T20 World Cup 2022 Mein Pakistan Ki Performance Mein Shaheen Afridi Ki Bowling, Mohammad Rizwan Aur Babar Azam Ki Fifties, Balkay Mohammad Haris Aur Iftikhar Ahmed Kay Sixes Tak Sub Ko Yaad Hain. Laikin Pakistan Ko Final Tak Lanay Mein Aik ‘Dark Horse’ Ki Performance Ka Important Role Hay. Yahi Waja Hay Ke Wo Hamain Un 9 Players Ki List Mein Bhi Nazar Aata Hay Jinhain ‘Player Of The Tournament’ Kay Liay Shortlist Kia Gaya Hay. Naam Hay Shadab Khan! Jin Ka Comparison Honay Laga Hay Ab Shahid Khan Afridi Say. Shahid Afridi Vs Shadab Khan Ki Ye Debate Sirf Stats Hi Khatam Kar Saktay Hain. Aaen Dekhtay Hain Donon Kay Careers Aur Phir Stats Ko.

Shadab Kaun?

Shadab Pakistan Super League Ki Product Hain, Jinhon Nay 2017 Mein International Career Ka Aghaz Kia. Taqreeban Usi Zamanay Mein Jab Shahid Afridi Ka International Career Khatam Ho Raha Tha. Shadab Ka International Career Zabardast Andaaz Mein Shuroo Hua Laikin Phir Un Par Zawaal Bhi Aaya. Aisa Ke Team Mein Jaga Bachana Mushkil Ho Gaya.

Ups And Downs

Shadab Nay 2019 Mein Unhon Nay Sirf 4 Aur 2020 Mein 7 Wickets Haasil Keen. Laikin Phir 2021 Mein Shadab Ka Naya Roop Samnay Aaya. Unhon Nay Us Saal 19.60 Kay Average Aur 6.64 Kay Unbelievable Economy Rate Kay Sath 20 Wickets Leen. Phir 2022 Mein 24 Mazeed Wickets Bhi Leen, Approx. Isi Average Aur Economy Kay Sath.

Shadab Khan Bowling Year By Year

YearMat.Wkts.BBIAve.Econ.
201710144/1416.646.50
201819283/1917.426.62
2019942/3456.758.73
2020873/3435.858.65
202118204/2619.606.64
202219244/820.586.89

2021 Aur 2022 Ki Ki Khaas Baat Hay Shadab Ka As A Batsman Ubharna. 2021 Mein Unhon Nay 46 Kay Average Aur 170 Say Zyada Kay Strike Rate Say Runs Banaey. Phir 2022 Mein To Kamal Hi Kardia. 156 Ka Strike Rate, Pehli Fifty Aur Phir 11 Sixes Bhi.

Shadab Khan Batting Year By Year

YearInns.RunsHSAve.SR50s
201733216*32.00160.000
20185542910.80112.500
201963622*12.00128.570
20205614215.25119.600
202179236*46.00170.370
2022111815220.11156.031

Shadab World Cup Mein

T20 World Cup 2022 Bhi Dekhain To Shadab Ki Performance Kamal Rahi Hay. 6 Matches Mein 14.50 Kay Average Aur 6.59 Kay Behtareen Economy Kay Sath 10 Wickets. Batting Mein Zyada Moqa Nahi Mila Laikin Jab Bhi Balla Haath Mein Aaya, Khoob Chalaya.

South Africa Kay Against Aik Crucial Match Mein Shadab Nay Tab Pehli 50 Banai Jab Babar, Rizwan, Shan Aur Haris Sab Out Ho Chukay Thay. Un Ki 22 Balls Par 52 Runs Ki Innings Aur Phir 2 Wickets Theen Jo Pakistan Kay Liay Watershed Moment Tha.

Shadab ‘Lala’ Say Behtar?

Ab Aatay Hain Apnay Asal Sawal Ki Taraf, Kyunkay Ab Ye Comparison Honay Laga Hay Ke Shadab Shahid Afridi Say Behtar Player Hain. Ye Buhat Barra Claim Hay Aur Dil Say Kahain To Is Ka Koi Jawab Nahi Banta. Kyunkay Shahid Afridi Nay Us Zamanay Mein Cricket Kheli Jab T20 International Cricket Ka Start Tha. Ab To Cricket Buhat Badal Chuki Hay Aur Shadab Is New Era Kay Player Hain.

Phir Bhi Hum Stats Zaroor Samnay Rakhain Gay, Jin Say Aap Ko Andaza Ho Jaey Ga Ke Donon Players Mein Kya Faraq Hay.

Shadab Ka Career Shahid Afridi Kay Muqablay Mein Buhat Chhota Hay. Lala Nay 27 Test Aur 398 ODIs Kay Sath 99 T20 International Matches Bhi Khelay Thay. Jin Mein 11,000 Say Zyada Runs Aur 544 International Wickets Bhi Shamil Hain. ‘Lala’ Ka Us Waqat T20i Strike Rate 150 Say Zyada Tha, Jo Aaj Achhay Bhalay Pakistani Player Ka Nahi Hay. Shadab Ka Bhi Nahi Hay.

Shahid Afridi vs Shadab Khan

Batting In T20 Internationals

Inns.RunsHSAve.SR50s
Shahid Afridi91141654*17.92150.004
Shadab Khan374565219.00143.841

Phir Shahid Afridi Kamal Kay Bowler Bhi Thay. Balkay Un Ki Selection As A Bowler Hi Hoti Thi, Batting To Bonus Tha. Records Dekhain To ‘Lala’ Aaj Bhi Pakistan Kay Liay Sab Say Zyada 98 T20i Wickets Rakhtay Hain. Bus Ye Record Ab Tootnay Walay Hay, Apnay Shadab Khan Kay Hathon. Shadab Is Waqt T20i Cricket Mein 97 Wickets Rakhtay Hain Aur Ho Sakta Hay World Cup Final Mein Hi Ye Milestone Paar Karlain.

Shahid Afridi vs Shadab Khan

Bowling In T20 Internationals

YearMat.Wkts.BBIAve.Econ.
Shahid Afridi99984/1124.446.63
Shadab Khan83974/821.497.06

Aaen Bowling Mein Donon Ka Average Aur Economy Rate Dekhtay Hain. T20 Internationals Mein Shahid Afridi Ka Bowling Average 24.44 Hay Aur Economy 6.63. Shadab Ka Average To Shahid Say Behtar Hay 21.49, Laikin Economy Mein Wo Zara Sa Peechay Hain 7.06 Runs Per Over Kay Sath. Jo Aajkal Ki Cricket Ko Dekhtain To Kuchh Nahi. Is Ki Waja Bhi Hay. Lala Kay Zamanay Mein T20 Cricket Abhi Itni Fast Nahi Hui Thi, Jitni Ab Ho Gai Hay. Ho Sakta Hay Shahid Afridi Aaj Khel Raha Hotay To Un Ka Economy Is Say Zyada Hi Hota.

Takkar Ka Player

To Hum Keh Saktay Hain Ke T20 Format Mein Shadab Shahid Afridi Ki Takkar Kay Player Hain. Phir Shadab Ki Umar To Abhi Sirf 24 Saal Hay, Yani Aik Lamba Career Un Kay Samnay Hay. Ho Sakta Hay Lala Kay Kai Doosray Records Bhi Toot Jaen?

شیئر

جواب لکھیں