National Stadium Karachi Hamesha Say ‘Fortress Of Pakistan’ Samjha Jata Hay. Kyun? Kyunke Pakistan Aaj Tak Sub Say Zyada Test Matches Yaheen Jeeta Hay.

Pakistan Nay National Stadium Par 1955 Say Aaj Tak Total 47 Test Matches Khelay Hain Jin Mein Say 23 Mein Kamyabi Haasil Ki Aur Sirf 3 Mein Shikast Khai Hay. Jaisay Kisi Zamanay Main Squash Mein Jahangir Khan Aur Jansher Khan Ki Jeet Nahi Balkay Haar Khabar Hoti Thi, Usi Tarah Pakistan Cricket Team Ka National Stadium Main Haarna Headline Samjhi Jati Thi.

Laikin Phir Century Badli, Waqt Badla Aur Karachi Bhi 'Pakistan Ka Qila' Nahi Raha.

2000 Tak Pakistan National Stadium Par Kabhi Koi Match Nahi Haara Tha. 34 Matches Mein Us Ki 17 Wins Aur Itnay Hi Draw Matches Thay. Laikin Phir Hamain Nazar Lag Gai!

Pakistan Aur Test Cricket, National Stadium Karachi Mein

26 Feb 1955 Say 6 Dec 2000 Tak

MatWonLostDraw
3417017

December 2000 Mein England Nay Aik Historic Test Mein Pakistan Ko 6 Wickets Say Haraya Tha. Ye Match Is Liay Aaj Tak Yaad Kia Jata Hay Kyunke England Nay Andheray Mein Kamyabi Haasil Ki Thi. Jee Haan! Maghrib Ki Azaanon Kay Baad, Balke Kyunke Ramzan Tha Is Liay Iftar Kay Bhi Baad Kamyabi Mehman Team Ko Mili. Buhat Say Dil Tootay Thay. Isay Aaj Bhi English Cricket History Ki Famous Victories Mein Say Aik Samjha Jata Hay.

Is Nakaami Kay Baad Say Pakistan National Stadium Mein 13 Main Say 6 Matches Jeeta Hay Aur 3 Haara Hay. In Mein 2007 Mein South Africa Aur Phir Last Year Aik Baar Phir England Say Haaray. Ye Aakhri Shikast Us Series Kay Hissa Hay Jis Mein Pakistan Ko Tareekh Mein Pehli Baar Home Ground Par Clean Sweep Hua.

Pakistan Aur Test Cricket, National Stadium Karachi Mein

6 Dec 2000 Say Aaj Tak

MatWonLostDraw
13634

Khair, Pakistan vs New Zealand 2023 Series Kay Kay Donon Test Matches Draw To Huay, Laikin Last Test Mein To Hadd Hi Ho Gai. 319 Runs Chase Kartay Huay Pakistan Ki 2 Wickets Zero Par Hi Gir Chuki Theen, Aur Us Kay Baad 80 Runs Par 5 Out Thay. Imam-Ul-Haq, Babar Azam Aur Shan Masood Sab Pavilion Wapis Aa Chukay Thay Aur Shikast Mounh Kholay Khari Thi. Jab Sarfraz Ahmed Nay Tail Kay Sath Mil Kar Match Bachaya. Laikin Aik Twist Kay Sath!

Sarfraz 118 Runs Bananay Kay Baad Us Waqt Out Huay Jab Pakistan Ko Sirf 32 Runs Required Thay. Aik Mini Collapse, Jis Mein 14 Runs Kay Izafay Par Pakistan Kay 3 Players Out Huay. Lagta Tha Match Khatam Ho Jaey Ga Kyunke Pakistan Kay 9 Out Ho Chukay Thay. Yahan Naseem Shah Aur Abrar Ahmed Nay Last 21 Balls Khel Kar Pakistan Ko Yaqeeni Haar Say Bacha Lia.

Youn Pakistan National Stadium, Karachi Mein Aik Aur Shikast Say Baal Baal Bach Gaya!

Kya Aap Karachi Mein Pakistan Cricket Ki Puri History Dekhna Chahtay Hain? To Ye Table Aap Hi Kay Liay Hay, Jis Mein February 1955 Say January 2023 Tak Tamam Test Matches Ka Zikar Hay.

شیئر

جواب لکھیں