Sub Qaflay Sub Raastay, Melbourne Teray Wastay. Is Waqt Sub Ki Nazrain Australia Kay Isi Shehr Par Hain, Jahan Sunday Ko 'Sub Say Barra Muqabla' Hoga, Yani T20 World Cup Final. Aur Faisla Hoga Ke Doosri Martaba T20 Ka World Champion Kaun Banay Ga? Pakistan Ya Phir England.

Wo Teams Jinhon Nay T20 International Ki History Mein Aik Doosray Kay Khilaf Total 28 Matches Khelay Hain. Jin Main Say Pakistan Jeeta Hay Sirf Aur Sirf 9. Jee Haan! Head-To-Head Matches Mein England Pakistan Say Buhat Aagay Hay. Balkay In Matches Mein Jo Aik Tie Bhi Hua Hay, Wo Bhi England Hi Jeeta Tha.

Pakistan vs England Head-to-Head

T20 Internationals Mein

vs.Mat.WonLostTiedN/R
Raftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do England2891711

Jee Haan! Head-To-Head Matches Mein England Pakistan Say Buhat Aagay Hay. Balkay In Matches Mein Jo Aik Tie Bhi Hua Hay, Wo Bhi England Hi Jeeta Tha.

World Cup Mein Taakra

Agar T20 World Cup Ki History Dekhtain To Pakistan Aur England Sirf 2 Baar Aamnay Samnay Aaey Hain. 2009 Aur 2010 Mein, Aur Donon Martaba Jeeta Hay England.

Pakistan vs England

T20 World Cup Mein

ResultMarginvsGroundDate
Raftar Bharne Do PakistanLost48 RunsRaftar Bharne Do EnglandThe Oval7 Jun '09
Raftar Bharne Do PakistanLost6 Wkts.Raftar Bharne Do EnglandBridgetown6 May '10

Recent Matches

Pakistan Aur England Nay T20 World Cup Kay Liay Australia Aanay Say Pehlay 7 Matches Ki T20 Series Kheli Thi. Is Series Mein England Nay 4-3 Say Kamyabi Hasil Ki Thi. Karachi Leg Tak To Series 2-2 Say Barabar Thi, Laikin Lahore Mein Pakistan Last Donon Matches Haara Aur Yoon Series Haath Say Nikal Gai.

England Tour of Pakistan 2022

England 4:3 Pakistan

ResultMarginvsGroundDate
Raftar Bharne Do PakistanLost6 Wkts.Raftar Bharne Do EnglandKarachi20 Sep '22
Raftar Bharne Do PakistanWon10 Wkts.Raftar Bharne Do EnglandKarachi22 Sep '22
Raftar Bharne Do PakistanLost63 RunsRaftar Bharne Do EnglandKarachi23 Sep '22
Raftar Bharne Do PakistanWon3 RunsRaftar Bharne Do EnglandKarachi25 Sep '22
Raftar Bharne Do PakistanWon6 RunsRaftar Bharne Do EnglandLahore28 Sep '22
Raftar Bharne Do PakistanLost8 Wkts.Raftar Bharne Do EnglandLahore30 Sep '22
Raftar Bharne Do PakistanLost67 RunsRaftar Bharne Do EnglandLahore2 Oct '22

Pakistan Aur England, T20 World Cup Final Mein

Pakistan Aur England 2,2 Martaba T20 World Cup Final Khel Chukay Hain. Jeetay Bhi Hain Aur Haray Bhi Hain.

Pakistan To Pehlay T20 World Cup Mein Hi Final Haar Gaya Tha. Ye T20 World Cup 2007 Ka Final Tha Jis Main Pakistan Haara, Wo Bhi Arch-Rival India Say. Misbah Ul Haq Nay Aik Haaray Huay Match Mein Pakistan Ko Jeet Kay Qareeb Puhanchaya Aur Phir Aik Ball, Sirf Aik Ball Par Ghalti Say Pakistan Ko Shikast Ho Gai. Aaj Bhi Dil Say Aik Awaz Aati Hay: Kaash Misbah Wo Scoop Na Kheltay. 😢

England Ki History Bhi Kuchh Aisi Hi Hay. 2010 Mein Wo Pehli Baar Final Tak Puhancha Tha. Jahan Apnay Puranay Rival Australia Ko 7 Wickets Say Shikast Di Aur Pehli Baar Koi ICC Trophy Jeeta.

England 2016 Mein Bhi Final Tak Puhancha Jis Mein Us Ka Muqabla Parra West Indies Say. Last Over Mein West Indies Ko 19 Runs Ki Zaroorat Thi. England Ki Jeet Tareeban Confirm Thi, Jab Carlos Brathwaite Nay Wo Kardia Jo Kabhi Dekhnay Ko Nahi Mila. Unhon Nay Over Ki First 4 Balls Par Hi Sixes Laga Kar Match Ka Khatma Kardia. Pakistan Ki Tarah England Ki Haath Aai Trophy Bhi Chali Gai.

T20 World Cup Mein

Surprisingly T20 World Cup History Mein Pakistan Aur England Ki Performance Dekhain To Pakistan Aagay Nazar Aata Hay. Pakistan Nay 2007 Say 2022 Tak T20 World Cup Mein Total 46 Matches Khelay Hain, 28 Jeetay Aur 17 Haaray.

Pakistan Ki Performance

T20 World Cup Mein (2007-2022)

Mat.WonLostTiedN/R
Raftar Bharne Do Pakistan46281710

Muqablay Mein England Ko Dekhain To Us Nay Apnay 43 Mein Say Sirf 23 Matches Jeetay Aur 19 Main Shikast Khai.

England Ki Performance

T20 World Cup Mein (2007-2022)

Mat.WonLostTiedN/R
Raftar Bharne Do England43231901

Donon Teams Nay Pichhlay Kuchh Salon Mein Buhat Improve Kia Hay Aur Is Mein Koi Shak Nahi Ke World Cup Ka Final Khelnay Ki Haqdaar Bhi Hain. Ab Dekhna Ye Hay Ke Final Mein Ke Qismat Kis Ka Saath Deti Hay.

شیئر

جواب لکھیں