Yaar! Kya Match Tha Ye? MS v KK Match Mein Sub Kuch Tha: Mohammad Rizwan Ki First PSL Hundred, Shan Masood Ki Fifty, Phir James Vince Ki Fiery Batting, Imad Wasim Ki Desperate Efforts Aur Phir Abbas Afridi Ka Wo Over, Jis Nay Waqt Badal Dia, Halaat Badal Diay, Jazbat Badal Diay. Kya Rollercoaster Ride Thi Ye, Jis Mein Multan Sultans Jeet Gaey Aur Karachi Kings Aik Martaba Phir Sirf Jeet Kay Buhat Qareeb Puhanch Kar Bhi Haar Gaey.
Pakistan Super League 2023
Multan Sultans vs Karachi Kings
22 February 2023
Multan Cricket Stadium, Multan, Pakistan
Result: Multan 3 Runs Say Jeet Gaya
🟦 MS | 196-2 | |
---|---|---|
Mohammad Rizwan | 110* (64) | |
Shan Masood | 51 (33) |
KK Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Shoaib Malik | 4 | 0 | 29 | 1 |
Mohammad Umar | 4 | 0 | 44 | 1 |
🟦 KK | (T:197) | 193-5 |
---|---|---|
James Vince | 75 (34) | |
Imad Wasim | 46 (26) |
MS Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Abbas Afridi | 4 | 0 | 55 | 2 |
Khushdil Shah | 4 | 0 | 25 | 1 |
Multan Apnay Home Ground Par Hamesha Favourite Hota Hay Laikin Karachi Bhi Apnay Last Match Mein Archrivals Lahore Qalandars Ko Hara Kar Aaya Tha, Is Liay Match To Tagra Hona Hi Tha.
Toothless Karachi
Pehlay Bowling Kartay Huay Karachi Kings Ko Mohammad Amir Aur Mir Hamza Ki Kami Buri Tarah Mehsoos Hui. Multan Nay Kamzor Bowling Attack Ka Poora Poora Faida Uthaya Aur Start Hi Shan Masood Aur Mohammad Rizwan Ki 85 Runs Ki Partnership Say Kia. Shan Nay 33 Balls Par 51 Runs Ki Surprising Innings Kheli.
15 Overs Mukammal Honay Par Sultans 124 Runs Par Kharay Thay Aur Yahan Say Innings Ko Next Gear Mein Dala Captain Mohammad Rizwan Nay. Unhon Nay 42 Balls Par Fifty Banai Thi, Laikin Next 22 Balls Par Mazeed 60 Runs Maar Diay. Last 5 Overs Mein Multan Nay 72 Runz Ka Izafa Kia Aur 196 Runs Ka Aisa Total Khara Kardia Jo Buhat Hi Competitive Tha.
Is Mein Rizwan Ki First PSL Hundred Ka Bara Rola Tha. Wo 64 Balls Par 4 Sixes Aur 10 Fours Ki Madad Say 110 Runs Bana Kar Not Out Rahay. Isay Karachi Kings Ki Qismat Kahain Ke Jo Bhi Previous Seasons Mein Un Kay Khilaf Khela Hay, Ab Hundreds Bana Kar Badlay Lay Raha Hay. Pehlay Quetta Kay Martin Guptill Nay Aisa Kia Aur Karachi Kings Kay Aik Aur Ex Player Mohammad Rizwan Nay Hundred Score Kardi Hay.
Is Match Mein Karachi Ki Bowling Kis Buri Tarah Fail Hui, Is Say Andaza Lagayen Ke 6 Bowlers Mil Kar Bhi Sirf 2 Wickets Lay Saki.
Jawabi Waar
Laikin Karachi Ka Jawabi Waar Buhat Hi Khatarnaak Tha. Openers Matthew Wade Aur James Vince Nay Powerplay Mein Hi 72 Runs Maar Diay. Aisa Lag Raha Tha Ke Lahore Kay Baad Ab Multan Ki Baari Hay. Laikin Phir Usama Mir Aa Gaey Jinhon Nay Apni First Ball Par Matthew Wade Ko Out Kardia.
Invincible Vince
James Vince Ko Sanbhalna Aaj Na-Mumkin Tha. Unhon Nay Sirf 20 Balls Par Is Season Ki Fastest Fifty Banai, Jis Mein 106 Meters Ka Gigantic Six Bhi Shamil Tha. 9th Over Mein Hi Score 100 Ko Cross Kar Gaya Tha Aur Yahan Aaya Match Ka Asal Turning Point.
Turning Point
Vince Shayad Akailay Hi Match Nikaal Jatay, Laikin Kuch Aisay Out Huay Jaisay Unhain Nahi Hona Chahiye Tha: Yani Run Out. Wo 34 Balls Par 75 Runs Bana Gaey, Aik Aisi Innings Jo Match Badal Gai. Un Kay Jatay Hi Runs Ko Flow Ruk Gaya. Hyder Ali Aur Shoaib Malik Total 36 Balls Khel Gaey, Yani 6 Overs, Aur Banaey Sirf 25 Runs. Yahi Decisive Factor Sabit Hua.
Akhir Mein Imad Wasim Nay Is Ka Azala Karnay Ki Bari Koshish Ki. Last 2 Overs Mein Karachi Ko Jeetnay Kay Liay 40 Runs Ki Zarurat Thi Aur Yahan Multan Kay Youngster Bowlers Kay Haat Pair Phool Gaey.
A Rollercoaster Ride
Mohammad Ilyas Nay 19th Over Mein Imad Wasim Say 2 Sixes Khaey Aur 3 Wide Balls Bhi Keen. Laikin Phir Bhi Last Over Mein Karachi Ko 22 Runs Required Thay. Ye Over Abbas Afridi Ko Dia Gaya, Jinhon Nay First Ball Hi Waist Height Full Toss Di, Jo No Ball To Hui Hi, Imad Nay Us Par Six Bhi Laga Dia.
Is Ball Kay Baad Abbas Ka Nervous Breakdown Ho Jata, Kyunke Unhon Nay 2 Wides Bhi Keen Aur Ben Cutting Say Six Bhi Kha Lia. Karachi Ko 4 Balls Par Sirf 6 Runs Ki Zarurat Thi Aur Karachi Ko Yahan Say Sirf Karachi Hi Haraa Sakta Tha. Aur Bad Luck Dekhain, Hua Bhi Yahi.
4th Ball Par Match Finish Karnay Ko Koshish Mein Cutting Aik Bahar Jati Ball Par Catch Day Gaey. Next Ball Par Irfan Khan Nay Strike Captain Imad Kay Hawalay Ki Aur Sara Bhoj Un Kay Kandhon Par Aa Gaya. 1 Balls Par 5 Runs Bananay Thay, Lain Imad Miandad Na Ban Sakay Aur Multan Sirf 3 Runs Say Jeet Gaya.
Credit Goes To...
Is Jeet Ka Credit Jahan Rizwan Ki Captain Innings Ko Jata Hay Waheen, Un Ko Kaptaani Par Bhi Daad Deni Chahiye. Unhon Nay Last 2 Overs Mein Buhat Hi Crunch Situation Mein Players Ko Calm Down Kia. Ilyas Aur Abbas Ko Himmat Di, Hosla Dia Aur Finally Match Jeet Lia.
Waisay Multan Ki Kamyabi Mein 'Chupay Rustam' Ihsanullah Bhi Thay. Itnay High Scoring Match Mein Unhon Nay Apnay 4 Overs Mein Sirf 17 Runs Diay. Laikin Abbas Afridi 55 Runs Day Kar Bhi Sirf Last 3 Balls Ki Waja Say Hero Ban Gaey.
Is Jeet Nay Points Table Par Multan Ki Top Position Aur Bhi Mazboot Kardi Hay. Apnay 5 Mein Say 4 Matches Jeetnay Kay Baad Multan Kay 8 Points Ho Chukay Hain Jabke Karachi Itnay Hi Matches Mein Sirf 1 Kamyabi Haasil Kar Saka Hay. Kuch Buhat Close Matches Haar Kar Apni Taqat To Zahir Ki Hay, Laikin Match Finishing Capabilities Par Ab Bhi Question Amrk Hay. Kya In Matches Say Inspire Ho Kar Karachi Baqi Muqablon Mein Kuch Kar Sakay Ga?
Pakistan Super League Points Table
22 February 2023
M | W | L | PT | NRR | |
---|---|---|---|---|---|
🟦 MS | 5 | 4 | 1 | 8 | 1.722 |
🟩 LQ | 3 | 2 | 1 | 4 | -0.050 |
🟨 PZ | 3 | 2 | 1 | 4 | -0.632 |
🟦 KK | 5 | 1 | 4 | 2 | 0.364 |
🟥 IU | 2 | 1 | 1 | 2 | -0.832 |
🟪 QG | 4 | 1 | 3 | 2 | -1.635 |