kaha Ke "Mein To Doug Walters Kay Sath Khel Chuka Hoon, Wo To Asal Cigarette Mangwaya Kartay Thay 😀. Aur Ab Labuschagne Wo Pehlay Non-Smoker Hon Gay, Jinhon Nay Maidan Mein Cigarette Lighter Mangwaya."

Michael Hussey Bolay Ke "Mein To 12th Man Ka Soch Kar Hans Raha Hoon Ke Wo Kya Samjha Hoga Ke Marnus Aakhir Kya Maang Rahay Hain? Khair, Ab Clear Ho Gaya Hay Ke Un Kay Helmet Mein Koi Masla Tha, Jis Kay Liay Unhon Nay Lighter Mangwaya." 

Waisay Aap To Shayad Na Jaantay Hon Laikin Maazi Mein Cigarette Aur Cricketers Sath Sath Hotay Thay. Pakistan Kay Pehlay Super Star Fazal Mahmood Aur Denis Compton Say Ian Botham Aur Shane Warne Tak, Kai Great Cricketers Smoker Thay.

Raftar Bharne Do
Left To Right: Fazal Mahmood, Shane Warne Aur Ian Botham

Tab To Kai Big Cricketing Events Bhi Tobacco Companies Sponsor Karti Thee. Pakistan Nay 1992 Ka Jo World Cup Jeeta Tha, Us Ka Official Name Bhi Benson & Hedges World Cup Tha. Phir 1996 Ka Pakistan, India Aur Sri Lanka Mein Honay Wala Next World Cup Bhi Wills World Cup Kaha Jata Hay.

Khair, Baad Mein Tobacco Brands Par Ban Lag Gaya, Laikin Shabash Hay Marnus Ko Jo Cigarette Ko Aik Baar Phir Cricket Stadiums Mein Lay Aaey Hain.

Marnus Baba Ki Jai Ho!

Marnus Labuschagne
شیئر

جواب لکھیں