T20 World Cup Ka ‘Super Sunday’ Guzar Gaya. Pakistan Pehli Baar Australia Main Koi T20i Jeeta. Netherlands Kay Khilaf Is Match Ka Sub Say Khatarnaak Lamha Wo Tha Jab Haris Rauf Ka Aik Bouncer Dutch Batsman Bas De Leede Ko Zakhmi Kar Gaya. Yoon Pakistani Bowlers Kay Killer Bouncers Ki List Main Aik Naya Izafa Ho Gaya.

142 Kilometers Per Hour Ki Ye Ball Itni Zaur Say De Leede Kay Helmet Par Lagi Thi Ke Impact Say Hi Helmet Ki Grill Chehray Par Lag Gai. De Leede Retired Hurt Ho Kar Pavilion Wapis Aa Gaey. Ab Shayad Un Ka World Cup Hi Over Ho Jaey.

Ye Pehla Moqa Nahi Ke Kisi Pakistani Bowler Nay Samnay Kharray Batsman Ka Ye Haal Kia Ho. Ye Kahani Hay Buhat Purani.

'Sikkoo Bhai' Ka Bazoo Torr Bouncer

Ye 1978 Tha, England Cricket Team Pakistan Ka Tour Par Thi. Third Test Karachi Main Hona Tha, Jis Say Pehlay Aik Tour Match Karachi Gymkhana Main Khela Gaya. Yahan Young Bowler Sikandar Bakht Nay English Captain Mike Brearley Ko ‘Wo’ Bouncer Phenka Tha, Jis Say Un Ka Bazoo Toot Gaya Tha. Brearley Ka Pakistan Tour To Yaheen Khatam Ho Gaya. Wo Phir Kabhi Pakistan Main Nahi Khel Sakay.

Raftar Bharne Do
Jab 'Sikkoo Bhai' Nay English Captain Ka Bazoo Torr Dia Tha (Photo: Getty Images)

Jhuk Jaey 'Lala' Jee!

Isi Saal Yani 1978 Main Hi India Nay Bhi Pakistan Ka Tour Kia Tha. Jis Kay Lahore Test Main Imran Khan Kay Aik Bouncer Nay Mohinder Amarnath Ko Nishana Banaya Tha. ‘Lala’ Amarnath To Waheen Late Gaey. Takleef Say Taqreeban Bayhosh Thay. Baad Main Batting Karnay To Aaey Laikin Shaky Confidence Kay Sath Khelay.

Raftar Bharne Do
Mohinder Amarnath Imran Khan Ka Bouncer Khanay Kay Baad (Photo: Getty Images)

Khopri Torr Di!

Ye Saal Tha 1985 Ka. Dunya Abhi Janti Nahi Thi Ke Ye ‘Angry Young Man’ Kaun Hay? Ye Wasim Akram Ka 2nd Test Tha, Jis Main Unhon Nay Apna Pehla 10 Wicket Haul Lia. Is Yaadgar Performance Main Wo Ball Aaj Bhi Sub Ko Yaad Hay, Jis Say Wo Pakistani Bowlers Kay Killer Bouncers Ki Is List Main Aa Gaey. Baghair Helmet Kay Khelnay Walay Lance Cairns Ko Wasim Akram Bouncer Seedha Khopri Par Laga Tha. Retired Hurt Huay, Skull Fracture Ki Waja Say Kai Din Hospital Main Rahay Aur Phir Kabhi Pakistan Kay Against Nahi Khelay.

On Your Face!

2002 Main Pakistan Nay Australia Kay Khilaf Series Neutral Venue Par Kheli Thi. Third Test Sharjah, UAE Main Tha, Jahan ‘Karachi Express’ Mohammad Sami Kay Bouncer Nay Ricky Ponting Ko Hit Kia Tha. Match Sharjah Tha. Garmi Buhat Sakht Thi, Isi Liay Ponting Baghair Helmet Kay Maidan Main Aa Gaey. Tab Sami Ki Pehli Ball Hi Seedha Un Kay Jaw Yani Jabray Par Lagi. Ye Aisa Bouncer Tha Kay Ponting Jaisa Puller Bhi Samajh Nahi Paya. Sochain Ke Baghair Helmet Pehnay Ball Aisay Chehray Par Lag Jaey To Kya Haal Hua Hoga? Laikin Ponting Bahadur Player Thay. Maidan Say Gaey Nahi Aur 150 Runs Ki Shandar Innings Kheli.

Urra Kar Rakh Dia!

Waisay Bouncer Jaisay Kaamon Main Shoaib Akhtar Say Aagay Kaun Hoga? Unhon Nay To Apnay Zamanay Main Barray Barron Ki Haalat Kharab Kardi Thi. Laikin Sub Say Khuafnaak Scene Tha 2003 Kay Pakistan-South Africa Lahore Test Kay. Jis Main Shoaib Nay Gary Kirsten Ko Aisa Bouncer Mara The Ke Wo Waheen Par Gir Gaey. Unhon Nay Helmet To Pehna Hua Tha Laikin Phir Bhi Impact Itna Tha Ke Chehray Say Khoon Nikal Raha Tha. Buri Tarah Zakhmi Ho Kar Wo Pooray Tour Say Hi Bahar Ho Gaey.

Raftar Bharne Do
Shoaib Akhtar Ka Bouncer Gary Kirsten Ka Ye Haal Kar Gaya. Left Eye Kay Neechay 10 Tankay Lagay. (Photo: Getty Images)
شیئر

جواب لکھیں