Kisi Khel Kay Rules Aur Laws Samajhnay Hon To Shayad Cricket Dunya Ka Sab Say Complex Khel Hoga. Is Ki Basi Knowledge Hi Itni Complicated Hay Ke Kisi Naey Admi Ko Samjhana Buhat Hi Mushkil Hota Hay. Zara Kisi Aam Admi Ko LBW Samjha Kar Dekh Lain 😉

Khair, Hamain New Year Mein Ye Cricket Rules Kyun Yaad Aa Rahay Hain? Asal Mein Kal Australia Ki Big Bash League Mein Kuch Aisa Hua Hay, Jis Nay Sub Ko Hairan Kardia Hay, Aur Log Cricket Rules Mein Changes Ki Baat Kar Rahay Hain. Ye Brisbane Heat Aur Sydney Sixers Ka Match Tha, Jis Mein Brisbane Kay Michael Neser Nay Aik Aisa Catch Lia, Jo “Rules” Kay Mutabiq To Out Dia Gaya. Khud Dekh Lain.

Ye Kya THa? Jee Han! Ye Unlucky Batter Thay Jordan Silk. Match Ki Crucial Stage Par Un Ka Lagaya Gaya Shot Extra-Cover Boundary Ki Taraf Ja Raha Tha, Jahan Neser Kharay Thay. Unhon Nay Ball Catch To Karli, Laikin Andaza Ho Gaya Ke Wo Apnay Momentum Ki Waja Say Boundary Line Paar Kar Jayen Gay. Is Liay Unhon Nay Ball Ko Hawa Mein Uchaal Dia, Aur Khud Boundary Line Say Bahar Ho Gaey. Jahan Unhain Pata Chala Ke Ball Bhi Un Kay Peechay Boundary Line Paar Kar Gai Hay.

Yahan Lag Raha Tha Ke Neser Ball Ko Haath Maar Kar Wapis Playing Area Mein Phenk Dain Gay, As A Last Resort. Laikin Unhon Nay To Wo Hazir Dimaghi Dikhai Ke Khud Bhi Hairan Ho Gaey Hon Gay. Neser Nay Ball Ko Pakarnay Kay Liay Hawa Mein Jump Kia, Ball Ko Wapis Playing Area Ki Taraf Uchala Aur Phir Khud Bhi Wapis Aa Kar Catch Bhi Lay Lia.

Us Waqt To Unhain Khud Bhi Nahi Pata Tha Un Ki Is “Harkat” Par Batsman Out Bhi Hoga Ya Nahi. Laikin Umpires Nay Decision Lia Aur Silk Out Ho Gaey. Sath Hi Sixers Ki Match Jeetnay Ki Umeed Bhi Chali Gai.

Laikin Hum Ab Bhi Soch Rahay Hay Ke Aakhir Ye Hua Kya Tha? Kya Cricket Law Kay Mutabiq Ye Out Tha? To Law 33.2.1 To Yahi Kehta Hay Ke Catch Tabhi Fair Samjha Jaey Ga Jab Ball Ya Usay Pakarnay Walay Fielder Kay Qadam Boundary Line Say Bahar Na Hon. Is Ki Mazeed Clarification Law 19.5 Say Hoti Hay. Asal Alfaaz Mein Ye Ke Agar Fielder Nay Ball Ko Inside The Boundary Line Pakra, To Unhain Us Catch Ko Complete Karnay Ki Ijazat Hay, Jaisay Bhi Chahay Karain.

Laikin Ye Controversial To Hay. Isi Liay Social Media Par Log Keh Rahay Hain Ke Aik Baar Koi Player Boundary Say Bahar Grounded Ho Jaey To Usay Out Of Play Samajhna Chahiye.

Waisay Kya Cricket Mein Yahi Aik Ajeeb Law Hay? Nahi! Buhat Say Laws Aisay Hain, Jin Ko Dekh Kar Acha Bhala Cricket Viewer Bhi Pareshan Ho Jata Hay. Jaisa:

Six Nahi Milay Ga!

Cricket Rules

Ye Rule Shayad Aap Ko Nahi Pata Hoga. Agar Fast Bowler Kay Bouncer Ko Leave Kartay Huay Ball Helmet Ko Lag Jaey, Aur Direct Third Man Ya Fine Leg Boundary Kay Bahar Ja Giray To Six Nahi Four Runs Milain Gay. Qanoon Kehta Hay Ke Six Wohi Hoga Jo Bat Say Lag Kar Jaey Ga. Nay Byes, Na Wides, Na No-Balls, Kisi Bhi Soorat Mein Sixer Nahi Hoga


Last Run

Cricket Rules

Agar Koi Batsman Boundary Ki Taraf Shot Khelay To Wo Chahay Jitnay Runs Bhi Banaey, Boundary Paar Hotay Hi Sab Khatam Ho Jata Hay, Aur Usay 4 Ya 6 Runs Day Diay Jatay Hain. Laikin Agar Last Ball Par Batting Team Ko 1 Ya 2 Runs Required Hon, Aur Batsmen Ball Ko Boundary Ki Taraf Khel Day, Aur Boundary Line Paar Karnay Say Pehlay Hi Required Runs Dorr Lay To Usay Sirf Dorray Huay Runs Hi Milain Gay, Boundary Nahi.


Test Mein Fielding Restrictions?

Cricket Rules

Aap Bhi Samajhtay Hain Ke Fielding Restriction Ka Rule Sirf Limited Overs Cricket Kay Liay Hay? Jee Nahi! 1932-33 Ki Infamous ‘Bodyline’ Series Mein English Bowlers Nay Wickets Kay Bajaey Australia Batsmen Ki Bodies Ko Nishana Banaya Tha, Jis Kay Baad Aik Rule Banaya Gaya Ke Square Leg Say Wicket Keeper Tak Sirf 2 Fielders Hi Kharay Ho Saktay Hain. Aisa Is Liay Kia Gaya, Takay Bodyline Bowling Discourage Ho Sakay Aur Batsman Aisi Balls Par Leg Side Par Catch Dainay Par Majboor Na Ho Jaey.


Wide Ka Aik Ajeeb Rule

Cricket Rules

Kaun Si Ball Wide Hogi Aur Kaun Si Nahi, Is Ka Ikhtiyar Umpire Kay Haath Mein Hota Hay. Laikin Aik Ajeeb Rule Ye Hay Ke Agar Batsman Reverse Sweep Khelay To Khair Hay, Laikin Jaisay Hi Switch Hit Khelnay Ki Koshish Ki To Us Ki Donon Sides Offsides Samjhi Jayen Gi. Youn Delivery Thori Si Bhi Down The Leg Janay Par Jo Wide Di Jati Hay, Us Ka Advantage Nahi Milay Ga.


Dead Ball

Cricket Rules

Aap Nay Dekha Hoga Ke Kabhi Kabhi Batsman Ball Ko Pakarnay Par Bhi Handled The Ball Out Nahi Dia Jata. Kyun? Kyunke Cricket Rules Kay Mutabiq Agar Ball Batsman Kay Jism Kay Kisi Hissay Say Lagnay Kay Baad Clothings Ya Pad Kay Kisi Hissay Mein Phans Jaey To Wo ‘Dead Ball’ Hogi. 

شیئر

جواب لکھیں