Kia Modern Cricket Main One Day Internationals Ki Jagah Banti Hay? Ye Wo Sawal Hay Jo Har Din Barhta Ja Raha Hay. Australia Kay Aaron Finch Un Players Main Shamil Hain Jinhon Nay ODI Format Chhor Dia Hay. Ab Wo Aur Usman Khwaja Kehtay Hain Ke One Day Cricket Main Innings 50 Say Kam Kar Kay 40 Karnay Ki Zarurat Hay.

Laikin One Day Cricket Ko Entertaining Bananay Kay Liay Aur Kia Options Hain? Aaen Dekhtay Hain:

Pehla Aur Sub Say Mushkil Rasta Hay ODI Format Hi Khatam Kar Dia Jaey. Test Kay Baad Sirf Aik Shorter Format Ho: T20. Usay Aur Aagay Barhaya Jaey, Olympics Main, Asian Games, Commonwealth Games Aur Sub Games Kay Liay Bhi Yahi Format Ho. Laikin Aik Mushkil Hay, ODI Matches Main Broadcasters Aur Advertisers Kay Liay Barra Paisa Hay. Isay Dekhtay Huay Lagta Hay Aisa Karna Buhat Mushkil Hoga.

Haan! Overs Zaroor Kam Kiay Ja Saktay Hain, Yahi Second Aur Sub Say Viable Option Hay. England Main To Kai Salon Say Pro40 League Khaili Jaa Rahi Hay, Jis Main Aik Innings 40 Overs Ki Hoti Hay. To Ye Koi Buhat Naya Concept Nahi Hoga, Is Liay 40 Overs Format Ki Kamyabi Ka Chance Bhi Ziada Hay.

Third Option Bara Mazay Ka Hay. Kiunke ODI Test Aur T20 Kay Beech Ka Format Hay, Is Liay Kaha Ja Raha Hay Ke Is Main Donon Ka Milaap Nazar Aana Chahiye. Yani 20,20 Overs Ki 2 Innings Hon. Ye Bilkul New Format Hoga Aur Is Say Literally Buhat Interest Paida Hoga.

Laikin Aik Bana Banaya Format Torr Kar Naya Experiment Karna, Itna Barra Step Uthana, Buhat Mushkil Hoga, Players Aur Teams Kay Liay Bhi, Aur International Cricket Council (ICC) Kay Liay Bhi.

Ho Sakta Hay Aisa Koi Revolutionary Change Na Aaey, Aur Hamain Middle Overs Main Aik New Power Play Jaisa Koi Chhota Mota Change Hi Daikhnay Ko Milay. Laikin Jis Tarah Players ODI Say Retire Ho Rahay Hain, Lagta Hay Next Year World Cup Kay Baad ICC Ko Baray Faislay Karna Parain Gay.

Aap Ka Kia Khayal Hay?

شیئر

جواب لکھیں