Islamabad: Federal Investing Agency (FIA) Ne Prohibited Funding Case Main Ex-Prime Minister Aur Chairman PTI Imran Khan Samait 11 Afrad Ke Khilaf Muqadma Darj Kar liya.  Mulziman Main Private Bank Manager Aur PTI Ki Financial Team Members Bhi Shamil Hain.

FIA Corporate Banking Circle Main Darj FIR Main Imran Khan, Sardar Azhar Tariq, Saif Ullah Niazi, Sayed Younus, Aamir Kiyani, Tariq Raheem Shaikh, Tariq Shafee, Faisal Maqbool Shaikh, Hamid Zaman aur Manzoor Chaudhry Ko Namzad Kiya Gaya Hay.

FIR Main Kaha Gaya Hay Ke Mulziman Ne Foreign Exchange Act Ki Khilaf Warzi Ki Hay. Naya Pakistan Ke Naam Per Private Bank Main Account Banaya Gaya. Bank Manager Ne Ghiar Qanooni Bank Account Operate Karnay Ki Ijazat Di. Bank Account Main Abraj Group Of Companies Se 21 Lakh Dollar Aaye.

FIA Ne Is Case Main 7 October Ko PTI Ke Senator Saif Ullah Niazi Ko Islamabad Aur Hamid Zaman Ko Lahore Se Hirasat Main Liya Tha.

Election Commission Of Pakistan (ECP) Ne 2 August 2022 Ko PTI Ke Khilaf Prohibited Funding Case Ka Faisala Sunatay Huye Kaha Tha Ke Ye Sabit Ho Gaya Ke Tehreek-e-Insaf Ne Prohibited Funding Hasil Ki.

شیئر

جواب لکھیں